SHAWORDS

havaaon mein dilon kaa kaarvaan hai — Alka Mishra

HomeAlka MishraGhazal
"havaaon mein dilon kaa kaarvaan hai muqaddas ishq jab se mehrbaan hai mire dil ko sukun aayaa yahin par baDaa makhsus teraa aastaan hai vo mujh se duur jaaegaa bhi kaise jo meri ruuh ke andar nihaan hai mohabbat ke safar par jaao lekin vahaan har moD par ik imtihaan hai mire dil par usi ki hai hukumat lakiron mein miri jis kaa nishaan hai chhupaa sakti nahin us se main kuchh bhi miraa har raaz to us par ayaan hai firaaq-o-vasl ki had se nikal kar ajab se moD par ab daastaan hai milein hain chand lamhe khul ke ji lein vagarna zindagi to raaegaan hai"
Urdu

ہواؤں میں دلوں کا کارواں ہے مقدس عشق جب سے مہرباں ہے مرے دل کو سکوں آیا یہیں پر بڑا مخصوص تیرا آستاں ہے وہ مجھ سے دور جائے گا بھی کیسے جو میری روح کے اندر نہاں ہے محبت کے سفر پر جاؤ لیکن وہاں ہر موڑ پر اک امتحاں ہے مرے دل پر اسی کی ہے حکومت لکیروں میں مری جس کا نشاں ہے چھپا سکتی نہیں اس سے میں کچھ بھی مرا ہر راز تو اس پر عیاں ہے فراق و وصل کی حد سے نکل کر عجب سے موڑ پر اب داستاں ہے ملیں ہیں چند لمحے کھل کے جی لیں وگرنہ زندگی تو رائیگاں ہے

Hindi

हवाओं में दिलों का कारवाँ है मुक़द्दस इश्क़ जब से मेहरबाँ है मिरे दिल को सुकूँ आया यहीं पर बड़ा मख़्सूस तेरा आस्ताँ है वो मुझ से दूर जाएगा भी कैसे जो मेरी रूह के अंदर निहाँ है मोहब्बत के सफ़र पर जाओ लेकिन वहाँ हर मोड़ पर इक इम्तिहाँ है मिरे दिल पर उसी की है हुकूमत लकीरों में मिरी जिस का निशाँ है छुपा सकती नहीं उस से मैं कुछ भी मिरा हर राज़ तो उस पर अयाँ है फ़िराक़-ओ-वस्ल की हद से निकल कर अजब से मोड़ पर अब दास्ताँ है मिलें हैं चंद लम्हे खुल के जी लें वगर्ना ज़िंदगी तो राएगाँ है

havāoñ meñ diloñ kā kārvāñ hai
Alka Mishra
Alka Mishra
Alka Mishra
poet9 quotes

More by Alka Mishra

View all →
Quote
"zamin pe aane se saanson ke ruuTh jaane tak ye ik safar hai musalsal qazaa ke shaane tak jo kaaenaat pe haq apnaa maan baiThe the unhein bhi aanaa paDaa aakhiri Thikaane tak zamin pe dil ki mohabbat javaan hoti rahi vafaa ki dhuup pe baadal jafaa ke chhaane tak phir us ke baad huaa kyaa mujhe nahin maalum main hosh mein rahi but ko khudaa banaane tak sunaa hai aap inaayat sabhi pe karte hain kabhi to aaein hamaare gharib-khaane tak nahin hai umr koi tai kisi bhi rishte ki rahegaa saath koi sirf aazmaane tak"
Alka MishraAlka Mishra
Quote
"khvaabon ki baat aankhon se Taali nahin gai ik shab bhi meri khaam-khayaali nahin gai us kaa hi saath mujh ko mayassar nahin huaa yuun to miri duaa kabhi khaali nahin gai mujh se bichhaD ke vo bhi akelaa rahaa magar chhoTi si baat dil se nikaali nahin gai saath apne meri niind bhi le kar chalaa gayaa jab se gayaa vo aankh ki laali nahin gai us ne bhi saaf-goi se daaman chhuDaa liyaa khush-fahmi apne dil se bhi paali nahin gai yuun us ki aadaton mein taghaaful shumaar thaa rishton ki baag-Dor sambhaali nahin gai 'alkaa' vo jis ne phunk diyaa meraa aashiyaan yaadon se umr-bhar vo divaali nahin gai"
Alka MishraAlka Mishra
Quote
"ho jaaeinge jis roz sabhi kaam mukammal aa jaaegaa is ruuh ko aaraam mukammal dil mein hai magar us se kabhi kah nahin paae aane se tire hoti hai ye shaam mukammal baaton mein mahaarat jise haasil nahin hoti aksar vahi ho jaataa hai naakaam mukammal kuchh kaam to ho jaate hain is khauf se aksar ho jaaein na ham bhi kahin gumnaam mukammal aa jaataa bulaane se yaqin mujh ko hai lekin us tak kabhi pahunche nahin paighaam mukammal ye ziist miri ziist hi rahti bhi kahaan phir ruk jaati agar gardish-e-ayyaam mukammal"
Alka MishraAlka Mishra
Quote
"safar hai dhuup kaa is mein qayaam thoDi hai balaa hai ishq ye bachchon kaa kaam thoDi hai kisi ko vasl hai bojhal koi firaaq mein khush dilon ke khel mein koi nizaam thoDi hai hamaare dil mein dhaDaktaa hai naam us kaa abhi hai ye shuru-e-mohabbat tamaam thoDi hai jo ahl-e-ishq hain manzil kaa gham nahin karte ye khaas logon kaa rasta hai aam thoDi hai ham apne man ki kareinge buraa lage ki bhalaa hamaaraa dil hai tumhaaraa ghulaam thoDi hai tumhaari yaad jo aai to aa gae milne vagarna tum se hamein koi kaam thoDi hai baDhaa jo dard to kaaghaz pe khud utar aayaa samajh ke soch ke likkhaa kalaam thoDi hai"
Alka MishraAlka Mishra
Quote
"lau mire dil ne zaraa us se lagaai hi nahin main ne chaahat ki kabhi jot jagaai hi nahin raushni ruuh tak aai hai to aai kaise jab ki us tak to miri koi rasaai hi nahin apni rau mein huun bahe jaati huun naddi ki tarah pattharon ko main kabhi dhyaan mein laai hi nahin kaise ban jaate hain sab kaam ye bigDe mere ek neki to abhi main ne kamaai hi nahin khud-ba-khud jhuk gaiin dar par tire nazrein meri ye nigah main ne kahin aur jhukaai hi nahin kaise chup-chaap chale aate hain nindon mein miri main ne khvaabon ko to aavaaz lagaai hi nahin us ki ummid abhi se main lagaa luun kaise apni hasti to abhi main ne miTaai hi nahin"
Alka MishraAlka Mishra

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi