SHAWORDS

ziist aazaar hui jaati hai — Ahmad Nadeem Qasmi

"ziist aazaar hui jaati hai saans talvaar hui jaati hai jism be-kaar huaa jaataa hai ruuh bedaar hui jaati hai kaan se dil mein utarti nahin baat aur guftaar hui jaati hai Dhal ke nikli hai haqiqat jab se kuchh pur-asraar hui jaati hai ab to har zakhm ki munh-band kali lab-e-izhaar hui jaati hai phuul hi phuul hain har samt 'nadim' raah dushvaar hui jaati hai"
Urdu

زیست آزار ہوئی جاتی ہے سانس تلوار ہوئی جاتی ہے جسم بے کار ہوا جاتا ہے روح بیدار ہوئی جاتی ہے کان سے دل میں اترتی نہیں بات اور گفتار ہوئی جاتی ہے ڈھل کے نکلی ہے حقیقت جب سے کچھ پر اسرار ہوئی جاتی ہے اب تو ہر زخم کی منہ بند کلی لب اظہار ہوئی جاتی ہے پھول ہی پھول ہیں ہر سمت ندیمؔ راہ دشوار ہوئی جاتی ہے

Hindi

ज़ीस्त आज़ार हुई जाती है साँस तलवार हुई जाती है जिस्म बे-कार हुआ जाता है रूह बेदार हुई जाती है कान से दिल में उतरती नहीं बात और गुफ़्तार हुई जाती है ढल के निकली है हक़ीक़त जब से कुछ पुर-असरार हुई जाती है अब तो हर ज़ख़्म की मुँह-बंद कली लब-ए-इज़हार हुई जाती है फूल ही फूल हैं हर सम्त 'नदीम' राह दुश्वार हुई जाती है

ziist āzār huī jaatī hai
Ahmad Nadeem Qasmi
Ahmad Nadeem Qasmi
Ahmad Nadeem Qasmi
poet110 quotes

More by Ahmad Nadeem Qasmi

View all →
Quote
"daavaa to kiyaa husn-e-jahaan-soz kaa sab ne duniyaa kaa magar ruup baDhaayaa tiri chhab ne tu niind mein bhi meri taraf dekh rahaa thaa sone na diyaa mujh ko siyah-chashmi-e-shab ne har zakhm pe dekhi hain tire pyaar ki mohrein ye gul bhi khilaae hain teri surkhi-e-lab ne khushbu-e-badan aai hai phir mauj-e-sabaa se phir kis ko pukaaraa hai tire shahr tarab ne darkaar hai mujh ko to faqat izn-e-tabassum patthar se agar phuul ugaae mire rab ne vo husn hai insaan ki meraaj-e-tasavvur jis husn ko puujaa hai mire sher o adab ne"
Ahmad Nadeem QasmiAhmad Nadeem Qasmi
Quote
"miraa ghurur tujhe kho ke haar maan gayaa main choT khaa ke magar apni qadr jaan gayaa kahin ufuq na milaa meri dasht-gardi ko main teri dhun mein bhari kaaenaat chhaan gayaa khudaa ke baad to be-intihaa andheraa hai tiri talab mein kahaan tak na meraa dhyaan gayaa jabin pe bal bhi na aataa ganvaa ke donon-jahaan jo tu chhinaa to main apni shikast maan gayaa badalte rang the teri umang ke ghammaaz tu mujh se bichhDaa to main teraa raaz jaan gayaa khud apne aap se main shikva-sanj aaj bhi huun 'nadim' yuun to mujhe ik jahaan maan gayaa"
Ahmad Nadeem QasmiAhmad Nadeem Qasmi
Quote
"labon pe narm tabassum rachaa ke dhul jaaein khudaa kare mire aansu kisi ke kaam aaein jo ibtidaa-e-safar mein diye bujhaa baiThe vo bad-nasib kisi kaa suraagh kyaa paaein talaash-e-husn kahaan le chali khudaa jaane umang thi ki faqat zindagi ko apnaaein bulaa rahe hain ufuq par jo zard-ru Tiile kaho to ham bhi fasaanon ke raaz ho jaaein na kar khudaa ke liye baar baar zikr-e-bahisht ham aasmaan kaa mukarrar fareb kyuun khaaein tamaam mai-kada sunsaan mai-gusaar udaas labon ko khol ke kuchh sochti hain minaaein"
Ahmad Nadeem QasmiAhmad Nadeem Qasmi
Quote
"kisi laa-ilaaj rajaai ne ye khabar chaman mein uDaai hai koi patta jab na ho peD par to samajh lo fasl-e-gul aai hai koi ishtiraak zarur hai vo ho rang kaa ki umang kaa miraa dil bhi to gul-e-surkh hai tiraa haath bhi to hinaai hai vo kashish kuchh aur hi chiiz hai jise husn kahte hain ahl-e-dil na jamaal-e-aariz-o-chashm-o-lab na kamaal-e-chust-qabaai hai safar-e-hayaat ke moD par mujhe tu milaa ki khudaa milaa yahi meraa kaaba-e-justuju yahi meri hadd-e-rasaai hai main jhukun to chaand jhukaa rahe main rukun to vaqt rukaa rahe main tiri vafaa kaa jab ahl huun mire bas mein saari khudaai hai main 'nadim' qarya-e-sim-o-zar se bhi sar-kashida guzar gayaa jo miri anaa kaa ghurur hai miri umr bhar ki kamaai hai"
Ahmad Nadeem QasmiAhmad Nadeem Qasmi
Quote
"apne maahaul se the qais ke rishte kyaa kyaa dasht mein aaj bhi uThte hain bagule kyaa kyaa ishq meaar-e-vafaa ko nahin kartaa nilaam varna idraak ne dikhlaae the raste kyaa kyaa ye alag baat ki barse nahin garje to bahut varna baadal mire sahraaon pe umDe kyaa kyaa aag bhaDki to dar-o-baam hue raakh ke Dher aur dete rahe ahbaab dilaase kyaa kyaa log ashiyaa ki tarah bik gae ashiyaa ke liye sar-e-baazaar tamaashe nazar aae kyaa kyaa lafz kis shaan se takhliq huaa thaa lekin us kaa mafhum badalte rahe nuqte kyaa kyaa ik kiran tak bhi na pahunchi mire baatin mein 'nadim' sar-e-aflaak damakte rahe taare kyaa kyaa"
Ahmad Nadeem QasmiAhmad Nadeem Qasmi

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil