SHAWORDS

ziist hai ik maasiyat soz-e-dili tere baghair — Anand Narayan Mulla

"ziist hai ik maasiyat soz-e-dili tere baghair haan mohabbat bhi hai ik aaludgi tere baghair shaam-e-gham tere tasavvur hi se aankhon mein charaagh varna mere ghar mein ho aur raushni tere baghair ye jahaan tanhaa bhalaa kyaa mujh ko de paataa shikast main ne kab khaayaa fareb-e-dosti tere baghair raat ke siina mein hai ik zakhm jis kaa naam chaand ik sunahri ju-e-khun hai chaandni tere baghair har-nafas hai pai-ba-pai naakaamiyon kaa saamnaa ziist hai ik mustaqil sharmindagi tere baghair de gai dhokaa magar shaaistagi-e-gham miri aa rahaa hai dil pe ilzaam-e-khushi tere baghair ilm-o-aql-o-naam-o-jaah-o-zor-o-zar sab hech ishq ho ke sab kuchh bhi nahin kuchh aadmi tere baghair dil ki shaadaabi ki zaamin hai tu hi ai yaad-e-dost aa na paai gham ke phulon mein nami tere baghair ek ik lamhe mein jab sadiyon ki sadiyaan kaT gaiin aisi kuchh raatein bhi guzri hain miri tere baghair zindagi 'mullaa' ki hai mahjub naam-e-zindagi rah gai hai shaairi hi shaairi tere baghair"
Urdu

زیست ہے اک معصیت سوز دلی تیرے بغیر ہاں محبت بھی ہے اک آلودگی تیرے بغیر شام غم تیرے تصور ہی سے آنکھوں میں چراغ ورنہ میرے گھر میں ہو اور روشنی تیرے بغیر یہ جہاں تنہا بھلا کیا مجھ کو دے پاتا شکست میں نے کب کھایا فریب دوستی تیرے بغیر رات کے سینہ میں ہے اک زخم جس کا نام چاند اک سنہری جوئے خوں ہے چاندنی تیرے بغیر ہر نفس ہے پے بہ پے ناکامیوں کا سامنا زیست ہے اک مستقل شرمندگی تیرے بغیر دے گئی دھوکا مگر شائستگیٔ غم مری آ رہا ہے دل پہ الزام خوشی تیرے بغیر علم و عقل و نام و جاہ و زور و زر سب ہیچ عشق ہو کے سب کچھ بھی نہیں کچھ آدمی تیرے بغیر دل کی شادابی کی ضامن ہے تو ہی اے یاد دوست آ نہ پائی غم کے پھولوں میں نمی تیرے بغیر ایک اک لمحہ میں جب صدیوں کی صدیاں کٹ گئیں ایسی کچھ راتیں بھی گزری ہیں مری تیرے بغیر زندگی ملاؔ کی ہے محجوب نام زندگی رہ گئی ہے شاعری ہی شاعری تیرے بغیر

Hindi

ज़ीस्त है इक मासियत सोज़-ए-दिली तेरे बग़ैर हाँ मोहब्बत भी है इक आलूदगी तेरे बग़ैर शाम-ए-ग़म तेरे तसव्वुर ही से आँखों में चराग़ वर्ना मेरे घर में हो और रौशनी तेरे बग़ैर ये जहाँ तन्हा भला क्या मुझ को दे पाता शिकस्त मैं ने कब खाया फ़रेब-ए-दोस्ती तेरे बग़ैर रात के सीना में है इक ज़ख़्म जिस का नाम चाँद इक सुनहरी जू-ए-ख़ूँ है चाँदनी तेरे बग़ैर हर-नफ़स है पै-ब-पै नाकामियों का सामना ज़ीस्त है इक मुस्तक़िल शर्मिंदगी तेरे बग़ैर दे गई धोका मगर शाइस्तगी-ए-ग़म मिरी आ रहा है दिल पे इल्ज़ाम-ए-ख़ुशी तेरे बग़ैर इल्म-ओ-अक़्ल-ओ-नाम-ओ-जाह-ओ-ज़ोर-ओ-ज़र सब हेच इश्क़ हो के सब कुछ भी नहीं कुछ आदमी तेरे बग़ैर दिल की शादाबी की ज़ामिन है तू ही ऐ याद-ए-दोस्त आ न पाई ग़म के फूलों में नमी तेरे बग़ैर एक इक लम्हे में जब सदियों की सदियाँ कट गईं ऐसी कुछ रातें भी गुज़री हैं मिरी तेरे बग़ैर ज़िंदगी 'मुल्ला' की है महजूब नाम-ए-ज़िंदगी रह गई है शाइ'री ही शाइ'री तेरे बग़ैर

ziist hai ik ma.asiyat soz-e-dilī tere baġhair
Anand Narayan Mulla
Anand Narayan Mulla
Anand Narayan Mulla
poet94 quotes

More by Anand Narayan Mulla

View all →
Quote
"ab apne dida-o-dil kaa bhi e'tibaar nahin usi ko pyaar kiyaa jis ke dil mein pyaar nahin nahin ki mujh ko tabi'at pe ikhtiyaar nahin har ek jaam se pi luun vo baada-khvaar nahin har ek gaam pe kaanTon ki hain kamin-gaahein shabaab aah shagufon ki rahguzaar nahin bhari hui hai vo kaam-o-dahan mein talkhi-e-zist ki lab pe jaam-e-mohabbat bhi khush-gavaar nahin na mere ashkon se daaman pe tere aaegi aanch ye shoala-ru hain magar fitrat-e-sharaar nahin kahin chhupaae se chhupti bhi hai haqiqat-e-gham vo gham hi kyaa jo masarrat se aashkaar nahin main teri yaad se bahkaa chukaa huun yuun dil ko ki ab mujhe tiri furqat bhi naagavaar nahin mire sukun ke liye kyuun ye koshish-e-paiham qaraar chhinne vaale tujhe qaraar nahin jahaan-e-aql ke nafrat-kadon mein baT jaataa hazaar shukr mohabbat pe ikhtiyaar nahin kisi ki luuT ke raahat khushi nahin milti khizaan ke haath mein sarmaaya-e-bahaar nahin nigaah-e-dost ko is ki bhi hai khabar lekin vo raaz jis kaa abhi dil bhi raazdaar nahin tavajja-e-nigah-e-yaar kaa sabab maa'lum dil-e-girafta-e-'mullaa' abhi shikaar nahin"
Anand Narayan MullaAnand Narayan Mulla
Quote
"jaan-e-afsaana yahi kuchh bhi ho afsaane kaa naam zindagi hai dil ki dhaDkan tez ho jaane kaa naam qatra qatra zindagi ke zahr kaa piinaa hai gham aur khushi hai do ghaDi pi kar bahak jaane kaa naam aaj tu kal koi aur hogaa sadr-e-bazm-e-mai saaqiyaa tujh se nahin ham se hai mai-khaane kaa naam intizaar-e-fasl-e-gul mein kho chuke aankhon kaa nuur aur bahaar-e-baagh leti hi nahin aane kaa naam taab-e-naakaami nahin to aarzu kartaa hai kyaa saaqiyaa tujh se nahin ham se hai mai-khaane kaa naam vaaqif-e-'mullaa' na thi bazm-e-khirad ye tai huaa ho na ho ye hai kisi mashhur divaane kaa naam"
Anand Narayan MullaAnand Narayan Mulla
Quote
"hijr ki shab ghaDi ghaDi dil se yahi savaal hai jis ke khayaal mein huun gum us ko bhi kuchh khayaal hai haae-ri bebasi shauq-e-dil kaa ajiib haal hai us kaa javaab sun chukaa phir bhi vahi savaal hai khvaab-o-fusun nahin to kyaa dil ye junun nahin to kyaa khalvat-e-dost aur tu teraa kahaan khayaal hai main tire dar ko chhoD duun shart-e-vafaa ko toD duun sonch khud apne dil mein tu kyaa ye miri majaal hai sharm si nazar dil ki hai uThti nahin nigaah-e-shauq ishq ki manzilon mein ik manzil-e-infiaal hai chaaheinge gar to dil ki baat aap hi jaan leinge vo munh se kahun to kyaa kahun shakl miri savaal hai baat unhin ki maan li jaise main hi khataa pe thaa un ko kahin ye shak na ho dil mein mire malaal hai ab tiri justuju hui himmat-e-dil ke hasb-e-zauq tu ne ye jab se kah diyaa ye talab muhaal hai sath-e-mazaaq-e-bazm par 'mullaa' utar ke aanaa to auron kaa jo kamaal hai tere liye zavaal hai"
Anand Narayan MullaAnand Narayan Mulla
Quote
"miri baat kaa jo yaqin nahin mujhe aazmaa ke bhi dekh le tujhe dil to kab kaa main de chukaa use gham banaa ke bhi dekh le ye to Thiik hai ki tiri jafaa bhi ik 'ataa mire vaaste miri hasraton ki qasam tujhe kabhi muskuraa ke bhi dekh le miraa dil alag hai bujhaa saa kuchh tire husn par bhi chamak nahin kabhi ek markaz-e-zist par unhein saath laa ke bhi dekh le mire shauq ki hain vahi zidein abhi lab pe hai vahi iltijaa kabhi is jale hue tuur par mujhe phir bulaa ke bhi dekh le na miTegaa naqsh-e-vafaa kabhi na miTegaa haan na miTegaa ye kisi aur ki to majaal kyaa use khud miTaa ke bhi dekh le kisi gul-fasurda-e-baagh huun mire lab hansi ko bhulaa chuke tujhe ai sabaa jo na ho yaqin mujhe gudgudaa ke bhi dekh le mire dil mein tu hi hai jalva-gar tiraa aaina huun main sar-basar yunhi duur hi se nazar na kar kabhi paas aa ke bhi dekh le mire zarf-e-ishq pe shak na kar mire harf-e-shauq ko bhuul jaa jo yahi hijaab hai darmiyaan ye hijaab uThaa ke bhi dekh le ye jahaan hai ise kyaa paDi hai jo ye sune tiri daastaan tujhe phir bhi 'mullaa' agar hai zid gham-e-dil sunaa ke bhi dekh le"
Anand Narayan MullaAnand Narayan Mulla
Quote
"zindagi go kushta-e-aalaam hai phir bhi raahat ki umid-e-khaam hai haan abhi teri mohabbat khaam hai tere dil mein kaavish-e-anjaam hai ishq hai main huun dil-e-naakaam hai is ke aage bas khudaa kaa naam hai aa kahaan hai tu fareb-e-aarzu aaj naakaami se lenaa kaam hai main vahi huun dil vahi armaan vahi ek dhokaa gardish-e-ayyaam hai apne ji mein ye ki duniyaa chhoD dein aur duniyaa ko hamin se kaam hai jal chuke chashm-e-aizzaa mein charaagh so bhi jaa 'mullaa' ki vaqt-e-shaam hai"
Anand Narayan MullaAnand Narayan Mulla
Quote
"nazar khamosh hui arz-e-naa-tamaam ke baa'd kuchh aur kah na sake ashk-e-be-kalaam ke baa'd ye mughbache tire saaqi abhi hain khira bahut har ek jaam-e-tahi aur salaa-e-aam ke baa'd bas itni baat ke kyaa kyaa hain bazm mein charche vo muskuraa se diye the mire salaam ke baa'd namaaz-e-jaam paDhi shaikh ne nahin lekin 'ajab saa nuur hai rukh par tulu-e-shaam ke baa'd har ik nazaaa kaa hal intiqaam hi hai abhi magar savaal to ye hai ki intiqaam ke baa'd ye lag rahaa hai ki jaise bichhaD rahi hai hayaat palaT palaT ke nigaahein hain gaam gaam ke baa'd kisi mahal kisi vaadi kisi chaman mein nahin vo gul jo dil mein mahaktaa hai nek kaam ke baa'd ghurur-e-tishna-saaqi bhi hai koi shai saaqi taqaazaa ham nahin karne ke jaam jaam ke baa'd ye sach nahin ki mire dil mein aur naam nahin magar ye sach hai ki ye sab hain tere naam ke baa'd hai ziist ziist usi ki ki jis ke baazu ko urush-e-subh bhi DhunDe nigaar-e-shaam ke baa'd badalti qadron mein kuchh huun ki kuchh nahin 'mullaa' savaaliya saa nishaan huun khud apne naam ke baa'd"
Anand Narayan MullaAnand Narayan Mulla

More on Sad

View all →
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
A
Aiman Amritsari
Quote
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari