Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Aamir Shauqi
ai khudaa kaisaa samaan aayaa hai
shahr mein har su dhuaan chhaayaa hai
luT gai khalq-e-khudaa ki hasrat
ahd-e-nau aisaa ziyaan laayaa hai
· · ·
Aamir Shauqi
ai khudaa hasrat-o-jazbaat ke maare hue log
ab kahaan jaaein ye haalaat ke maare hue log
teri duniyaa ki kahaani bhi ajab hai maulaa
dar-ba-dar rahte hain haq baat ke maare hue log
· · ·
Aamir Shauqi
masale aur bhi hain ishq ke aazaar ke saath
sirf ik karb nahin umr ki raftaar ke saath
haae mahrumi-e-qismat ki tujhe paa na sake
ham har ik samt gae hasrat-e-didaar ke saath
· · ·
Aamir Shauqi
kaun sukh-chain se hai kis ki paziraai hai
teri duniyaa mein har ik moD pe rusvaai hai
jhiil si aankhein tiri aur gulaabi tire honT
meri chaahat ke hi sadqe mein ye raanaai hai
· · ·
Aamir Shauqi
mausam-e-gul mein bhi gul nazr-e-khizaan hain saare
mutmain koi nahin mahv-e-fughaan hain saare
hosh-mandi se qadam aage baDhaao logo
apni jaanib hi khinche tir-o-kamaan hain saare
· · ·
Aamir Shauqi
sard mausam hai bahut hijr kaa aazaar bhi hai
kyaa kahein tujh se ye dil gham mein giraftaar bhi hai
kaise kah duun ki tire baa'd mujhe chain paDaa
subh ghamgin miri raat dil-aazaar bhi hai
· · ·
Aamir Shauqi
tanhaai ki aaghosh mein thaa subh se pahle
milti rahi ulfat ki sazaa subh se pahle
shaayad mire lafzon pe taras aae use ab
rote hue maangi hai duaa subh se pahle
· · ·
Aamir Shauqi
Dubte Dubte suraj ne ziyaaein diin hain
teri yaadon ne bahut dil ko sadaaein diin hain
ye adaalat kisi tahrir ki muhtaaj nahin
vaqt ne har kas-o-naa-kas ko sazaaein diin hain
· · ·
Aamir Shauqi
teri ummid ke asbaab nazar aate nahin
kyon mujhe koi hasin khvaab nazar aate nahin
itnaa bhaTkaa huun aziyyat ke bayaabaan mein ki ab
koi bhi lamha-e-naayaab nazar aate nahin
· · ·
Aamir Shauqi
nasib mein hai judaai to ronaa-dhonaa kyaa
hai saari chiiz paraai to ronaa-dhonaa kyaa
yahaan to apne hi apnon ko maar dete hain
havaa ne shama bujhaai to ronaa-dhonaa kyaa
· · ·







