Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Aarif Nazeer
kuchlaa kiye hain kitne hi lashkar zamin ko
aise kiyaa gayaa hai baraabar zamin ko
main ne bhi sair ki hai kabhi aasmaan ki
main jaantaa huun dasht samundar zamin ko
· · ·
Aarif Nazeer
'adu daaman pasaare mil rahe hain
to kyaa ab do sitaare mil rahe hain
bhanvar ki justuju thi aur ham ko
kinaare hi kinaare mil rahe hain
· · ·
Aarif Nazeer
dekhne ko phuul mein mashghul hai
khaar daaman mein hain sar pe dhuul hai
ek to lahja tiraa hai naa-ravaa
us pe teri baat naa-maa'qul hai
· · ·
Aarif Nazeer
khud ko kyaa khuun rulaaoge bataao to sahi
tum mujhe kaise bhulaaoge bataao to sahi
aise chup-chaap tumhein main nahin jaane dungaa
tum kabhi lauT ke aaoge bataao to sahi
· · ·
Aarif Nazeer
pur-khulus jazbon kaa daan to nahin lete
jaan kahne vaalon ki jaan to nahin lete
ik zaraa saa ye sun kar tum se pyaar hai ham ko
yuun kamaan-e-abru ko taan to nahin lete
· · ·
Aarif Nazeer
bas firaaq-e-yaar mein jaari sukhan-aaraaiyaan
haae ye pur-kaif mausam aur miri tanhaaiyaan
bistaron ki silvaTon se laD rahe hain ham yahaan
jaane vaalaa le rahaa hogaa kahin angDaaiyaan
· · ·
Aarif Nazeer
huzur khel hai yaa phir Daraama-baazi hai
tumhaaraa pyaar bil-aakhir Daraama-baazi hai
main ulTe paanv palaT jaaun teri bazm se kyaa
agarche meri hi khaatir Daraama-baazi hai
· · ·
Aarif Nazeer
hai nazar mein jo baal shishe kaa
kyaa yahi hai zavaal shishe kaa
tu ne patthar pe rakh diyaa kaise
dil hai meraa sanbhaal shishe kaa
· · ·
Aarif Nazeer
ek hi manzar to behtar thaa hamein
yuun pas-e-manzar kaa kab Dar thaa hamein
faailon se kah diyaa thaa haal-e-dil
yaar behtar ghar se daftar thaa hamein
· · ·
Aarif Nazeer
hamaari aankh udaasi se laal kab tak ho
tumhaare jaane kaa aakhir malaal kab tak ho
kisi bhi roz umaD aaegi ye bezaari
bataao itnaa ziyaada khayaal kab tak ho
· · ·
Aarif Nazeer
apne dil par hi nahin hai mujhe qaabu bolo
tum ne kar to nahin rakkhaa koi jaadu bolo
jitni pyaari tiri aankhein hain tiraa lahja hai
sirf itnaa hi kahungaa tujhe urdu bolo
· · ·
Aarif Nazeer
mujhe thaa tujh se kabhi pyaar jhuuT bolaa thaa
hai jhuuT ye bhi ki dil-daar jhuuT bolaa thaa
ye jhuuT bolaa ki raaton mein jaagtaa huun main
tumhaari yaad mein ai yaar jhuuT bolaa thaa
· · ·
Aarif Nazeer
koi qimat lagaae saae ki
hai ye divaar bhi kiraae ki
bujh gayaa hai paDaa paDaa cigarette
chuskiyaan le rahaa huun chaae ki
· · ·
Aarif Nazeer
dam-ba-dam meraa taraf-daar huaa kartaa thaa
ye jo dushman hai kabhi yaar huaa kartaa thaa
jo tire dil se taDi-paar huaa kartaa thaa
marg-e-tanhaai se do-chaar huaa kartaa thaa
· · ·
Aarif Nazeer
maraz ki jin se tavaqqo' hai vo davaa deinge
dilaasa deinge faqat tujh ko aasraa deinge
kaheinge khud ko taraf-daar raushni ke magar
sabhi charaagh ye jalte hue bujhaa deinge
· · ·
Aarif Nazeer
dekh le khud hi koi lauT ke jaate hue haath
sharm aati hai zaraa ham ko baDhaate hue haath
kyaa khabar tum ko ki kyaa dil pe guzarti hai mire
jin se dil miltaa nahin un se milaate hue haath
· · ·
Aarif Nazeer
mile jo tum se milaa ik surur kyaa samjhe
hamaare dil ko huaa hai ghurur kyaa samjhe
use ye zid ke tumhein roz milne aanaa hai
tumhaaraa 'uzr dil-e-naa-sabur kyaa samjhe
· · ·
Aarif Nazeer
vasl bharpur rahaa hijr bhi bharpur banaa
zakhm naakhun se khurachte hue naasur banaa
us ne ik 'umr mire saath aziyyat jheli
ab ke saae ko mire jism se kuchh duur banaa
· · ·
Aarif Nazeer
kahun kis se ki dhundlaae hue hain
jo manzar aankh par chhaae hue hain
kinaare se kinaare tak hai vahshat
nadi ke raag ghabraae hue hain
· · ·
Aarif Nazeer
ye tasalli ye dilaasa ye sahaaraa naaTak
kitnaa pyaaraa hai mire yaar tumhaaraa naaTak
dard sahne ki aziyyat se guzaarein tum ko
ham bhi dikhlaaein kisi roz karaaraa naaTak
· · ·
Aarif Nazeer
kisi ke zikr se daaim hamaari zindagaani hai
aur us ki raah se haTnaa hamaari raaegaani hai
hamaare khvaab chaahat aarzu saari tamannaaein
tumhi ho tum nahin to kyaa hamaari jaavedaani hai
· · ·
Aarif Nazeer
baat aage baDhaa tariqe se
aankh ham se milaa tariqe se
aap shaa'ir hain vo bhi baa-uslub
baat kiije zaraa tariqe se
· · ·
Aarif Nazeer
ham ko huaa thaa 'ishq javaani mein mukhtasar
kirdaar thaa hamaaraa kahaani mein mukhtasar
mat puchh raat kitni aziyyat-guzaar thi
milnaa thaa us se shaam-suhaani mein mukhtasar
· · ·
Aarif Nazeer
jab se nasib meraa Thikaane pe aa gayaa
khud hi shikaar meraa nishaane pe aa gayaa
pardaa-nashin parda-nashini mein gum rahe
ilzaam mere aankh uThaane pe aa gayaa
· · ·







