SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAhmad Hasan Fida(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"paanv le aae mujhe vaadi-e-pur-khaar ke paas sar mein saudaa hai ki chaliye usi divaar ke paas mohtasib zid se tiri dil mein yahi aataa hai mai-kashi jaa ke karein teri hi divaar ke paas ye nai tarz-e-sitam tum ne nikaali saahib meraa khat jaate ho paDhvaane ko aghyaar ke paas fasl-e-gul aai hai phir dasht-navardi ho nasib paanv ke aable pahunchaaeinge phir khaar ke paas na uThaa ham ko ki saae ki tarah se bekaar ek muddat se paDe hain tiri divaar ke paas duur se dekhte hi mujh ko kahaa duur us ne ab na jaaeinge kabhi aise dil-aazaar ke paas"
A
Ahmad Hasan Fida
Quote
"ishq se jis kaa dil gudaaz nahin dar-e-irfaan bhi us pe baaz nahin dar-e-jaanaan pe hai qiyaam-o-quud apni koi qazaa namaaz nahin vasl us kaa na kyunke ho dushvaar jis ke didaar ke majaaz nahin shauq mein puchhtaa huun raah-e-haram gabr-o-momin kaa eatibaar nahin teri aali janaab mein mahmud mujhe kyaa rutba-e-ayaaz nahin nahin hone kaa kaamil-ul-imaan jis ko ishq-e-shah-e-hijaaz nahin saath hai baad-e-marg hasrat-e-did be-sabab chashm apni baaz nahin qalb us kaa hai misl-e-dud-e-siyaah shama saan jis kaa dil gudaaz nahin kyunki din umr ke kaTein ba-khushi mizha-e-did dil-navaaz nahin band hai baab-e-mai-kada jo 'fidaa' kyaa dar-e-tauba tujh pe baaz nahin"
A
Ahmad Hasan Fida
Quote
"fidaa hai dil payambar par hamaaraa dilaa hai auj par akhtar hamaaraa tasavvur hai rukh-e-raushan kaa dil mein munavvar aaj-kal hai ghar hamaaraa vasila ham ko haath aaya hai bartar shafia-e-hashr hai sarvar hamaaraa ham ab maddaah-e-shaah-e-bahr-o-bar hain musakhkhar hogaa bahr-o-bar hamaaraa hamein bimaari-e-hijraan hai yaa shaah usi se haal hai abtar hamaaraa paDe hain hind mein ham yaa shah-e-din taDaptaa hai dil-e-muztar hamaaraa na taaqat hai pahunchne ki na hai sabr muayyan hai koi nayyar hamaaraa kashish bahr-e-khudaa ab kiije aisi ki shauq-e-dil hi ho rahbar hamaaraa vo sang-e-aastaan aur khaak vaan ki ye baalish aur vo bistar hamaaraa yahi khvaahish hai aur hai ye hi ummid yahi kaafi hai karr-o-far hamaaraa ataa farmaa tavakkul aur qanaaat bhaTaktaa jaae ye dar dar hamaaraa 'fidaa' apni duaa ho ye bhi maqbul dar-e-mahbub ho aur sar hamaaraa"
A
Ahmad Hasan Fida
Quote
"dil us bevafaa se milaa chaahtaa hai mujhe bhi ye rusvaa kiyaa chaahtaa hai vo duzd-e-hinaa khun-bahaa chaahtaa hai hamaaraa bhi ab khuun bahaa chaahtaa hai tamaashaa kar ai gul mire daagh-e-dil kaa agar sair-e-gulshan kiyaa chaahtaa hai ye sargoshiyaan kab hain illat se khaali adu kaan mein kuchh bharaa chaahtaa hai khudaai mein kyaa dakhl hai in buton ko jo kuchh chaahtaa hai khudaa chaahtaa hai lagaa kar lahu apne daaman mein gul bhi shahidon mein tere milaa chaahtaa hai ayaadat ko aataa hai baalin pe mere vo qaatil masihaa banaa chaahtaa hai tahayya kiyaa kaarvaan ne adam kaa jaras koi dam mein bajaa chaahtaa hai zaraa gosh-e-dil se suno haal us kaa 'fidaa' aap se kuchh kahaa chaahtaa hai"
A
Ahmad Hasan Fida
Quote
"be-daad-kash hain ham koi bedaad-gar nahin dil kis ko dijiye koi tum saa bashar nahin kahte hain vo ki baat tiri mo'atabar nahin ye bhi kinaaya hai ki fughaan mein asar nahin lillaah tegh-e-naaz karo ab miyaan mein bismil hai ik jahaan koi baaqi bashar nahin tadbir mein bhi paa-e-muqaddar hai darmiyaan sach hai kisi ke haath mein naf-o-zarar nahin saudaa-e-zulf-e-yaar kaa qissa na puchhiye ye daastaan daraaz hai kuchh mukhtasar nahin us but kaa kis se shikva-e-bedaad kijiye us samt ko khudaai hai koi idhar nahin jab tak bahaa-e-bosa na doge na deinge ham paae paDe hue dil-o-jaan-o-jigar nahin maanaa abhi na aae magar vaada to kiyaa kyunkar kahun duaa-e-sahar mein asar nahin kyaa kah ke soz-e-ishq kaa qissa sunaaein ham aatish nahin hai barq nahin hai sharar nahin sar rakh diyaa hai paanv pe qaatil ke dekhnaa aataa hai yaa vo qaabu mein yaa apnaa sar nahin puchhaa na us ne sang-dili se vagarna kyaa haal-e-kharaab ki mire us ko khabar nahin imaan-o-hubb-e-aal-e-nabi saath hai 'fidaa' be-zaad-o-raahila ye adam kaa safar nahin"
A
Ahmad Hasan Fida
Quote
"koi ummid to is dil ki bar aane diije ranj ki baat na ab kijiye jaane diije un ke chup rahne se go jaan gai kyaa gham hai ji uThungaa main abhi lab to hilaane diije ham bhi kahte hain ki khat aaegaa tab samjheinge ghair gar un ko paDhaaye to paDhaane diije rafta-rafta ye pahunch jaaegaa us ke dar tak kaasa-e-sar ko mire Thokarein khaane diije ghair kaa rang kisi tarah na jamne deinge ham ko is bazm mein naqsha to jamaane diije us sitamgar ki jafaaon kaa maza aataa hai aasmaan ham ko sataae to sataane diije dekh kar abr-e-bahaari pe gulon ki chashmak chashm-e-gul-gun se hamein ashk bahaane diije shab vo bole rukh-e-raushan se haTaa kar zulfein lo 'fidaa' subh hui ab hamein jaane diije"
A
Ahmad Hasan Fida