Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Ahmad Irfan
main na kahtaa thaa mire bhaai nahin ho sakti
aag paani mein shanaasaai nahin ho sakti
titliyaan phuul parinde use lene aae
is se baDh kar to paziraai nahin ho sakti
· · ·
Ahmad Irfan
mere ashjaar azaadaar hue jaate hain
gaanv ke gaanv jo baazaar hue jaate hain
abhi hijrat kaa iraada bhi nahin hai meraa
raaste kis liye dushvaar hue jaate hain
· · ·
Ahmad Irfan
havaa kaa shor to aaj aur bhi ziyaada hai
charaaghaan aankh mein kar lo agar iraada hai
main rahguzar mein kahin par bikhar hi jaaungaa
ye meri ruuh pe miTTi kaa ik labaada hai
· · ·
Ahmad Irfan
ab kahaan jaaungaa uTh kar main yahin rahne de
vahshat-e-khaana-badoshi tu kahin rahne de
ho gai shaah ko ab maat ki main kahtaa rahaa
are rahne de piyaade ko vahin rahne de
· · ·
Ahmad Irfan
zamin-e-dil mein mohabbat ki fasl boi gai
so ab ki baar musibat ki fasl boi gai
chalein to pairon ke chhaale bhi bol uThte hain
safar mein jaise mashaqqat ki fasl boi gai
· · ·
Ahmad Irfan
saraa-e-dahr kaa jaltaa makaan chhoD gayaa
magar vo shakhs ki apnaa nishaan chhoD gayaa
sukun ke vo sabhi pal to le gayaa hai magar
mire vajud mein apni thakaan chhoD gayaa
· · ·
Ahmad Irfan
khaak mein kyuun miri dastaar milaai hui hai
main ne izzat baDi mushkil se kamaai hui hai
chaand kaaghaz pe banaanaa hai abhi ek mujhe
abhi manzar mein faqat jhiil banaai hui hai
· · ·
Ahmad Irfan
chaand to Duub gayaa dard gavaara kar ke
meri aankhon mein ubharte rahe taare kyaa kyaa
ab agar Dasne lage hain to gila kyaa karnaa
aastinon mein to khud saanp the paale kyaa kyaa
· · ·
Ahmad Irfan
havaa ke dosh pe ye jo savaar paani hai
miraa yaqin karo be-shumaar paani hai
ki pyaas bujh nahin paai hai is se pyaason ki
isi liye to bahut sharmsaar paani hai
· · ·
Ahmad Irfan
lagi thi 'umr parindon ko ghar banaate hue
kisi ne kyuun nahin sochaa shajar giraate hue
ye zindagi thi jo dhutkaarti rahi mujh ko
main baat kartaa rahaa us se muskuraate hue
· · ·
Ahmad Irfan
jab ibtidaa charaagh thi jab intihaa charaagh
mahfil ke ikhtitaam pe phir kyaa huaa charaagh
tu hi bataa ki anjuman-aaraai kyaa hui
is anjuman mein tu bhi to jaltaa rahaa charaagh
· · ·
Ahmad Irfan
ik musaafir ki tarah duur se aayaa huaa main
ab kahaan jaaun tire dar se uThaayaa huaa main
ye alag baat ki dimak ne mujhe chaaT liyaa
ik shajar thaa tire haathon kaa lagaayaa huaa main
· · ·







