Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Akram Naqqash
hairat ke daftar jaaun
main apne andar jaaun
aankhein chaar karun sab se
aaine se Dar jaaun
· · ·
Akram Naqqash
ai abr-e-iltifaat tiraa e'tibaar phir
aankhon mein phir vo pyaas vahi intizaar phir
rakhkhun kahaan pe paanv baDhaaun kidhar qadam
rakhsh-e-khayaal aaj hai be-ikhtiyaar phir
· · ·
Akram Naqqash
TuuTi hui shabih ki taskhir kyaa karein
bujhte hue khayaal ko zanjir kyaa karein
andhaa safar hai ziist kise chhoD de kahaan
uljhaa huaa saa khvaab hai taabir kyaa karein
· · ·
Akram Naqqash
kuchh faasla nahin hai adu aur shikast mein
lekin koi suraagh nahin hai giraft mein
kuchh dakhl ikhtiyaar ko ho bud-o-hast mein
sar kar luun ye jahaan-e-alam ek jast mein
· · ·
Akram Naqqash
dasht ko DhunDne niklun to jazira nikle
paanv rakhkhun jo main viraane mein duniyaa nikle
ek biphraa huaa dariyaa hai mire chaar taraf
tu jo chaahe isi tufaan se kinaara nikle
· · ·
Akram Naqqash
gahri suuni raah aur tanhaa saa main
raat apni chaap se Dartaa saa main
tu ki meraa aaina hotaa huaa
aur tere aks mein Dhaltaa saa main
· · ·
Akram Naqqash
qaraar-e-gud-shuda mere khudaa kab aaegaa
miri duaaon mein rang-e-duaa kab aaegaa
badan se bharne lage hain ham apni ruuh ke ghaav
hamein saliqa-e-daaru-davaa kab aaegaa
· · ·
Akram Naqqash
lahu tezaab karnaa chaahtaa hai
badan ik aag dariyaa chaahtaa hai
mayassar se ziyaada chaahtaa hai
samundar jaise dariyaa chaahtaa hai
· · ·
Akram Naqqash
ba-rang-e-khvaab main bikhraa rahungaa
tire inkaar jab chuntaa rahungaa
kabhi sochaa nahin thaa main tire bin
yuun zer-e-aasmaan tanhaa rahungaa
· · ·
Akram Naqqash
habs-e-darun pe jism-e-giraan-baar sang thaa
vahshat pe meri arsa-e-aafaaq tang thaa
kuchh duur tak sahaab-e-rifaaqat rahaa rafiq
phir ehtamaam-e-baarish-e-tir-o-tafang thaa
· · ·
Akram Naqqash
koi ilzaam mere naam mere sar nahin aayaa
vo jo tufaan andar thaa mire baahar nahin aayaa
ye kis ki diid ne aankhon ko bhar Daalaa khalaa se yuun
ki phir aankhon mein koi dusraa manzar nahin aayaa
· · ·
Akram Naqqash
hairat se dekhtaa huaa chehra kiyaa mujhe
sahraa kiyaa kabhi kabhi dariyaa kiyaa mujhe
kuchh to inaayatein hain mire kaarsaaz ki
aur kuchh mire mizaaj ne tanhaa kiyaa mujhe
· · ·
Akram Naqqash
khuli aur band aankhon se use taktaa rahaa main bhi
tiri duniyaa ke pichhe bhaagtaa phirtaa rahaa main bhi
miri aavaaz pichhli raat tujh tak kaise aa paati
kisi gahre kuein mein raat bhar sotaa rahaa main bhi
· · ·
Akram Naqqash
main nahin huun nahin kahin bhi nahin
ab koi aasmaan hai na zamin
ek duniyaa hui hai zer-e-nagin
shah-nashin ho gayaa hai khaak-nashin
· · ·
Akram Naqqash
tu saath hai magar kahin teraa pataa nahin
shaakhon pe duur tak koi pattaa haraa nahin
khaamoshiyaan bhari hain fazaaon mein in dinon
ham ne bhi mausamon se idhar kuchh kahaa nahin
· · ·
Akram Naqqash
koi suntaa hi nahin kis ko sunaane lag jaaein
dard agar uTThe to kyaa shor machaane lag jaaein
bhed aisaa ki girah jis ki talab karti hai umr
ramz aisaa ki samajhne mein zamaane lag jaaein
· · ·







