SHAWORDS

ba-rang-e-khvaab main bikhraa rahungaa — Akram Naqqash

HomeAkram NaqqashGhazal
"ba-rang-e-khvaab main bikhraa rahungaa tire inkaar jab chuntaa rahungaa kabhi sochaa nahin thaa main tire bin yuun zer-e-aasmaan tanhaa rahungaa tu koi aks mujh mein DhunDnaa mat main shisha huun faqat shisha rahungaa taaffun-zaar hoti mahfilon mein khayaal-e-yaar se mahkaa rahungaa jiyungaa main tiri saanson mein jab tak khud apni saans mein zinda rahungaa gali baazaar baDhti vahshaton ko main tere naam hi likhtaa rahungaa"
Urdu

بہ رنگ خواب میں بکھرا رہوں گا ترے انکار جب چنتا رہوں گا کبھی سوچا نہیں تھا میں ترے بن یوں زیر آسماں تنہا رہوں گا تو کوئی عکس مجھ میں ڈھونڈنا مت میں شیشہ ہوں فقط شیشہ رہوں گا تعفن زار ہوتی محفلوں میں خیال یار سے مہکا رہوں گا جیوں گا میں تری سانسوں میں جب تک خود اپنی سانس میں زندہ رہوں گا گلی بازار بڑھتی وحشتوں کو میں تیرے نام ہی لکھتا رہوں گا

Hindi

ब-रंग-ए-ख़्वाब मैं बिखरा रहूँगा तिरे इंकार जब चुनता रहूँगा कभी सोचा नहीं था मैं तिरे बिन यूँ ज़ेर-ए-आसमाँ तन्हा रहूँगा तू कोई अक्स मुझ में ढूँडना मत मैं शीशा हूँ फ़क़त शीशा रहूँगा ताअफ़्फ़ुन-ज़ार होती महफ़िलों में ख़याल-ए-यार से महका रहूँगा जियूँगा मैं तिरी साँसों में जब तक ख़ुद अपनी साँस में ज़िंदा रहूँगा गली बाज़ार बढ़ती वहशतों को मैं तेरे नाम ही लिखता रहूँगा

ba-rañg-e-ḳhvāb maiñ bikhrā rahūñgā
Akram Naqqash
Akram Naqqash
Akram Naqqash
poet30 quotes

More by Akram Naqqash

View all →
Quote
"ai abr-e-iltifaat tiraa e'tibaar phir aankhon mein phir vo pyaas vahi intizaar phir rakhkhun kahaan pe paanv baDhaaun kidhar qadam rakhsh-e-khayaal aaj hai be-ikhtiyaar phir dast-e-junun-o-panja-e-vahshat chihaar-samt be-barg-o-baar hone lagi hai bahaar phir paspaaiyon ne gaaD diye daant pusht par yuun daaman-e-ghurur huaa taar taar phir nishtar tiri zabaan hi nahin khaamshi bhi hai kuchh rah-guzaar-e-rabt hui khaar-zaar phir mujh mein koi savaal tire maa-sivaa nahin mujh mein yahi savaal huaa ek baar phir"
Akram NaqqashAkram Naqqash
Quote
"kuchh faasla nahin hai adu aur shikast mein lekin koi suraagh nahin hai giraft mein kuchh dakhl ikhtiyaar ko ho bud-o-hast mein sar kar luun ye jahaan-e-alam ek jast mein ab vaadi-e-badan mein koi boltaa nahin suntaa huun aap apni sadaa baaz-gasht mein rukh hai mire safar kaa alag teri samt aur ik su-e-murgh-zaar chale ek dasht mein kis shaah kaa guzar hai ki mafluj jism-o-jaan ji jaan se juTe hue hain band-o-bast mein ye puchh aa ke kaun nasibon jiyaa hai dil mat dekh ye ki kaun sitaara hai bakht mein kis soz ki kasak hai nigaahon ke aas paas kis khvaab ki shikast umaD aai hai tasht mein"
Akram NaqqashAkram Naqqash
Quote
"dasht ko DhunDne niklun to jazira nikle paanv rakhkhun jo main viraane mein duniyaa nikle ek biphraa huaa dariyaa hai mire chaar taraf tu jo chaahe isi tufaan se kinaara nikle ek mausam hai dil o jaan pe faqat din ho ki raat aasmaan koi ho dil par vahi taaraa nikle dekhtaa huun main tiri raah mein daam-e-hairat raushni raat se aur dhuup se saaya nikle is se pahle ye kabhi dil ne kahaa hi kab thaa raat kuchh aur baDhe chaand dobaara nikle aankh jhukti hai to milti hai khamoshi ko zabaan band honTon se koi boltaa dariyaa nikle ishq ik aisi haveli hai ki jis se baahar koi darvaaza khule aur na daricha nikle sehr ne tere ajab raah sujhaai hamdam ham kahaan jaane ko nikle the kahaan aa nikle"
Akram NaqqashAkram Naqqash
Quote
"gahri suuni raah aur tanhaa saa main raat apni chaap se Dartaa saa main tu ki meraa aaina hotaa huaa aur tere aks mein Dhaltaa saa main kab tire kuche se kar jaanaa hai kuuch is tasavvur se hi ghabraataa saa main meri raahon ke liye manzil tu hi tere qadmon ke liye rastaa saa main aasmaan mein rang bikhraataa saa tu aur saraapaa diid ban jaataa saa main hasrat-e-taabir se chhuTun kabhi har nafas is khvaab mein jaltaa saa main be-karaan hotaa huaa dasht-e-gumaan aur yaqin ke daar par aayaa saa main naa koi manzar na ab koi khayaal ab har ik shai bhultaa jaataa saa main"
Akram NaqqashAkram Naqqash

More on Maa

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb