Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Ambareen Haseeb Ambar
ik gali se khushbu ki rasm-o-raah kaafi hai
laakh jabr mausam ho ye panaah kaafi hai
niyyat-e-zulekhaa ki khoj mein rahe duniyaa
apni be-gunaahi ko dil gavaah kaafi hai
· · ·
Ambareen Haseeb Ambar
ayaan donon se takmil-e-jahaan hai
zamin gum ho to phir kyaa aasmaan hai
tilsmaati koi qissa hai duniyaa
yahaan har din nai ik daastaan hai
· · ·
Ambareen Haseeb Ambar
zindagi-bhar ek hi kaar-e-hunar karte rahe
ik gharaundaa ret kaa thaa jis ko ghar karte rahe
ham ko bhi maalum thaa anjaam kyaa hogaa magar
shahr-e-kufa ki taraf ham bhi safar karte rahe
· · ·
Ambareen Haseeb Ambar
zamin pe insaan khudaa banaa thaa vabaa se pahle
vo khud ko sab kuchh samajh rahaa thaa vabaa se pahle
palak jhapakte hi saaraa manzar badal gayaa hai
yahaan to mela lagaa huaa thaa vabaa se pahle
· · ·
Ambareen Haseeb Ambar
khushi kaa lamha ret thaa so haath se nikal gayaa
vo chaudhvin kaa chaand thaa andheri shab mein Dhal gayaa
hai vasf us ke paas ye badal sake har ek shai
so mujh ko bhi badal diyaa aur aap bhi badal gayaa
· · ·
Ambareen Haseeb Ambar
jism-o-jaan mein dar aai is qadar aziyyat kyuun
zindagi bhalaa tujh se ho rahi hai vahshat kyuun
silsila mohabbat kaa sirf khvaab hi rahtaa
apne darmiyaan aakhir aa gai haqiqat kyuun
· · ·
Ambareen Haseeb Ambar
milaa bhi ziist mein kyaa ranj-e-rah-guzaar se kam
so apnaa shauq-e-safar bhi nahin ghubaar se kam
tire firaaq mein dil kaa ajiib aalam hai
na kuchh khumaar se baDh kar na kuchh khumaar se kam
· · ·
Ambareen Haseeb Ambar
ab asiri ki ye tadbir hui jaati hai
ek khushbu miri zanjir hui jaati hai
ik hasin khvaab ki aankhon se nikaltaa hi nahin
ek vahshat hai ki taabir hui jaati hai
· · ·
Ambareen Haseeb Ambar
charaagh ghar mein jalaa nahin hai
ye raat kaa masala nahin hai
ye raat tum se nahin kaTegi
ye hijr hai rat-jagaa nahin hai
· · ·
Ambareen Haseeb Ambar
dil jin ko DhunDhtaa hai na-jaane kahaan gae
khvaab-o-khayaal se vo zamaane kahaan gae
maanus baam-o-dar se nazar puchhti rahi
un mein base vo log puraane kahaan gae
· · ·
Ambareen Haseeb Ambar
shab thi be-khvaab ik aarzu der tak
shahr-e-dil mein phiri ku-ba-ku der tak
chaandni se tasavvur kaa dar vaa huaa
tum se hoti rahi guftugu der tak
· · ·
Ambareen Haseeb Ambar
kab mausam-e-bahaar pukaaraa nahin kiyaa
ham ne tire baghair gavaara nahin kiyaa
duniyaa to ham se haath milaane ko aai thi
ham ne hi e’tibaar dobaara nahin kiyaa
· · ·
Ambareen Haseeb Ambar
bahte hue ashkon ki ravaani nahin likkhi
main ne gham-e-hijraan ki kahaani nahin likkhi
jis din se tire haath se chhuTaa hai miraa haath
us din se koi shaam suhaani nahin likkhi
· · ·
Ambareen Haseeb Ambar
main use dekh rahi huun baDi hairaani se
jo mujhe bhuul gayaa is qadar aasaani se
khud se ghabraa ke yahi kahti huun auron ki tarah
khauf aataa hai mujhe shahr ki viraani se
· · ·
Ambareen Haseeb Ambar
ai khudaa ajab hai tiraa jahaan miraa dil yahaan pe lagaa nahin
jahaan koi ahl-e-vafaa nahin kisi lab pe harf-e-duaa nahin
baDaa shor thaa tire shahr kaa so guzaar aae hain din vahaan
vo sakun ki jis ki talaash hai tire shahr mein bhi milaa nahin
· · ·
Ambareen Haseeb Ambar
ho gai baat puraani phir bhi
yaad hai mujh ko zabaani phir bhi
mauja-e-gham ne to dam toD diyaa
rah gayaa aankh mein paani phir bhi
· · ·
Ambareen Haseeb Ambar
ye shoale aazmaanaa jaante hain
so ham daaman bachaanaa jaante hain
taalluq jo bhi rakkho soch lenaa
ki ham rishta nibhaanaa jaante hain
· · ·
Ambareen Haseeb Ambar
tumhaaraa jo sahaaraa ho gayaa hai
bhanvar bhi ab kinaaraa ho gayaa hai
mohabbat mein bhalaa kyaa aur hotaa
miraa ye dil tumhaaraa ho gayaa hai
· · ·
Ambareen Haseeb Ambar
is aarzi duniyaa mein har baat adhuri hai
har jiit hai laa-haasil har maat adhuri hai
kuchh der ki rim-jhim ko maalum nahin shaayad
jal-thal na ho aangan to barsaat adhuri hai
· · ·
Ambareen Haseeb Ambar
main ne sochaa hai raat-bhar tum ko
kaash ho jaae ye khabar tum ko
zindagi mein kabhi kisi ko bhi
main ne chaahaa nahin magar tum ko
· · ·
Ambareen Haseeb Ambar
vo masihaa na banaa ham ne bhi khvaahish nahin ki
apni sharton pe jiye us se guzaarish nahin ki
us ne ik roz kiyaa ham se achaanak vo savaal
dhaDkanein tham si gaiin vaqt ne jumbish nahin ki
· · ·
Ambareen Haseeb Ambar
dhyaan mein aa kar baiTh gae ho tum bhi naan
mujhe musalsal dekh rahe ho tum bhi naan
de jaate ho mujh ko kitne rang nae
jaise pahli baar mile ho tum bhi naan
· · ·
Ambareen Haseeb Ambar
jab se zindagi huaa dil gardish-e-taqdir kaa
roz baDh jaataa hai ik halqa miri zanjir kaa
mere hisse mein kahaan thiin ujlaton ki manzilein
mere qadmon ko sadaa rasta milaa taakhir se
· · ·
Ambareen Haseeb Ambar
sitaara-baar ban jaae nazar aisaa nahin hotaa
har ik ummid bar aae magar aisaa nahin hotaa
mohabbat aur qurbaani mein hi taamir muzmar hai
dar-o-divaar se ban jaae ghar aisaa nahin hotaa
· · ·







