SHAWORDS

milaa bhi ziist mein kyaa ranj-e-rah-guzaar se kam — Ambareen Haseeb Ambar

"milaa bhi ziist mein kyaa ranj-e-rah-guzaar se kam so apnaa shauq-e-safar bhi nahin ghubaar se kam tire firaaq mein dil kaa ajiib aalam hai na kuchh khumaar se baDh kar na kuchh khumaar se kam hansi-khushi ki rafaaqat kisi se kyaa chaahein yahaan to miltaa nahin koi gham-gusaar se kam vo muntazir hai yaqinan havaa-e-sarsar kaa jo habs ho na sakaa baad-e-nau-bahaar se kam bulandiyon ke safar mein qadam zamin pe rahein ye takht-o-taaj bhi hote nahin hain daar se kam ajiib rangon se mujh ko sanvaar deti hai ki vo nigaah-e-sataaish nahin singhaar se kam miri anaa hi sadaa darmiyaan rahi haael vagarna kuchh bhi nahin mere ikhtiyaar se kam vo jang jis mein muqaabil rahe zamir miraa mujhe vo jiit bhi 'amabar' na hogi haar se kam"
Urdu

ملا بھی زیست میں کیا رنج رہ گزار سے کم سو اپنا شوق سفر بھی نہیں غبار سے کم ترے فراق میں دل کا عجیب عالم ہے نہ کچھ خمار سے بڑھ کر نہ کچھ خمار سے کم ہنسی خوشی کی رفاقت کسی سے کیا چاہیں یہاں تو ملتا نہیں کوئی غم گسار سے کم وہ منتظر ہے یقیناً ہوائے سرسر کا جو حبس ہو نہ سکا باد نوبہار سے کم بلندیوں کے سفر میں قدم زمیں پہ رہیں یہ تخت و تاج بھی ہوتے نہیں ہیں دار سے کم عجیب رنگوں سے مجھ کو سنوار دیتی ہے کہ وہ نگاہ ستائش نہیں سنگھار سے کم مری انا ہی سدا درمیاں رہی حائل وگرنہ کچھ بھی نہیں میرے اختیار سے کم وہ جنگ جس میں مقابل رہے ضمیر مرا مجھے وہ جیت بھی عنبرؔ نہ ہوگی ہار سے کم

Hindi

मिला भी ज़ीस्त में क्या रन्ज-ए-रह-गुज़ार से कम सो अपना शौक़-ए-सफ़र भी नहीं ग़ुबार से कम तिरे फ़िराक़ में दिल का अजीब आलम है न कुछ ख़ुमार से बढ़ कर न कुछ ख़ुमार से कम हँसी-ख़ुशी की रफ़ाक़त किसी से क्या चाहें यहाँ तो मिलता नहीं कोई ग़म-गुसार से कम वो मुंतज़िर है यक़ीनन हवा-ए-सरसर का जो हब्स हो न सका बाद-ए-नौ-बहार से कम बुलंदियों के सफ़र में क़दम ज़मीं पे रहें ये तख़्त-ओ-ताज भी होते नहीं हैं दार से कम अजीब रंगों से मुझ को सँवार देती है कि वो निगाह-ए-सताइश नहीं सिंघार से कम मिरी अना ही सदा दरमियाँ रही हाएल वगर्ना कुछ भी नहीं मेरे इख़्तियार से कम वो जंग जिस में मुक़ाबिल रहे ज़मीर मिरा मुझे वो जीत भी 'अम्बर' न होगी हार से कम

milā bhī ziist meñ kyā ranj-e-rah-guzār se kam
Ambareen Haseeb Ambar
Ambareen Haseeb Ambar
Ambareen Haseeb ambar
poet54 quotes

More by Ambareen Haseeb Ambar

View all →
Quote
"ayaan donon se takmil-e-jahaan hai zamin gum ho to phir kyaa aasmaan hai tilsmaati koi qissa hai duniyaa yahaan har din nai ik daastaan hai jo tum ho to ye kaise maan luun main ki jo kuchh hai yahaan bas ik gumaan hai saron par aasmaan hote hue bhi jise dekho vahi be-saaebaan hai kisi dharti ki shaayad ret hogi hamaare vaaste jo kahkashaan hai agar thaa chand-roza mausam-e-gul to phir do chaar hi din ki khizaan hai jise umr-e-ravaan kahte hain 'amabar' chalo dekhein kahaan tak raaegaan hai"
Ambareen Haseeb AmbarAmbareen Haseeb Ambar
Quote
"zindagi-bhar ek hi kaar-e-hunar karte rahe ik gharaundaa ret kaa thaa jis ko ghar karte rahe ham ko bhi maalum thaa anjaam kyaa hogaa magar shahr-e-kufa ki taraf ham bhi safar karte rahe uD gae saare parinde mausamon ki chaah mein intizaar un kaa magar buDhe shajar karte rahe yuun to ham bhi kaun saa zinda rahe is shahr mein zinda hone ki adaakaari magar karte rahe aankh rah takti rahi dil us ko samjhaataa rahaa apnaa apnaa kaam donon umr-bhar karte rahe ik nahin kaa khauf thaa so ham ne puchhaa hi nahin yaad kyaa ham ko bhi vo divaar-o-dar karte rahe"
Ambareen Haseeb AmbarAmbareen Haseeb Ambar
Quote
"zamin pe insaan khudaa banaa thaa vabaa se pahle vo khud ko sab kuchh samajh rahaa thaa vabaa se pahle palak jhapakte hi saaraa manzar badal gayaa hai yahaan to mela lagaa huaa thaa vabaa se pahle tum aaj haathon se duriyaan naapte ho socho dilon mein kis darja faasla thaa vabaa se pahle ajiib si dauD mein sab aise lage hue the makaan makinon ko DhunDhtaa thaa vabaa se pahle ham aaj khalvat mein is zamaane ko ro rahe hain vo jis se sab ko bahut gila thaa vabaa se pahle na jaane kyon aa gayaa duaa mein miri vo bachcha saDak pe jo phuul bechtaa thaa vabaa se pahle duaa ko uTThe hain haath 'amabar' to dhyaan aayaa ye aasmaan surkh ho chukaa thaa vabaa se pahle"
Ambareen Haseeb AmbarAmbareen Haseeb Ambar
Quote
"khushi kaa lamha ret thaa so haath se nikal gayaa vo chaudhvin kaa chaand thaa andheri shab mein Dhal gayaa hai vasf us ke paas ye badal sake har ek shai so mujh ko bhi badal diyaa aur aap bhi badal gayaa machal rahaa thaa dil bahut so dil ki baat maan li samajh rahaa hai naa-samajh ki daav us kaa chal gayaa ye dauD bhi ajiib si hai faisla ajib-tar ki faateh-e-hayaat vo jo gir ke phir sambhal gayaa samajh liyaa aham nahin main us ke vaaste magar nazar phir us se mil gai ye dil ki phir bahal gayaa ajiib meraa aks thaa utar ke us ki aankh mein sanvaaraa mujh ko is tarah ki aaina hi jal gayaa"
Ambareen Haseeb AmbarAmbareen Haseeb Ambar
Quote
"jism-o-jaan mein dar aai is qadar aziyyat kyuun zindagi bhalaa tujh se ho rahi hai vahshat kyuun silsila mohabbat kaa sirf khvaab hi rahtaa apne darmiyaan aakhir aa gai haqiqat kyuun faisla bichhaDne kaa kar liyaa hai jab tum ne phir miri tamannaa kyaa phir miri ijaazat kyuun ye ajiib uljhan hai kis se puchhne jaaein aaine mein rahti hai sirf ek surat kyuun karr-o-farr se nikle the jo sameTne duniyaa bhar ke apne daaman mein aa gae nadaamat kyuun aap se mukhaatib huun aap hi ke lahje mein phir ye barhami kaisi aur ye shikaayat kyuun"
Ambareen Haseeb AmbarAmbareen Haseeb Ambar
Quote
"ik gali se khushbu ki rasm-o-raah kaafi hai laakh jabr mausam ho ye panaah kaafi hai niyyat-e-zulekhaa ki khoj mein rahe duniyaa apni be-gunaahi ko dil gavaah kaafi hai umr-bhar ke sajdon se mil nahin saki jannat khuld se nikalne ko ik gunaah kaafi hai aasmaan pe jaa baiThe ye khabar nahin tum ko arsh ke hilaane ko ek gunaah kaafi hai pairvi se mumkin hai kab rasaai manzil tak naqsh-e-paa miTaane ko gard-e-raah kaafi hai chaar din ki hasti mein hans ke ji liye 'amabar' be-nashaat duniyaa se ye nibaah kaafi hai"
Ambareen Haseeb AmbarAmbareen Haseeb Ambar

More on Sad

View all →
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
A
Aiman Amritsari
Quote
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari