Quote
"ayaan donon se takmil-e-jahaan hai zamin gum ho to phir kyaa aasmaan hai tilsmaati koi qissa hai duniyaa yahaan har din nai ik daastaan hai jo tum ho to ye kaise maan luun main ki jo kuchh hai yahaan bas ik gumaan hai saron par aasmaan hote hue bhi jise dekho vahi be-saaebaan hai kisi dharti ki shaayad ret hogi hamaare vaaste jo kahkashaan hai agar thaa chand-roza mausam-e-gul to phir do chaar hi din ki khizaan hai jise umr-e-ravaan kahte hain 'amabar' chalo dekhein kahaan tak raaegaan hai"
