Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Ameer Imam
koi khushi na koi ranj mustaqil hogaa
fanaa ke rang se har rang muttasil hogaa
ajab hai ishq ajab-tar hain khvaahishein is ki
kabhi kabhi to bichhaDne talak ko dil hogaa
· · ·
Ameer Imam
ham be-vafaa hain tum ho vafaa-daar khush raho
sarkaar khush raho miri sarkaar khush raho
le jaao apni zulf ke saae sameT kar
ham ko bahut hai saaya-e-divaar khush raho
· · ·
Ameer Imam
hai kaun kis ki zaat ke andar likheinge ham
nahr-e-ravaan ko pyaas kaa manzar likheinge ham
ye saara shahr aalaa-e-hikmat likhe use
khanjar agar hai koi to khanjar likheinge ham
· · ·
Ameer Imam
bahte dariyaaon tak aaeinge uThaa leinge tumhein
mere honThon se khabar-daar churaa leinge tumhein
jam' ho jaae zaraa aur khamoshi dil mein
ham isi dil ki khamoshi se banaa leinge tumhein
· · ·
Ameer Imam
rang tamaam bhar chuki subh-ba-khair zindagi
mujh mein qazaa nikhar chuki subh-ba-khair zindagi
tere bhi zakhm bhar diye aur havaa-e-vaqt ab
mere bhi zakhm bhar chuki subh-ba-khair zindagi
· · ·
Ameer Imam
vo maarka ki aaj bhi sar ho nahin sakaa
main thak ke muskuraa diyaa jab ro nahin sakaa
is baar ye huaa tiri yaadon ki bhiiD mein
har gaam khud ko mil gayaa main kho nahin sakaa
· · ·
Ameer Imam
maddham hui to aur nikharti chali gai
zinda hai ek yaad jo marti chali gai
thi zindagi ki misl shab-e-hijr dosto
aur zindagi ki misl guzarti chali gai
· · ·
Ameer Imam
vo aasmaan ki hadon kaa shu'ur ho jaanaa
magar ye kyaa ki zaminon se duur ho jaanaa
us ek ashk kaa bahnaa nasheb-e-jaan ki taraf
aur andarun mein har samt nuur ho jaanaa
· · ·
Ameer Imam
khud ko har aarzu ke us paar kar liyaa hai
ham ne ab us kaa saaya divaar kar liyaa hai
jaati thi mere dil se jo tere aastaan tak
duniyaa ne us gali mein baazaar kar liyaa hai
· · ·
Ameer Imam
ai junun-e-'ishq teri tang-dasti ki taraf
hasraton se tak rahe hain apni hasti ki taraf
chaand bhi fursat se thaa to baaton baaton mein yunhi
ghuum aae ham tiri yaadon ki basti ki taraf
· · ·
Ameer Imam
tamaam lafz-o-ma’aani mein khaak uDti hai
hamaari sehr-bayaani mein khaak uDti hai
havaa khamir mein shaamil hai meri khaak ke saath
to meri saari kahaani mein khaak uDti hai
· · ·
Ameer Imam
dopahar mein bhi vahi sham' jalaae hue din
apne kaandhon pe shab-e-hijr uThaae hue din
tum se bichhDe the to divaar ki maanind thi raat
aur phir bas usi mahtaab ke saae hue din
· · ·
Ameer Imam
kis se ruk saktaa thaa jo kaar-e-ziyaan hone ko thaa
raaegaan hotaa gayaa jo raaegaan hone ko thaa
tum the tanhaai thi lekin ham na jaane kis liye
ruk gae varna vo lamha jaavedaan hone ko thaa
· · ·
Ameer Imam
khushbu-e-raaegaani aa'saab muzmahil se
ham bhi khajil khajil se tum bhi khajil khajil se
aavaaz de rahi hain naadida kahkashaaein
lekin mafar kahaan is zindaan-e-aab-o-gil se
· · ·
Ameer Imam
aankh ki raah se yaa dil ki Dagar se pahle
us ki marzi vo chalaa aae jidhar se pahle
baDh gai phailti afvaah se raftaar miri
mil gayaa main mire milne ki khabar se pahle
· · ·
Ameer Imam
main vo charaagh sadaa jis ne ikhtilaaf kiyaa
vagarna sab ne havaaon kaa e'tiraaf kiyaa
bikhar rahi hai mire dil mein raushni har su
vahin se yaad ne teri jahaan shigaaf kiyaa
· · ·
Ameer Imam
badalte vaqt se badlaa nahin nazaara-e-'ishq
vo aasmaan-e-khamoshi vahi sitaara-e-'ishq
ham ahl-e-'ishq ko aataa hai hukm-e-'ishq sadaa
kitaab-e-'ishq se karte hain istikhaara-e-'ishq
· · ·
Ameer Imam
savaal-e-dast-e-gadaai pe khatm hotaa hai
ye shahr khud se laDaai pe khatm hotaa hai
musaafiraan-e-mohabbat ko manzilein kab hain
safar ye aabla-paai pe khatm hotaa hai
· · ·
Ameer Imam
dhammaal vo paDaa ki badan past ho gayaa
aai jo mujh ko hijr ki bu mast ho gayaa
sab tiir mere qalb se ho kar guzar gae
lekin vo ek tiir ki paivast ho gayaa
· · ·
Ameer Imam
bimaar-e-aagahi tiri vajh-e-shifaa hai dil
mushkil-parast 'aql to mushkil-kushaa hai dil
TuuTe na koi khvaab to dil koi shai nahin
khvaabon ke TuTne ki khanakti sadaa hai dil
· · ·
Ameer Imam
sulagti dhuup barasti ghaTaa nahin aai
hamaare jism pe koi qabaa nahin aai
tumhaare saath bhi aai na zindagi ham tak
tumhaare baa'd bhi ham tak qazaa nahin aai
· · ·
Ameer Imam
jo hogi subh to lauTeinge shaam se nikle
tamaam 'ishq ke naakaam kaam se nikle
tu mujh ko chhu ki tiri ungliyaan mahak uTThein
ye meraa jism bhi fikr-e-davaam se nikle
· · ·
Ameer Imam
kaisi jaadu-bayaaniyaan ham the
jab tumhaari kahaaniyaan ham the
hamein DhunDo na raaegaani mein
raaegaan raaegaaniyaan ham the
· · ·
Ameer Imam
rudaad-e-jaan kahein jo zaraa dam mile hamein
us dil ke raaste mein kai kham mile hamein
labbaik pahle ham ne kahaa thaa rasul-e-husn
ho kaar-zaar-e-ishq to parcham mile hamein
· · ·







