"koi khushi na koi ranj mustaqil hogaa fanaa ke rang se har rang muttasil hogaa ajab hai ishq ajab-tar hain khvaahishein is ki kabhi kabhi to bichhaDne talak ko dil hogaa badan mein ho to gila kyaa tamaash-bini kaa yahaan to roz tamaashaa-o-aab-o-gil hogaa abhi to aur bhi chehre tumhein pukaareinge abhi vo aur bhi chehron mein muntaqil hogaa ziyaan mazid hai asbaab DhunDhte rahnaa huaa hai jo vo na hone pe mushtamil hogaa tamaam-raat bhaTaktaa phiraa hai saDkon par hui hai subh abhi shahr muzmahil hogaa"
savaal-e-dast-e-gadaai pe khatm hotaa hai — Ameer Imam
"savaal-e-dast-e-gadaai pe khatm hotaa hai ye shahr khud se laDaai pe khatm hotaa hai musaafiraan-e-mohabbat ko manzilein kab hain safar ye aabla-paai pe khatm hotaa hai khudaa khudaa hai ki mahdud ho nahin saktaa khudaa kahaan jo khudaai pe khatm hotaa hai kabhi visaal pe hotaa hai ikhtitaam is kaa kabhi ye 'ishq judaai pe khatm hotaa hai miraa jahaan miri chashm-e-khun-fishaan ho kar kisi ke dast-e-hinaai pe khatm hotaa hai sadaa-e-jaan ke ta'aaqub kaa silsila ik din khamoshiyon ki rasaai pe khatm hotaa hai kisi khayaal se ab tak jo ik ta'alluq thaa kuchh aansuon ki rihaai pe khatm hotaa hai"
سوال دست گدائی پہ ختم ہوتا ہے یہ شہر خود سے لڑائی پہ ختم ہوتا ہے مسافران محبت کو منزلیں کب ہیں سفر یہ آبلہ پائی پہ ختم ہوتا ہے خدا خدا ہے کہ محدود ہو نہیں سکتا خدا کہاں جو خدائی پہ ختم ہوتا ہے کبھی وصال پہ ہوتا ہے اختتام اس کا کبھی یہ عشق جدائی پہ ختم ہوتا ہے مرا جہان مری چشم خوں فشاں ہو کر کسی کے دست حنائی پہ ختم ہوتا ہے صدائے جاں کے تعاقب کا سلسلہ اک دن خموشیوں کی رسائی پہ ختم ہوتا ہے کسی خیال سے اب تک جو اک تعلق تھا کچھ آنسوؤں کی رہائی پہ ختم ہوتا ہے
सवाल-ए-दस्त-ए-गदाई पे ख़त्म होता है ये शह्र ख़ुद से लड़ाई पे ख़त्म होता है मुसाफ़िरान-ए-मोहब्बत को मंज़िलें कब हैं सफ़र ये आबला-पाई पे ख़त्म होता है ख़ुदा ख़ुदा है कि महदूद हो नहीं सकता ख़ुदा कहाँ जो ख़ुदाई पे ख़त्म होता है कभी विसाल पे होता है इख़्तिताम इस का कभी ये 'इश्क़ जुदाई पे ख़त्म होता है मिरा जहान मिरी चश्म-ए-ख़ूँ-फ़िशाँ हो कर किसी के दस्त-ए-हिनाई पे ख़त्म होता है सदा-ए-जाँ के त'आक़ुब का सिलसिला इक दिन ख़मोशियों की रसाई पे ख़त्म होता है किसी ख़याल से अब तक जो इक त'अल्लुक़ था कुछ आँसुओं की रिहाई पे ख़त्म होता है

More by Ameer Imam
View all →"ham be-vafaa hain tum ho vafaa-daar khush raho sarkaar khush raho miri sarkaar khush raho le jaao apni zulf ke saae sameT kar ham ko bahut hai saaya-e-divaar khush raho hone pe apne aap ke israar kab kiyaa hone se khud hamein bhi hai inkaar khush raho ham to faqat hain bhiiD baDhaane ke vaaste tam ho binaa-e-raunaq-e-baazaar khush raho tum khush raho ki ab koi khatra nahin tumhein ham ho chuke hain khud mein giraftaar khush raho tum auraton pe ham ne hamesha sitam kiye ham mard hain sadaa ke jafaa-kaar khush raho be-vajh gham kaa Dhong rachaane se faaeda yuun bhi hain sab tumhaare parastaar khush raho insaan bhi ham kharaab hain shaa'ir bhi hain kharaab be-kaar ye ghazal hai ye ash'aar khush raho"
"hai kaun kis ki zaat ke andar likheinge ham nahr-e-ravaan ko pyaas kaa manzar likheinge ham ye saara shahr aalaa-e-hikmat likhe use khanjar agar hai koi to khanjar likheinge ham ab tum sipaas-naama-e-shamshir likh chuke ab dastaan-e-laasha-e-be-sar likheinge ham rakkhi hui hai donon ki buniyaad ret par sahraa-e-be-karaan ko samundar likheinge ham is shahr-e-be-charaagh ki aandhi na ho udaas tujh ko havaa-e-kucha-e-dil-bar likheinge ham kyaa husn un labon mein jo pyaase nahin rahe sukhe hue labon ko gul-e-tar likheinge ham ham se gunaahgaar bhi us ne nibhaa liye jannat se yuun zamin ko behtar likheinge ham"
"bahte dariyaaon tak aaeinge uThaa leinge tumhein mere honThon se khabar-daar churaa leinge tumhein jam' ho jaae zaraa aur khamoshi dil mein ham isi dil ki khamoshi se banaa leinge tumhein daa’vedaaron ki yahaan bhiiD lagi hai lekin masnad-e-dil pe bahar-haal biThaa leinge tumhein qatra-e-khun ho to khanjar pe rakheinge tum ko aur aansu ho to palkon pe sajaa leinge tumhein vaqt ke haathon se bachtaa hai yahaan kaun magar sakht hairat hai ki ik roz ye aa leinge tumhein abhi kuchh aur zamaane pe 'ayaan ho jaaein dekhnaa saare zamaane se chhupaa leinge tumhein tum bhi ik roz kisi aur mein paa loge hamein ham bhi ik roz kisi aur mein paa leinge tumhein"
"rang tamaam bhar chuki subh-ba-khair zindagi mujh mein qazaa nikhar chuki subh-ba-khair zindagi tere bhi zakhm bhar diye aur havaa-e-vaqt ab mere bhi zakhm bhar chuki subh-ba-khair zindagi dil mein kisi khayaal ki raat havaa chali bahut ab vo havaa Thahar chuki subh-ba-khair zindagi bujh gae sab charaagh khud qissa-e-maa tamaam-shud pahli kiran utar chuki subh-ba-khair zindagi aaina-e-khalaa mein ab main bhi bahut sanvar chukaa tu bhi bahut sanvar chuki subh-ba-khair zindagi raat nahin guzar saki mujh se jo ek 'umr tak raat vo ab guzar chuki subh-ba-khair zindagi yaad nahin hai shakl jo ye to usi ki shakl hai shakl tiri ubhar chuki subh-ba-khair zindagi"
"rudaad-e-jaan kahein jo zaraa dam mile hamein us dil ke raaste mein kai kham mile hamein labbaik pahle ham ne kahaa thaa rasul-e-husn ho kaar-zaar-e-ishq to parcham mile hamein aae ik aisaa zakhm jo bharnaa na ho kabhi yaani har ek zakhm kaa marham mile hamein din mein jahaan saraab mile the hamein vahaan aai jo raat qatra-e-shabnam mile hamein tum jaise aur log bhi honge jahaan mein ye baat aur hai ki bahut kam mile hamein jab saath the to mil ke bhi milnaa na ho sakaa jab se bichhaD gae ho to paiham mile hamein aur phir hamein bhi khud pe bahut pyaar aa gayaa us ki taraf khaDe hue jab ham mile hamein jo umr-bhar kaa saath nibhaataa na mil sakaa vaise to zindagi mein bahut gham mile hamein"
More on Sad
View all →"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"