SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byArif Nadwi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

GhazalArif Nadwi

Arif Nadwi

bulbulein phirti rahin khaashaak gulshan ke liye

bijliyaan taDpaa hi kiin un ke nasheman ke liye

jis chaman ke phuul bhi kaanTe hon daaman ke liye

sar khapaanaa hai vahin islaah-e-gulshan ke liye

· · ·

GhazalArif Nadwi

Arif Nadwi

har naam har andaaz-e-sitam 'aam nahin hai

lein lutf-e-sitam sab kaa to ye kaam nahin hai

is bazm mein in'aam-e-jafaa 'aam nahin hai

vo qadr-e-fazaa-e-havas-e-khaam nahin hai

· · ·

GhazalArif Nadwi

Arif Nadwi

nigaah-e-barq thi ab tak to mere hi nasheman par

magar ab kuchh taDap si dekhtaa huun saare gulshan par

kahun kis tarh khun-e-be-gunah aur un ki gardan par

nazar aate hain lekin kuchh lahu ke daagh daaman par

· · ·

GhazalArif Nadwi

Arif Nadwi

gulshan mein shor-e-zaagh-o-zaghan kuchh na puchhiye

kyaa kuchh hai bulbulon ki kuDhan kuchh na puchhiye

kunj-e-qafas mein haal-e-chaman kuchh na puchhiye

afsaana-e-nishaat-e-kuhan kuchh na puchhiye

· · ·

GhazalArif Nadwi

Arif Nadwi

ghair se qurb dost se duuri

ikhtiyaari si hai ye majburi

qurb mumkin ho aur phir duuri

haae kam-bakht teri mahjuri

· · ·

GhazalArif Nadwi

Arif Nadwi

jiine ke liye jaan se guzarnaa bhi to sikho

marte hi ho to shauq se marnaa bhi to sikho

hai abru-e-khamdaar-e-hasina to nazar mein

gardan kabhi talvaar pe dharnaa bhi to sikho

· · ·

GhazalArif Nadwi

Arif Nadwi

jalve jalve kaa nayaa andaaz hai

har taraf ik dilrubaa eajaaz hai

ruuh par ik kaif-e-soz-o-saaz hai

dil mein koi yuun navaa-parvaaz hai

· · ·

GhazalArif Nadwi

Arif Nadwi

fazaa-e-qurb mein betaabi-e-dil baDhti jaati hai

mohabbat ki taDap manzil-ba-manzil baDhti jaati hai

udhar baarish musalsal jalva-haa-e-be-mahaabaa ki

idhar mahdud nazaare ki mushkil baDhti jaati hai

· · ·

GhazalArif Nadwi

Arif Nadwi

sadd-e-raah aap agar laghzish-e-raftaar na ho

raah-rau ko rah-e-dushvaar bhi dushvaar na ho

duriyaan duri-e-manzil ke tavahhum ki thiin

dekh nazdik rag-e-jaan hi kahin yaar na ho

· · ·

GhazalArif Nadwi

Arif Nadwi

taraqqi aur raftaar-e-zamaana

hasin unvaan huzn-aagin fasaana

jo badle nit nayaa ek aastaana

bhalaa aisi jabin kaa kyaa Thikaanaa

· · ·

GhazalArif Nadwi

Arif Nadwi

husn ke gun gin sakun ye gun kahaan rakhtaa huun main

lab nahin khulte magar zauq-e-bayaan rakhtaa huun main

lau jahaan di shama ne main bhi taDap kar jal bujhaa

fitrat-e-parvaana-e-aatish-ba-jaan rakhtaa huun main

· · ·

GhazalArif Nadwi

Arif Nadwi

khabar pahunchi unhein bhi kab bahaar-e-hashr-saamaan ki

fazaa mein dhajjiyaan jab uD chukin jaib-o-garebaan ki

unhein uljhaa diyaa kitnaa kisi ke dast-e-vahshat ne

pareshaani pata deti hai ye zulf-e-pareshaan ki

· · ·

GhazalArif Nadwi

Arif Nadwi

hai husn sau hijaab-e-farozaan liye hue

kyaa dekhe koi dida-e-hairaan liye hue

lutf-e-qubul-e-husn kaa armaan liye hue

haazir hain ham mataa-e-dil-o-jaan liye hue

· · ·