Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Aslam Kolsarii
nazar ko vaqf-e-hairat kar diyaa hai
use bhi dil se rukhsat kar diyaa hai
baraae-naam thaa aaraam jis ko
ghazal kah kar musibat kar diyaa hai
· · ·
Aslam Kolsarii
har-chand be-navaa hai kore ghaDe kaa paani
divaan 'mir' kaa hai kore ghaDe kaa paani
uplon ki aag ab tak haathon se jhaankti hai
aankhon mein jaagtaa hai kore ghaDe kaa paani
· · ·
Aslam Kolsarii
soch ki uljhi hui jhaaDi ki jaanib jo gai
aas ki rangin titli khuun kaa chhinTaa ho gai
us ki khushbu thi miri aavaaz thi kyaa chiiz thi
jo daricha toD kar nikli fazaa mein kho gai
· · ·
Aslam Kolsarii
zalzale kaa khauf taari hai dar-o-divaar par
jabki main baiThaa huaa huun kaanpte minaar par
haan isi raste mein hai shahr-e-nigaar-e-aarzu
aap chalte jaaiye mere lahu ki dhaar par
· · ·
Aslam Kolsarii
hamaari jiit hui hai ki donon haare hain
bichhaD ke ham ne kai raat din guzaare hain
hanuz siine ki chhoTi si qabr khaali hai
agarche is mein janaaze kai utaare hain
· · ·
Aslam Kolsarii
yaar ko dida-e-khun-baar se ojhal kar ke
mujh ko haalaat ne maaraa hai mukammal kar ke
jaanib-e-shahr faqiron ki tarah koh-e-giraan
pheink detaa hai bukhaaraat ko baadal kar ke
· · ·
Aslam Kolsarii
jab dil hi nahin baaqi vo aatish paaraa saa
kyuun raqs mein rahtaa hai palkon pe sharaaraa saa
vo mauj hamein le kar girdaab mein jaa nikli
jis mauj mein raushan thaa sarsabz kinaaraa saa
· · ·
Aslam Kolsarii
dil-e-pur-khun ko yaadon se ulajhtaa chhoD dete hain
ham is vahshi ko jangal mein akelaa chhoD dete hain
na jaane kab koi bhige hue manzar mein aa nikle
dayaar-e-ashk mein palkein jhapaknaa chhoD dete hain
· · ·
Aslam Kolsarii
bhige sher ugalte jivan biit gayaa
ThanDi aag mein jalte jivan biit gayaa
yuun to chaar-qadam par meri manzil thi
lekin chalte chalte jivan biit gayaa
· · ·
Aslam Kolsarii
dayaar-e-hijr mein khud ko to aksar bhuul jaataa huun
tujhe bhi main tiri yaadon mein kho kar bhuul jaataa huun
'ajab din the ki barson zarb-e-khushbu yaad rahti thi
'ajab din hain ki fauran zakhm-e-khanjar bhuul jaataa huun
· · ·
Aslam Kolsarii
siine mein sulagte hue lamhaat kaa jangal
kis tarah kaTe taaron bhari raat kaa jangal
haan dast-shanaasi pe baDaa naaz thaa us ko
dekhaa na gayaa us se mire haat kaa jangal
· · ·
Aslam Kolsarii
aarzu-e-davaam kartaa huun
zindagi vaqf-e-aam kartaa huun
aap se ikhtilaaf hai lekin
aap kaa ehtiraam kartaa huun
· · ·
Aslam Kolsarii
zakhm sahe mazduri ki
saans kahaani puuri ki
jazbe ki har konpal ko
aag lagi majburi ki
· · ·
Aslam Kolsarii
jab bhi hansi ki gard mein chehra chhupaa liyaa
be-laus dosti kaa baDaa hi mazaa liyaa
ik lamha-e-sukun to milaa thaa nasib se
lekin kisi sharir sadi ne churaa liyaa
· · ·
Aslam Kolsarii
gham ki saughaat hai khamoshi hai
chaandni raat hai khamoshi hai
main akelaa nahin ki baatein hon
vo mire saat hai khamoshi hai
· · ·
Aslam Kolsarii
sirf mere liye nahin rahnaa
tum mire baad bhi hasin rahnaa
peD ki tarah jis jagah phuTaa
umr-bhar hai mujhe vahin rahnaa
· · ·
Aslam Kolsarii
jab main us ke gaanv se baahar niklaa thaa
har raste ne meraa rasta rokaa thaa
mujh ko yaad hai jab us ghar mein aag lagi
uupar se baadal kaa TukDaa guzraa thaa
· · ·
Aslam Kolsarii
qarib aa ke bhi ik shakhs ho sakaa na miraa
yahi hai meri haqiqat yahi fasaana miraa
ye aur baat ki mujh ko na mil sakaa ab tak
tire jahaan mein kahin hai sahi Thikaana miraa
· · ·
Aslam Kolsarii
vahi khvaabida khaamoshi vahi taarik tanhaai
tumhein paa kar bhi koi khaas tabdili nahin aai
agar jaan se guzar jaaun to main uupar ubhar aauun
ki laashon ko ugal deti hai dariyaaon ki gahraai
· · ·
Aslam Kolsarii
bikhre bikhre baal aur surat khoi khoi
man ghaayal karti hain aankhein roi roi
malbe ke niche se niklaa maan kaa laasha
aur maan ki godi mein bachchi soi soi
· · ·







