SHAWORDS

zalzale kaa khauf taari hai dar-o-divaar par — Aslam Kolsarii

HomeAslam KolsariiGhazal
"zalzale kaa khauf taari hai dar-o-divaar par jabki main baiThaa huaa huun kaanpte minaar par haan isi raste mein hai shahr-e-nigaar-e-aarzu aap chalte jaaiye mere lahu ki dhaar par phir uDaa laai havaa mujh ko jalaane ke liye zard patte chand sukhi Tahniyaan do-chaar par taair-e-takhil kaa saaraa badan aazaad hai sirf ik patthar paDaa hai shisha-e-minqaar par vaqt kaa dariyaa to in aankhon se Takraataa rahaa apne hisse mein na aayaa lamha-e-didaar par saaraa paani chhaagalon se aablon mein aa gayaa chilchilaati dhuup ke jalte hue israar par"
Urdu

زلزلے کا خوف طاری ہے در و دیوار پر جبکہ میں بیٹھا ہوا ہوں کانپتے مینار پر ہاں اسی رستے میں ہے شہر نگار آرزو آپ چلتے جائیے میرے لہو کی دھار پر پھر اڑا لائی ہوا مجھ کو جلانے کے لیے زرد پتے چند سوکھی ٹہنیاں دو چار پر طائر تخئیل کا سارا بدن آزاد ہے صرف اک پتھر پڑا ہے شیشۂ منقار پر وقت کا دریا تو ان آنکھوں سے ٹکراتا رہا اپنے حصے میں نہ آیا لمحۂ دیدار پر سارا پانی چھاگلوں سے آبلوں میں آ گیا چلچلاتی دھوپ کے جلتے ہوئے اصرار پر

Hindi

ज़लज़ले का ख़ौफ़ तारी है दर-ओ-दीवार पर जबकि मैं बैठा हुआ हूँ काँपते मीनार पर हाँ इसी रस्ते में है शहर-ए-निगार-ए-आरज़ू आप चलते जाइए मेरे लहू की धार पर फिर उड़ा लाई हवा मुझ को जलाने के लिए ज़र्द पत्ते चंद सूखी टहनियाँ दो-चार पर ताइर-ए-तख़्ईल का सारा बदन आज़ाद है सिर्फ़ इक पत्थर पड़ा है शीशा-ए-मिनक़ार पर वक़्त का दरिया तो इन आँखों से टकराता रहा अपने हिस्से में न आया लम्हा-ए-दीदार पर सारा पानी छागलों से आबलों में आ गया चिलचिलाती धूप के जलते हुए इसरार पर

zalzale kā ḳhauf taarī hai dar-o-dīvār par
Aslam Kolsarii
Aslam Kolsarii
Aslam Kolsarii
poet29 quotes

More by Aslam Kolsarii

View all →
Quote
"har-chand be-navaa hai kore ghaDe kaa paani divaan 'mir' kaa hai kore ghaDe kaa paani uplon ki aag ab tak haathon se jhaankti hai aankhon mein jaagtaa hai kore ghaDe kaa paani jab maangte hain saare angur ke sharaare apni yahi sadaa hai kore ghaDe kaa paani kaaghaz pe kaise Thahrein misre miri ghazal ke lafzon mein bah rahaa hai kore ghaDe kaa paani khaana-ba-dosh chhori takti hai chori chori us kaa to aaina hai kore ghaDe kaa paani chiDiyon si chahchahaaein panghaT pe jab bhi sakhiyaan chup-chaap ro diyaa hai kore ghaDe kaa paani us ke lahu mein shaayad taasir ho vafaa ki jis ne kabhi piyaa hai kore ghaDe kaa paani izzat zamir mehnat daanish hunar mohabbat lekin kabhi bikaa hai kore ghaDe kaa paani dekhun jo chaandni mein lagtaa hai mujh ko 'aslam' pighli hui duaa hai kore ghaDe kaa paani"
Aslam KolsariiAslam Kolsarii
Quote
"hamaari jiit hui hai ki donon haare hain bichhaD ke ham ne kai raat din guzaare hain hanuz siine ki chhoTi si qabr khaali hai agarche is mein janaaze kai utaare hain vo koele se miraa naam likh chukaa to use sunaa hai dekhne vaalon ne phuul maare hain ye kis balaa ki zabaan aasmaan ko chaaT gai ki chaand hai na kahin kahkashaan na taare hain mujhe bhi khud se adaavat hui to zaahir hai ki apne dost mujhe zindagi se pyaare hain nahin ki arsa-e-girdaab hi ghanimat thaa magar yaqin to dilaao yahi kinaare hain ghalat ki koi sharik-e-safar nahin 'aslam' sulagte aks hain jalte hue ishaare hain"
Aslam KolsariiAslam Kolsarii
Quote
"yaar ko dida-e-khun-baar se ojhal kar ke mujh ko haalaat ne maaraa hai mukammal kar ke jaanib-e-shahr faqiron ki tarah koh-e-giraan pheink detaa hai bukhaaraat ko baadal kar ke jal uThein ruuh ke ghaav to chhiDak detaa huun chaandni mein tiri yaadon ki mahak hal kar ke dil vo majzub mughanni ki jalaa detaa hai ek hi aah se har khvaab ko jal-thal kar ke jaane kis lamha-e-vahshi ki talab hai ki falak dekhnaa chaahe mire shahr ko jangal kar ke yaani tartib-e-karam kaa bhi saliqa thaa use us ne patthar bhi uThaayaa mujhe paagal kar ke iid kaa din hai so kamre mein paDaa huun 'aslam' apne darvaaze ko baahar se muqaffal kar ke"
Aslam KolsariiAslam Kolsarii
Quote
"nazar ko vaqf-e-hairat kar diyaa hai use bhi dil se rukhsat kar diyaa hai baraae-naam thaa aaraam jis ko ghazal kah kar musibat kar diyaa hai samajhte hain kahaan patthar kisi ki magar itmaam-e-hujjat kar diyaa hai gali-kuchon mein jalti raushni ne hasin shaamon ko shaamat kar diyaa hai basirat ek daulat hi thi aakhir so daulat ko basirat kar diyaa hai kai hamdam nikal aae hain jab se zabaan ko sirf ghibat kar diyaa hai sukhan ke baab mein bhi ham ne 'aslam' jo karnaa thaa ba-ujlat kar diyaa hai"
Aslam KolsariiAslam Kolsarii

More on Raat

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"raakh ke Dher pe kyaa shoala-bayaani karte ek qisse ki bhalaa kitni kahaani karte husn itnaa thaa ki mumkin hi na thi khud-nigari ek imkaan ki kab tak nigaraani karte shola-e-jaan ko bujhaate yunhi qatra qatra khud ko ham aag banaate tujhe paani karte phuul saa tujh ko mahaktaa huaa rakhte shab bhar apne saanson se tujhe raat ki raani karte naddiyaan dekhein to bas sharm se paani ho jaaein chashm-e-khun-basta se paidaa vo ravaani karte sab se kahte ki ye qissa hai puraanaa saahab aah ki aanch se tasvir puraani karte dar-o-divaar badalne mein kahaan ki mushkil ghar jo hotaa to bhalaa naql-e-makaani karte koi aa jaataa kabhi yunhi agar dil ke qarib ham tiraa zikr pae-yaad-dahaani karte sach to ye hai ki tire hijr kaa ab ranj nahin kyaa dikhaave ke liye ashk-fishaani karte dil ko har lahza hi di aql pe ham ne tarjih yaar-e-jaani ko kahaan dushman-e-jaani karte shab isi tarah basar hoti hai meri 'irfaan' harf-e-khush-rang ko andoh-e-maaani karte"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar