Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Azhar Hashmi Sabqat
vafaa khulus kaa singaar roz karti hai
yuun dhire dhire miri zindagi sanvarti hai
koi hayaat zamaane ko hai 'aziz bahut
koi hayaat hai ki roz roz marti hai
· · ·
Azhar Hashmi Sabqat
kabhi madhur kabhi miThi zabaan kaa shaa'ir huun
isi sanad se main hindostaan kaa shaa'ir huun
dikheinge mujh mein tumhein zakhm ghaav dono hi
khilaaf-e-zulm ke aajiz bayaan kaa shaa'ir huun
· · ·
Azhar Hashmi Sabqat
shahr ko aatish-e-ranjish ke dhuaan tak dekhun
maqtal ziist ko aakhir main kahaan tak dekhun
phir ye maanungaa khamoshi pe zavaal aayaa hai
dil dhaDakne ki sadaa jab main zabaan tak dekhun
· · ·
Azhar Hashmi Sabqat
mire vajud kaa mehvar chamaktaa rahtaa hai
isi sanad se muqaddar chamaktaa rahtaa hai
kisi mazaar pe chhaai hai khaak muflis ki
kisi mazaar kaa patthar chamaktaa rahtaa hai
· · ·
Azhar Hashmi Sabqat
jo daulat taraqqi-rasaai bahut hai
to aapas mein us se judaai bahut hai
agar tujh mein ulfat samaai bahut hai
to sun lo yahaan be-vafaai bahut hai
· · ·
Azhar Hashmi Sabqat
khvaabon kaa intikhaab badaltaa dikhaai de
kaash ab ki ikhtiyaar sanvartaa dikhaai de
sayyaad ke hunar ki sataaish nahin ho ab
jis ko hai par nasib vo uDtaa dikhaai de
· · ·
Azhar Hashmi Sabqat
bas ranj ki hai daastaan unvaan hazaaron
jiine ke liye mar gae insaan hazaaron
vo jis ne miri ruuh ko dard-aashnaa rakkhaa
hain mujh pe usi zakhm ke ehsaan hazaaron
· · ·
Azhar Hashmi Sabqat
khaamosh zabaan se jab taqrir nikalti hai
lagtaa hai ki pairon se zanjir nikalti hai
TuuTaa huaa badhnaa thaa shaayad ki vuzu kaa ho
aisi bhi to purkhon ki jaagir nikalti hai
· · ·
Azhar Hashmi Sabqat
jafaaon ki numaaish hai kisi se kuchh nahin bolein
sitamgar ki sataaish hai kisi se kuchh nahin bolein
mujhe tanhaai paDhni hai magar khaamosh lahje mein
yahi mahfil ki khvaahish hai kisi se kuchh nahin bolein
· · ·
Azhar Hashmi Sabqat
guzre hue lamhaat ko ab DhunD rahaa huun
main apne muqaddar mein ghazab DhunD rahaa huun
sajde kaa sabab jaan ke shirin hai pareshaan
farhaad ne kah Daalaa ke rab DhunD rahaa huun
· · ·
Azhar Hashmi Sabqat
abr-e-baaraan kaa intizaar kiyaa
jab kabhi diida ashk-baar kiyaa
tum to phulon ki raah se guzre
main ne ne kaanTon ko rahguzaar kiyaa
· · ·
Azhar Hashmi Sabqat
hamesha vaahid-e-yaktaa bayaan se guzraa hai
khudaa kaa zikr jab apni zabaan se guzraa hai
lakir khinch ke nur-e-gumaan se guzraa hai
mujhe yaqin hai koi aasmaan se guzraa hai
· · ·
Azhar Hashmi Sabqat
gar eqtidaar-e-sukun eqtidaar-e-vahshat hai
to phir dayaar-e-mohabbat dayaar-e-vahshat hai
daraaz ho rahe imkaan bhi ab ibaadat ke
hisaar-e-bandagi goyaa hisaar-e-vahshat hai
· · ·
Azhar Hashmi Sabqat
tasbih-e-qumri sarv-e-sanobar sameT lo
jaanaa hai is dayaar se manzar sameT lo
parvaaz-e-kaamyaabi ki bas itni shart hai
chaahat hisaar-e-nafas ke andar sameT lo
· · ·
Azhar Hashmi Sabqat
aazurda nigaahon pe ye manzar nahin utraa
sahraa-e-tasavvur mein koi ghar nahin utraa
jab mil gayaa irfaan-e-nazar mujh ko khudaa se
phir kyuun mire ehsaas se mahshar nahin utraa
· · ·
Azhar Hashmi Sabqat
ye kam nahin ke vahi shaam kaa sitaara hai
jise fazilat-e-tanhaai ne ubhaaraa hai
kahin suraagh nahin hai kisi bhi qaatil kaa
lahuluhaan magar shahr kaa nazaara hai
· · ·







