SHAWORDS

khvaabon kaa intikhaab badaltaa dikhaai de — Azhar Hashmi Sabqat

"khvaabon kaa intikhaab badaltaa dikhaai de kaash ab ki ikhtiyaar sanvartaa dikhaai de sayyaad ke hunar ki sataaish nahin ho ab jis ko hai par nasib vo uDtaa dikhaai de itni na intishaar ki hiddat ho ru-ba-ru insaan gham-e-hayaat mein jaltaa dikhaai de kyaa vo hisaab dars mein rakkhegaa kaaenaat jis kaa yahaan vajud shikasta dikhaai de"
Urdu

خوابوں کا انتخاب بدلتا دکھائی دے کاش اب کہ اختیار سنورتا دکھائی دے صیاد کے ہنر کی ستائش نہیں ہو اب جس کو ہے پر نصیب وہ اڑتا دکھائی دے اتنی نہ انتشار کی حدت ہو روبرو انساں غم حیات میں جلتا دکھائی دے کیا وہ حساب درس میں رکھے گا کائنات جس کا یہاں وجود شکستہ دکھائی دے

Hindi

ख़्वाबों का इंतिख़ाब बदलता दिखाई दे काश अब कि इख़्तियार सँवरता दिखाई दे सय्याद के हुनर की सताइश नहीं हो अब जिस को है पर नसीब वो उड़ता दिखाई दे इतनी न इंतिशार की हिद्दत हो रू-ब-रू इंसाँ ग़म-ए-हयात में जलता दिखाई दे क्या वो हिसाब दर्स में रक्खेगा काएनात जिस का यहाँ वजूद शिकस्ता दिखाई दे

ḳhvāboñ kā intiḳhāb badaltā dikhā.ī de
Azhar Hashmi Sabqat
Azhar Hashmi Sabqat
Azhar Hashmi Sabqat
poet31 quotes

More by Azhar Hashmi Sabqat

View all →
Quote
"kabhi madhur kabhi miThi zabaan kaa shaa'ir huun isi sanad se main hindostaan kaa shaa'ir huun dikheinge mujh mein tumhein zakhm ghaav dono hi khilaaf-e-zulm ke aajiz bayaan kaa shaa'ir huun main apni fikr ko mahdud rakh nahin saktaa zamin-o-arsh makin-o-makaan kaa shaa'ir huun gumaan kahtaa hai ke main yaqin kaa shaa'ir huun yaqin kahtaa hai ke main gumaan kaa shaa'ir huun jahaan hai zarra qamar aur jahaan qamar zarra main us zamin kaa main us aasmaan kaa kaa shaa'ir huun abhi mujhe na sukhanvar kaho mire ahbaab abhi sukhan mein faqat imtihaan kaa shaa'ir huun mujhe na dekho yuun nafrat bhari nigaahon se main 'haashmi' huun main amn-o-amaan kaa shaa'ir huun"
Azhar Hashmi SabqatAzhar Hashmi Sabqat
Quote
"shahr ko aatish-e-ranjish ke dhuaan tak dekhun maqtal ziist ko aakhir main kahaan tak dekhun phir ye maanungaa khamoshi pe zavaal aayaa hai dil dhaDakne ki sadaa jab main zabaan tak dekhun ye tamannaa hai khudaa aalam-e-hasti mein tire main ayaan dekhnaa chaahun to nihaan tak dekhun jab ki ab raabta rakhne kaa bahut hai imkaan phir bhi viraaniyaan phailin hain jahaan tak dekhun kyaa tasavvur miri aankhon ne navaazaa hai mujhe khud ko dekhun to main ehsaas-e-ziyaan tak dekhun maantaa huun ki hai zulmaat-e-azal us kaa nasib raat ki zid hai use apni fughaan tak dekhun ye bhi aslaaf ki tahzib hai 'azhar' main yahaan apnaa kirdaar tamaam amn-e-amaan tak dekhun"
Azhar Hashmi SabqatAzhar Hashmi Sabqat
Quote
"mire vajud kaa mehvar chamaktaa rahtaa hai isi sanad se muqaddar chamaktaa rahtaa hai kisi mazaar pe chhaai hai khaak muflis ki kisi mazaar kaa patthar chamaktaa rahtaa hai ye kaisi rasm-e-halaakat bhi paa gai hai rivaaj ye kaise khuun kaa manzar chamaktaa rahtaa hai miri nigaah ko manzil ki raushni hai aziiz balaa se mel kaa patthar chamaktaa rahtaa hai jo uTh ke khaak se parvaaz kaa ujaalaa banaa usi parinde kaa shahpar chamaktaa rahtaa hai miTaa ke hausle baatil ke aao su-e-haq qadam baDhaao ki rahbar chamaktaa rahtaa hai nujum shams qamar aur jalne lagte hain sukhan-varon mein jab 'azhar' chamaktaa rahtaa hai"
Azhar Hashmi SabqatAzhar Hashmi Sabqat
Quote
"jo daulat taraqqi-rasaai bahut hai to aapas mein us se judaai bahut hai agar tujh mein ulfat samaai bahut hai to sun lo yahaan be-vafaai bahut hai kabhi dard maan ko nahin do ki is ki har ek aah mein gahri khaai bahut hai khudaa ki razaa hai na haasil kisi ko khudaa ke liye par laDaai bahut hai mohabbat luTaai hai apno pe behad magar choT apno se khaai bahut hai haqiqat mein vo daur kaafi hai mujh se tasavvur mein jo paas aai bahut hai siyaasat ne jashn-e-charaaghaan ke badle gharibon ki basti jalaai bahut hai har ik shai se le kar zamin-o-falak ko mayassar khudaa ki khudaai bahut hai agar mujh ko imaan ki parvaah na hoti to duniyaa mein 'azhar' kamaai bahut hai"
Azhar Hashmi SabqatAzhar Hashmi Sabqat
Quote
"bas ranj ki hai daastaan unvaan hazaaron jiine ke liye mar gae insaan hazaaron vo jis ne miri ruuh ko dard-aashnaa rakkhaa hain mujh pe usi zakhm ke ehsaan hazaaron jis khaak se kahte ho vafaa ham nahin karte soe hain usi khaak mein sultaan hazaaron ik rasm-e-takabbur hai so is daur ke insaan jebon mein liye phirte hain pahchaan hazaaron laazim hai masaafat mein bhaTak jaanaa hamaaraa ham tanhaa musaafir ke hain saamaan hazaaron ab hai faqat andesha-e-haalaat mayassar ham dil mein kabhi rakhte the armaan hazaaron ye shahr-e-sukhan hai yahaan har moD pe 'azhar' hoshiyaar bane baiThe hain naadaan hazaaron"
Azhar Hashmi SabqatAzhar Hashmi Sabqat
Quote
"vafaa khulus kaa singaar roz karti hai yuun dhire dhire miri zindagi sanvarti hai koi hayaat zamaane ko hai 'aziz bahut koi hayaat hai ki roz roz marti hai tire charaagh kaa faanus khud havaa hai aur mire charaagh se zaalim havaa guzarti hai to phir vajud-e-imaarat nazar kaa hai dhoka jab iinT iinT hi taa'mir se mukarti hai du'aa ye kijiye yaaron ki hosh mein aauun miri nigaah mohabbat talaash karti hai na khud ke rahtaa hai insaan na dusron ke qarib koi hasin shanaasaai jab bikharti hai sitamgaron ko 'ibaadat-guzaar mat jaano khudaa ki bandagi 'azhar' khudaa se Darti hai"
Azhar Hashmi SabqatAzhar Hashmi Sabqat

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari