SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAzhar Naiyyar(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

GhazalAzhar Naiyyar

Azhar Naiyyar

main apne shahr mein apnaa hi chehra kho baiThaa

ye vaaqia jo sunaayaa to vo bhi ro baiThaa

tumhaari aas mein aankhon ko main bhigo baiThaa

ki dil mein yaas ke kaanTe kai chubho baiThaa

· · ·

GhazalAzhar Naiyyar

Azhar Naiyyar

main mahal ret ke sahraa mein banaane baiThaa

chand alfaaz ko maazi ke bhulaane baiThaa

haadse se hi huaa gham kaa mudaavaa mere

falsafa sabr kaa logon ko paDhaane baiThaa

· · ·

GhazalAzhar Naiyyar

Azhar Naiyyar

hairaan huun ki aaj ye kyaa haadisa huaa

hai aag sard dil bhi hai meraa bujhaa huaa

manzil pe pahle meri rasaai hui to phir

har naqsh-e-paa se aage miraa naqsh-e-paa huaa

· · ·

GhazalAzhar Naiyyar

Azhar Naiyyar

insaan jo hain in ko kabhi kamtar nahin dekhaa

khud raah kaa kham hote hue sar nahin dekhaa

tum bahr-e-mohabbat ke kinaare pe khaDe the

tum ne miri aankhon mein samundar nahin dekhaa

· · ·

GhazalAzhar Naiyyar

Azhar Naiyyar

hamaare chehre pe ranj-o-malaal aisaa thaa

masarraton kaa zamaane mein kaal aisaa thaa

fazaa-e-shahr mein baarud ki thi bu shaamil

ki saans lenaa bhi ham ko muhaal aisaa thaa

· · ·

GhazalAzhar Naiyyar

Azhar Naiyyar

ji rahaa huun main udaasi bhari tasvir ke saath

shor kartaa huun siyah raat mein zanjir ke saath

surkh phulon ki ghani chhaanv mein chupke chupke

mujh se miltaa thaa koi ik nai tanvir ke saath

· · ·

GhazalAzhar Naiyyar

Azhar Naiyyar

miri duniyaa akeli ho rahi hai

tamannaa ghar mein tanhaa so rahi hai

sadaaein ghuT gaiin siine ke andar

khamoshi apni patthar ho rahi hai

· · ·

GhazalAzhar Naiyyar

Azhar Naiyyar

huruf khaali sadaf aur nisaab zakhmon ke

varaq varaq pe hain tahrir khvaab zakhmon ke

savaal phuul se naazuk javaab zakhmon ke

bahut ajiib hain ye inqalaab zakhmon ke

· · ·

GhazalAzhar Naiyyar

Azhar Naiyyar

is ko koi gham nahin hai jis kaa ghar patthar kaa hai

kyaa karegaa tez tufaan baam-o-dar patthar kaa hai

aise insaan se kabhi ummid kyaa rakhe koi

dekhne mein aadmi hai dil magar patthar kaa hai

· · ·

GhazalAzhar Naiyyar

Azhar Naiyyar

dariche so gae shab jaagti hai

mere kamre mein kaisi khaamushi hai

jidhar dekho fasurda zindagi hai

mujhe lagtaa hai ye gham ki sadi hai

· · ·

GhazalAzhar Naiyyar

Azhar Naiyyar

har ek raah mein imkaan-e-haadisa hai abhi

ki kho na jaaun andhere mein sochnaa hai abhi

tamaam umr vo chaltaa rahaa hai sahraa mein

ghane darakht ke saae mein jo khaDaa hai abhi

· · ·

GhazalAzhar Naiyyar

Azhar Naiyyar

hare darakht kaa shaakhon se rishta TuuT gayaa

huaa chali to gulaabon se rishta TuuT gayaa

kahaan hain ab vo mahakte hue hasin manzar

khuli jo aankh to khvaabon se rishta TuuT gayaa

· · ·

GhazalAzhar Naiyyar

Azhar Naiyyar

sach bolnaa chaahein bhi to bolaa nahin jaataa

jhuTon ke liye shahr bhi chhoDaa nahin jaataa

tum kitnaa hi ohdon se navaazo hamein lekin

nafrat kaa shajar ham se to boyaa nahin jaataa

· · ·