Quote
"main apne shahr mein apnaa hi chehra kho baiThaa ye vaaqia jo sunaayaa to vo bhi ro baiThaa tumhaari aas mein aankhon ko main bhigo baiThaa ki dil mein yaas ke kaanTe kai chubho baiThaa mataa-e-haal na maazi kaa koi sarmaaya nadi mein vaqt ki har chiiz ko Dubo baiThaa sunahre vaqt ki tahrirein jin mein thiin mahfuz main un sahifon ko ashkon se apne dho baiThaa main suntaa rahtaa thaa jis aaine ki sargoshi vo shahr-e-sang mein apni jilaa bhi kho baiThaa kisi babul ke saae tale mili jo amaan to apne paanv mein kaanTe bhi main chubho baiThaa vahi rahaa hai bahar-taur shaadmaan 'nayyar' jo apne gham mein gham-e-digaraan samo baiThaa"
