Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Bashir Saifi
kise khabar hai main dil se ki jaan se guzrungaa
jo baar baar saf-e-dushmanaan se guzrungaa
yaqin bhi tujhe aaegaa meri hasti par
yahi nahin ki main tere gumaan se guzrungaa
· · ·
Bashir Saifi
zaahir miri shikast ke aasaar bhi nahin
mujh ko yaqin fath kaa is baar bhi nahin
qaid-e-makaan se dekhiye kab tak rihaai ho
ab tak to bad-gumaan dar-o-divaar bhi nahin
· · ·
Bashir Saifi
khud apnaa eatibaar ganvaataa rahaa huun main
zarre ko aaftaab bataataa rahaa huun main
andhi havaa ko duun koi ilzaam kis liye
apne diye ko aap bujhaataa rahaa huun main
· · ·
Bashir Saifi
is bahr-e-be-sadaa mein kuchh aur niche jaaein
aavaaz kaa khazina shaayad tahon mein paaein
galiyon mein saD rahi hain biite dinon ki laashein
kamre mein gunjti hain be-naam si sadaaein
· · ·
Bashir Saifi
habs ke dinon mein bhi ghar se kab nikalte hain
daaere ke andar hi raaste badalte hain
khuun jaltaa rahtaa hai gaanv ke javaanon kaa
kaar-khaane shahron ke kab dhuaan ugalte hain
· · ·
Bashir Saifi
aisaa lagtaa hai mukhaalif hai khudaai meri
koi kartaa hi nahin khul ke buraai meri
mujh mein madfun baDe shahr-e-maaani the magar
duur tak kar na sakaa vaqt khudaai meri
· · ·
Bashir Saifi
ik husn-e-be-misaal ke jo ru-ba-ru huun main
mahsus ho rahaa hai khud apnaa 'adu huun main
apni giraft-e-shauq se niklun to kis tarah
phailaa huaa jahaan mein har ek su huun main
· · ·
Bashir Saifi
bhulaa-bisraa khvaab hue ham
kuchh aise naayaab hue ham
dariyaa ban kar suukh gae the
qatre se sairaab hue ham
· · ·







