Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Behzad Lakhnavi
aah asar ho gai to kyaa hogaa
be-asar ho gai to kyaa hogaa
shaam-e-gham aa chale tasavvur mein
ab sahar ho gai to kyaa hogaa
· · ·
Behzad Lakhnavi
lab pe hai fariyaad ashkon ki ravaani ho chuki
ik kahaani chhiD rahi hai ik kahaani ho chuki
mehr ke parde mein puuri dil-sitaani ho chuki
banda-parvar rahm kijiye mehrbaani ho chuki
· · ·
Behzad Lakhnavi
zinda huun is tarah ki gham-e-zindagi nahin
jaltaa huaa diyaa huun magar raushni nahin
vo muddatein hui hain kisi se judaa hue
lekin ye dil ki aag abhi tak bujhi nahin
· · ·
Behzad Lakhnavi
ik be-vafaa ko pyaar kiyaa haae kyaa kiyaa
khud dil ko be-qaraar kiyaa haae kyaa kiyaa
maa'lum thaa ki 'ahd-e-vafaa un kaa jhuuT hai
is par bhi e'tibaar kiyaa haae kyaa kiyaa
· · ·
Behzad Lakhnavi
tumhaare husn ki taskhir aam hoti hai
ki ik nigaah mein duniyaa tamaam hoti hai
jahaan pe jalva-e-jaanaan hai anjuman-aaraa
vahaan nigaah ki manzil tamaam hoti hai
· · ·
Behzad Lakhnavi
apni nai zamin nayaa aasmaan rahe
haan is jahaan se duur hi apnaa jahaan rahe
ham ne to is chaman se lagaayaa kabhi na dil
ham be-niyaaz-e-fikr-e-gham-e-aashiyaan rahe
· · ·
Behzad Lakhnavi
ai dil tujhe khabar hai ki kyaa kar rahaa huun main
jo haq hai zindagi kaa adaa kar rahaa huun main
tum ho jafaa-navaaz jafaa kar rahe ho tum
main huun vafaa-parast vafaa kar rahaa huun main
· · ·
Behzad Lakhnavi
baatein na kare kyon dil-e-naashaad tumhaari
har vaqt sataati hai ise yaad tumhaari
kuchh munh se nahin kahte hain ham 'ishq ke maare
khaamosh sahaa karte hain bedaad tumhaari
· · ·
Behzad Lakhnavi
har shai ko mire dil se bhulaate hue aate
aanaa thaa to behosh banaate hue aate
madhoshiyon ko hosh mein laate hue aate
aate miri duniyaa ko jagaate hue aate
· · ·
Behzad Lakhnavi
koi chashm-o-nazar se duur kyon hai
mohabbat is qadar majbur kyon hai
ye jalvon se fazaa maamur kyon hai
har ik zarra misaal-e-tur kyon hai
· · ·
Behzad Lakhnavi
mohabbat ki main zindagi ban gayaa huun
zahe be-khudi be-khudi ban gayaa huun
mohabbat kaa har rang dekhaa hai main ne
kabhi miT gayaa huun kabhi ban gayaa huun
· · ·
Behzad Lakhnavi
na ye puchho ki kyaa yaad aa rahaa hai
mohabbat mein khudaa yaad aa rahaa hai
khalish si phir hui paidaa jigar mein
mujhe ik bevafaa yaad aa rahaa hai
· · ·
Behzad Lakhnavi
basar ham 'ajab zindagi kar rahe hain
kabhi ji rahe hain kabhi mar rahe hain
ye naale ye aahein jo ham bhar rahe hain
unhein ru-shanaas-e-sitam kar rahe hain
· · ·
Behzad Lakhnavi
tum se nazar ke saamne aayaa na jaa sakaa
shaayad nazar kaa baar uThaayaa na jaa sakaa
ham se tiraa tasavvur-e-rangin tiraa khayaal
kiin laakh koshishein pe bhulaayaa na jaa sakaa
· · ·
Behzad Lakhnavi
shab thi nazar mein shaam se pahle
vaaqif thaa anjaam se pahle
rahbar manzil ban jaati hai
yaad tiri har gaam se pahle
· · ·
Behzad Lakhnavi
un ko but samjhaa thaa yaa un ko khudaa samjhaa thaa main
haan bataa de ai jabin-e-shauq kyaa samjhaa thaa main
allaah allaah kyaa inaayat kar gai mizraab-e-ishq
varna saaz-e-zindagi ko be-sadaa samjhaa thaa main
· · ·
Behzad Lakhnavi
khushi mahsus kartaa huun na gham mahsus kartaa huun
magar haan dil mein kuchh kuchh zer-o-bam mahsus kartaa huun
mohabbat ki ye nairangi bhi duniyaa se niraali hai
alam koi nahin lekin alam mahsus kartaa huun
· · ·
Behzad Lakhnavi
tujh par miri mohabbat qurbaan ho na jaae
ye kufr baDhte baDhte imaan ho na jaae
allaah ri be-naqaabi us jaan-e-muddaaa ki
meri nigaah-e-hasrat hairaan ho na jaae
· · ·
Behzad Lakhnavi
masrur bhi huun khush bhi huun lekin khushi nahin
tere baghair ziist to hai zindagi nahin
main dard-e-aashiqi ko samajhtaa huun jaan-o-ruh
kambakht vo bhi dil mein kabhi hai kabhi nahin
· · ·
Behzad Lakhnavi
khudaa ko DhunD rahaa thaa kahin khudaa na milaa
zahe-nasib ki bande ko muddaaa na milaa
nigaah-e-shauq mein be-nuriyon kaa rang baDhaa
nigaah-e-shauq ko jab koi dusraa na milaa
· · ·
Behzad Lakhnavi
tire ishq mein zindagaani luTaa di
ajab khel khelaa javaani luTaa di
nahin dil mein daagh-e-tamannaa bhi baaqi
unhin par se un ki nishaani luTaa di
· · ·
Behzad Lakhnavi
yuun to jo chaahe yahaan saahab-e-mahfil ho jaae
bazm us shakhs ki hai tu jise haasil ho jaae
naakhudaa ai miri kashti ke chalaane vaale
lutf to jab hai ki har mauj hi saahil ho jaae
· · ·
Behzad Lakhnavi
ruh-e-ravaan-e-naghma tum naghmon kaa soz-o-saaz main
jaan-e-khayaal-o-khvaab tum jaan-e-jahaan-e-naaz main
haamil-e-kaif-o-naaz tum haamil-e-soz-o-saaz main
ek jahaan-e-raaz tum ek jahaan-e-raaz main
· · ·
Behzad Lakhnavi
tasavvur mein koi phir aa rahaa hai
ilaahi khair dil ghabraa rahaa hai
vo yuun dil ki fazaa par chhaa rahe hain
ki dil maghrur hotaa jaa rahaa hai
· · ·







