Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Deepak Vikal
us ki shaadi kaa vo manzar vo tamaasha chhoD kar
ham chale aae hain us ko raqs kartaa chhoD kar
jal gae hote sahar ke khvaab gar jagtaa na main
dhuup aa baiThi thi bistar par daricha chhoD kar
· · ·
Deepak Vikal
us ne baat nahin kaaTi yuun mere baat banaane par
main bhi haan mein haan kartaa thaa us ke har afsaane par
jis rishte ko zinda rakhne ki khaatir main martaa thaa
phir ik din main ji uTThaa us rishte ke mar jaane par
· · ·
Deepak Vikal
tumhaari yaad-gaahon se kinaaraa kar gae hote
faqat hotaa yahi ham phir kami se bhar gae hote
main vo be-zaar banda huun jo mere saath tum rahte
mujhi par hans rahe hote mujhi se Dar gae hote
· · ·
Deepak Vikal
ek patthar par nadi ke der tak baiThaa huaa
ro rahaa thaa main vo manzar dekh kar sukhaa huaa
haan vahi ik shakhs mere vaaste sahraa huaa
jis ki khaatir main kabhi jharnaa huaa dariyaa huaa
· · ·
Deepak Vikal
mu'aaf karnaa ki aur himmat nahin kareinge
na ho tamaasha so raqs-e-vahshat nahin kareinge
udaas laDkon ko kyon samajhti nahin ye duniyaa
udaas laDke kabhi shikaayat nahin kareinge
· · ·
Deepak Vikal
kuchh baahar kuchh bhitar bhitar rote hain
'ishq mein paDne vaale aksar rote hain
megh garajte hain aur baarish hoti hai
dharti par jab mast qalandar rote hain
· · ·
Deepak Vikal
kah ke pechida hamaari zindagi
aur phir aa kar sanvaari zindagi
khvaab dekhe aasmaanon ke magar
ek kamre mein guzaari zindagi
· · ·







