SHAWORDS

ek patthar par nadi ke der tak baiThaa huaa — Deepak Vikal

HomeDeepak VikalGhazal
"ek patthar par nadi ke der tak baiThaa huaa ro rahaa thaa main vo manzar dekh kar sukhaa huaa haan vahi ik shakhs mere vaaste sahraa huaa jis ki khaatir main kabhi jharnaa huaa dariyaa huaa bol ye kaisi mohabbat hai ki tere baagh mein har kali nochi hui har phuul hai raundaa huaa mujh se badlaa lene kaa us kaa tariqa thaa ki vo raqs kartaa thaa chhaton par zulf lahraataa huaa"
Urdu

ایک پتھر پر ندی کے دیر تک بیٹھا ہوا رو رہا تھا میں وہ منظر دیکھ کر سوکھا ہوا ہاں وہی اک شخص میرے واسطے صحرا ہوا جس کی خاطر میں کبھی جھرنا ہوا دریا ہوا بول یہ کیسی محبت ہے کہ تیرے باغ میں ہر کلی نوچی ہوئی ہر پھول ہے روندا ہوا مجھ سے بدلا لینے کا اس کا طریقہ تھا کہ وہ رقص کرتا تھا چھتوں پر زلف لہراتا ہوا

Hindi

एक पत्थर पर नदी के देर तक बैठा हुआ रो रहा था मैं वो मंज़र देख कर सूखा हुआ हाँ वही इक शख़्स मेरे वास्ते सहरा हुआ जिस की ख़ातिर मैं कभी झरना हुआ दरिया हुआ बोल ये कैसी मोहब्बत है कि तेरे बाग़ में हर कली नोची हुई हर फूल है रौंदा हुआ मुझ से बदला लेने का उस का तरीक़ा था कि वो रक़्स करता था छतों पर ज़ुल्फ़ लहराता हुआ

ek patthar par nadī ke der tak baiThā huā
Deepak Vikal
Deepak Vikal
Deepak Vikal
poet7 quotes

More by Deepak Vikal

View all →
Quote
"us ki shaadi kaa vo manzar vo tamaasha chhoD kar ham chale aae hain us ko raqs kartaa chhoD kar jal gae hote sahar ke khvaab gar jagtaa na main dhuup aa baiThi thi bistar par daricha chhoD kar ham se to kuchh 'aadatein bhi ab talak chhuTi nahin tum chale aae ho pichhe ek duniyaa chhoD kar us ki baaton mein sadaaqat ki mahak roko use sab chale jaaeinge us ko bhi akelaa chhoD kar haae ye khushiyon kaa mausam aur ye khaTkaa hamein rut chali jaaegi ik din ye baghicha chhoD kar is khule aakaash mein baarish ke phir imkaan hain ghar chale aao jahaan bhi ho ye jhagDaa chhoD kar"
Deepak VikalDeepak Vikal
Quote
"us ne baat nahin kaaTi yuun mere baat banaane par main bhi haan mein haan kartaa thaa us ke har afsaane par jis rishte ko zinda rakhne ki khaatir main martaa thaa phir ik din main ji uTThaa us rishte ke mar jaane par sadmon par sadme milte hain lekin meri jaan-e-jaan rone tak kaa vaqt nahin hai tere is divaane par mere baa'd ye duniyaa thoDi aur hari ho jaaegi peD phalaa phulaa karte hain kuchh shaakhein kaT jaane par bas kuchh pal ko aankh laDi thi ek safar kaa qissa thaa phir saalon gumraah rahe ham us laDki ke jaane par us ke ranj-o-gham se saari duniyaa kaa vo rishta thaa baagh pareshaan ho jaae jyuun ek kali murjhaane par hijr manaane ab ke majnun maikhaane mein jaa baiThaa lailaa jaane kyaa biiti ho us paagal viraane par"
Deepak VikalDeepak Vikal

More on Raat

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri