Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Dilkash Sagari
phir gulaab ki shaakhein saj gaiin qarinon se
aap bhi utar aaein chaandni ke zinon se
apni paak-baazi kaa phir subut de lenaa
tum lahu to dho Daalo pahle aastinon se
· · ·
Dilkash Sagari
dosto tum ne bhi dekhi hai vo surat vo shabih
jo nigaahon mein samaa jaati hai manzar ki tarah
mujh ko ik qatra-e-be-faiz samajh ke na guzar
phail jaaungaa kisi roz samundar ki tarah
· · ·
Dilkash Sagari
khvaahish-e-be-naam se vaaqif nahin
ik nashili shaam se vaaqif nahin
bah rahaa huun main to dariyaa ki tarah
farq-e-khaas-o-aam se vaaqif nahin
· · ·
Dilkash Sagari
jo bujh chuke hain vo lamhe ujaaltaa kyon hai
mire badan pe kharaashein bhi Daaltaa kyon hai
main mo'tariz to nahin huun magar ye samjhaa de
jo maarnaa hai to duniyaa ko paaltaa kyon hai
· · ·
Dilkash Sagari
kitne mele hain aasmaanon mein
aur ham band hain makaanon mein
nasl-e-aadam nikal ke ghaaron se
aa gai hai kitaab-khaanon mein
· · ·
Dilkash Sagari
chaand bhi sitaaron ko saath le ke chaltaa hai
jaane kyuun bhaTakte hain log be-sabab tanhaa
dekhiye andheron ke jism kab pighalte hain
tirgi ziyaada hai aur charaagh-e-shab tanhaa
· · ·
Dilkash Sagari
hai lahu shahidon kaa naqsh-e-jaavedaan yaaro
maqtalon mein hoti hai aaj bhi azaan yaaro
sail-e-vaqt huun mujh ko kaun rok saktaa hai
chhin lo qalam chaahe kaaT lo zabaan yaaro
· · ·
Dilkash Sagari
sapnon ki dhaaraa mein bahtaa rahtaa huun
shabdon ke aakaar badaltaa rahtaa huun
haal se mustaqbil se aankhein band kiye
maazi ki dahliz pe sotaa rahtaa huun
· · ·
Dilkash Sagari
fasl-e-rasan-o-daar mein aa ham ne sunaa hai
paighaam tiraa zulf-e-rasaa ham ne sunaa hai
rangin nazar aate hain tire kucha-o-baazaar
guzraa hai koi aabla-paa ham ne sunaa hai
· · ·
Dilkash Sagari
main ki gham ki aag mein Duub kar sanvar gayaa
aur har gurez-paa apni maut mar gayaa
aap muzmahil na hon dil ki vaardaat par
phuul thaa jhulas gayaa rang thaa bikhar gayaa
· · ·
Dilkash Sagari
nafas nafas hai ki sahmaa huaa saa lagtaa hai
sukut-e-shaam kaa saaya ghanaa saa lagtaa hai
chalo ki us se bhi kuchh der guftugu kar liin
ye ajnabi to musibat-zada saa lagtaa hai
· · ·
Dilkash Sagari
vo husn-e-zan se jaae na husn-e-yaqin se ham
baiThe hain shart baandh ke ek mah-jabin se ham
ham ne bisaat-e-ilm-o-siyaasat to jiit li
daaman ko si rahe hain magar aastin se ham
· · ·
Dilkash Sagari
khaar ko phuul kaho dasht ko gulzaar kaho
aur is jabr ko aazaadi-e-afkaar kaho
jin ke haathon mein alam aur na kamar mein shamshir
vo bhi kahte hain hamein qaafila-saalaar kaho
· · ·







