Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Farhat Abbas Shah
ik yahi raushni raushni imkaan mein hai
tu abhi tak dil-e-viraan mein hai
shor barpaa hai tiri yaadon kaa
raunaq-e-hijr bayaabaan mein hai
· · ·
Farhat Abbas Shah
tu apne hone kaa har ik nishaan sambhaal ke mil
yaqin sambhaal ke mil aur gumaan sambhaal ke mil
ham apne baare kabhi mushtail nahin hote
faqir log hain ham se zabaan sambhaal ke mil
· · ·
Farhat Abbas Shah
maut kaa vaqt guzar jaaegaa
ye bhi sailaab utar jaaegaa
aa gayaa hai jo kisi sukh kaa khayaal
mujh ko chhuegaa to mar jaaegaa
· · ·
Farhat Abbas Shah
hijr ki raat chhoD jaati hai
nit-nai baat chhoD jaati hai
ishq chaltaa hai taa-abad lekin
zindagi saath chhoD jaati hai
· · ·
Farhat Abbas Shah
dil bhi aavaara nazar aavaara
kaT gayaa saaraa safar aavaara
zindagi bhaTkaa huaa jangal hai
raah bechain shajar aavaara
· · ·
Farhat Abbas Shah
gar duaa bhi koi chiiz hai to duaa ke havaale kiyaa
jaa tujhe aaj se ham ne apne khudaa ke havaale kiyaa
ek muddat hui ham ne duniyaa ki har ek zid chhoD di
ek muddat hui ham ne dil ko vafaa ke havaale kiyaa
· · ·
Farhat Abbas Shah
safar ke laakh hiile hain
ye dariyaa to vasile hain
kahaan se ho ke aai hai
havaa ke haath piile hain
· · ·
Farhat Abbas Shah
tumhaare khvaab mire saath saath chalte hain
kai saraab mire saath saath chalte hain
tumhaaraa gham gham-e-duniyaa ulum-e-aagaahi
sabhi azaab mire saath saath chalte hain
· · ·
Farhat Abbas Shah
dil mein ik shaam si utaarti hai
khaamushi ab mujhe pukaarti hai
kaise viraan saahilon ki havaa
ret par zindagi guzaarti hai
· · ·
Farhat Abbas Shah
zindagi ke bahut masaail hain
har qadam par pahaaD haail hain
ai dil-e-be-qaraar muddat se
ham tiri vahshaton ke qaail hain
· · ·
Farhat Abbas Shah
khushbu saa badan yaad na saanson ki havaa yaad
ujDe hue baaghon ko kahaan baad-e-sabaa yaad
aati hai pareshaani to aataa hai khudaa yaad
varna nahin duniyaa mein koi tere sivaa yaad
· · ·
Farhat Abbas Shah
phuul ki sukh ki sabaa ki zindagi
mukhtasar hai kyuun vafaa ki zindagi
kis ne dekhaa hai khudaa ki maut ko
kis ne dekhi hai khudaa ki zindagi
· · ·
Farhat Abbas Shah
kahaan main kahaan ho tum
javaab aayaa jahaan ho tum
mire jivan se zaahir ho
mire gham mein nihaan ho tum
· · ·
Farhat Abbas Shah
kabhi sahar to kabhi shaam le gayaa mujh se
tumhaaraa dard kai kaam le gayaa mujh se
mujhe khabar na hui aur zamaana jaate hue
nazar bachaa ke tiraa naam le gayaa mujh se
· · ·
Farhat Abbas Shah
tu ne dekhaa hai kabhi ek nazar shaam ke baad
kitne chup-chaap se lagte hain shajar shaam ke baad
itne chup-chaap ki raste bhi raheinge laa-ilm
chhoD jaaeinge kisi roz nagar shaam ke baad
· · ·
Farhat Abbas Shah
gham kaa maaraa kabhi na ho koi
be-sahaaraa kabhi na ho koi
jab har ik shakhs ho faqat dariyaa
jab kinaaraa kabhi na ho koi
· · ·







