SHAWORDS

maut kaa vaqt guzar jaaegaa — Farhat Abbas Shah

"maut kaa vaqt guzar jaaegaa ye bhi sailaab utar jaaegaa aa gayaa hai jo kisi sukh kaa khayaal mujh ko chhuegaa to mar jaaegaa kyaa khabar thi miraa khaamosh makaan apni aavaaz se Dar jaaegaa aa gayaa hai jo dukhon kaa mausam kuchh na kuchh to kahin dhar jaaegaa jhuuT bolegaa to kyaa hai is mein koi vaadaa bhi to kar jaaegaa us ke baare mein bahut sochtaa huun mujh se bichhDaa to kidhar jaaegaa chal nikalne se bahut Dartaa huun kaun phir lauT ke ghar jaaegaa"
Urdu

موت کا وقت گزر جائے گا یہ بھی سیلاب اتر جائے گا آ گیا ہے جو کسی سکھ کا خیال مجھ کو چھوئے گا تو مر جائے گا کیا خبر تھی مرا خاموش مکاں اپنی آواز سے ڈر جائے گا آ گیا ہے جو دکھوں کا موسم کچھ نہ کچھ تو کہیں دھر جائے گا جھوٹ بولے گا تو کیا ہے اس میں کوئی وعدا بھی تو کر جائے گا اس کے بارے میں بہت سوچتا ہوں مجھ سے بچھڑا تو کدھر جائے گا چل نکلنے سے بہت ڈرتا ہوں کون پھر لوٹ کے گھر جائے گا

Hindi

मौत का वक़्त गुज़र जाएगा ये भी सैलाब उतर जाएगा आ गया है जो किसी सुख का ख़याल मुझ को छूएगा तो मर जाएगा क्या ख़बर थी मिरा ख़ामोश मकाँ अपनी आवाज़ से डर जाएगा आ गया है जो दुखों का मौसम कुछ न कुछ तो कहीं धर जाएगा झूट बोलेगा तो क्या है इस में कोई वा'दा भी तो कर जाएगा उस के बारे में बहुत सोचता हूँ मुझ से बिछड़ा तो किधर जाएगा चल निकलने से बहुत डरता हूँ कौन फिर लौट के घर जाएगा

maut kā vaqt guzar jā.egā
Farhat Abbas Shah
Farhat Abbas Shah
Farhat Abbas Shah
poet24 quotes

More by Farhat Abbas Shah

View all →
Quote
"tu apne hone kaa har ik nishaan sambhaal ke mil yaqin sambhaal ke mil aur gumaan sambhaal ke mil ham apne baare kabhi mushtail nahin hote faqir log hain ham se zabaan sambhaal ke mil vajud-e-vaahima viraaniyon mein ghumtaa hai ye be-karaan hai to phir be-karaan sambhaal ke mil ye marhale hain ajab is liye samundar se huaa ko thaam ke mil baadbaan sambhaal ke mil agarche dost hain saare hi aas-paas magar usuul ye hai ki tir-o-kamaan sambhaal ke mil tu kaisi ghair-yaqini fazaa mein miltaa hai koi to lamha kabhi darmiyaan sambhaal ke mil phir us ke baad to shaayad rahe rahe na rahe tamaam umr kaa sud-o-ziyaan sambhaal ke mil"
Farhat Abbas ShahFarhat Abbas Shah
Quote
"gar duaa bhi koi chiiz hai to duaa ke havaale kiyaa jaa tujhe aaj se ham ne apne khudaa ke havaale kiyaa ek muddat hui ham ne duniyaa ki har ek zid chhoD di ek muddat hui ham ne dil ko vafaa ke havaale kiyaa is tarah ham ne teri mohabbat zamaane ke haathon mein di jis tarah gul ne khushbu ko baad-e-sabaa ke havaale kiyaa bebasi si ajab zindagi mein ik aisi bhi aai ki jab ham ne chup-chaap haathon ko rasm-e-hinaa ke havaale kiyaa khuun ne teri yaadein sulagti hui raat ko saunp diin aansuon ne tiraa dard rukhi havaa ke havaale kiyaa"
Farhat Abbas ShahFarhat Abbas Shah

More on Maut

View all →
Quote
"log kahte hain ki qaatil ko masihaa kahiye kaise mumkin hai andheron ko ujaalaa kahiye chehre paDhnaa to sabhi siikh gae hain lekin kaisi tahzib hai apnon ko paraayaa kahiye jaane pahchaane hue chehre nazar aate hain vaqt qaatil hai yahaan kis ko masihaa kahiye aap jis peD ke saae mein khaDe hain is ko sehn-e-gulshan nahin jaltaa huaa sahraa kahiye sab ke chehron pe hain akhlaaq-o-muravvat ke naqaab kis ko apnaa yahaan aur kis ko paraayaa kahiye shab ke maathe pe koi saaya numudaar huaa us ko ab pyaar ke aangan kaa saveraa kahiye zahr-e-tanhaai-e-gham pi ke mohabbat mein 'khayaal' kis tarah maut ko jiine kaa sahaaraa kahiye"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"muddat ke baad is ne likhaa mere naam khat meri shikaayaton se bharaa hai tamaam khat ghabraa na is qadar dil-e-betaab sabr kar aataa hai koi roz mein ab subh-o-shaam khat likkhaa huaa hai khaas tumhaare hi haath kaa pahchaantaa hai khuub tumhaaraa ghulaam khat tahrir un ki siina pe rakh dijiyo mire badle javaab-e-naama ke aaegaa kaam khat likkhaa hai ab na likkheinge ham koi khat tujhe khat aayaa meri maut kaa laayaa payaam khat zaae' na jaaegi tiri mehnat kisi tarah qaasid ajura detaa huun chuTki mein thaam khat aashiq-navaaziyaan hain tabiat mein yaar ki likkhaa hai har mahine mein bhejo mudaam khat tahrir kar ke saikaDon vaade mukar gae dikhlaaungaa huzur ko roz-e-qayaam khat khat likh ke aaj Daak pe pahuncheinge yaar ko pahunchaaegaa hamaaraa payaam-o-salaam khat 'aaghaa' nisaar hojiye inaam dijiye laayaa hai un kaa qaasid-e-sarsar-khiraam khat"
A
Aagha Akbarabadi
Quote
"abr uTThaa hai gire qatra-e-baaraan sir par guyyaan hushiyaar ki hai aish kaa saamaan sar par karte kyaa kyaa nahin vo ranj ke saamaan sar par rakhte laa laa hain buaa roz mughal jaan sar par ab na jaaeinge chhinaalon ki gali mein mirzaa qasmein khaate hain buaa rakhte hain quraan sar par hasrat-e-did hai jaan tan se na niklegi buaa kyon farishte hain liye maut kaa chaalaan sar par bigDe tevar hain ulajhte hain khafaa hote hain shaikh ji ke hai buaa aaj bhi shaitaan sar par saath ranDi ke chale mirzaa ji kis shaan ke saath dahnaa baghlon mein dabaae hue baayaan sar par chuTkiyaan saaf kahe deti hain dil ki ham se pir-o-murshid hai vahi aaj bhi shaitaan sar par ab farangi hain buaa takht pe ham baaj-guzaar kabhi rakhte the yahaan taaj musalmaan sar par"
Mohsin Khan MohsinMohsin Khan Mohsin