Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Ghayas Mateen
dil jalaa phir charaagh jalte hi
apne dukh bhi hain shaam jaise hi
kitne chehre utar gae dekho
dhuup divaar se utarte hi
· · ·
Ghayas Mateen
lahje ko phuul lafz ko jugnu agar karein
vaqt-e-ravaan ke saath maaani safar karein
andar ki baarishon ne jo manzar dikhaae hain
baahar ki dhup-chhaanv ko is ki khabar karein
· · ·
Ghayas Mateen
suraj ko kyaa pata hai kidhar dhuup chaahiye
aangan baDaa hai apne bhi ghar dhuup chaahiye
aaine TuuT TuuT ke bikhre hain chaar-su
DhunDeinge aks aks magar dhuup chaahiye
· · ·
Ghayas Mateen
jazire hon ki vo sahraa hon khvaab honaa hai
samundaron ko kisi din saraab honaa hai
savaal puchhne vaalo tumhein bhi aakhir-e-kaar
rahin-e-minnat-e-baar-e-javaab honaa hai
· · ·
Ghayas Mateen
zamin ke saath falak ke safar mein ham bhi hain
qafas-nasib sahi baal-o-par mein ham bhi hain
vahin se luuT gai raaston ki tanhaai
jahaan pe us ne ye jaanaa safar mein ham bhi hain
· · ·
Ghayas Mateen
akelaa ghar hai kyon rahte ho kyaa deti hain divaarein
yahaan to hansne vaalon ko rulaa deti hain divaarein
inhein bhi apni tanhaai kaa jab ehsaas hotaa hai
to gahri niind se mujh ko jagaa deti hain divaarein
· · ·
Ghayas Mateen
dhuup kaa ehsaas jaane kyuun use hotaa nahin
vaqt aavaara hai ThanDi chhaanv mein hotaa nahin
jhuuT ki divaar se laTke hue jismon ke din
ho gae puure ki sach to shab mein bhi sotaa nahin
· · ·
Ghayas Mateen
is taraf aag kaa dariyaa hai udhar khaai hai
ham ne bhi paar utarne ki qasam khaai hai
apne kamre se nikal kar zaraa dekho to sahi
dhuup divaar se aangan mein utar aai hai
· · ·
Ghayas Mateen
kyon kisi ko DhunDte ho haath mein le kar charaagh
ab kahaan vo gaanv hote the jahaan ghar ghar charaagh
dekhnaa us ko agar hai in charaaghon ko bujhaao
kaise dekhoge use tum saamne rakh kar charaagh
· · ·
Ghayas Mateen
khvaab aankhon ki gali chhoD ke jaane nikle
ham idhar niind ki divaar giraane nikle
dhuul raste kaa muqaddar hai to rasta kyaa hai
bas yahi baat zamaane ko bataane nikle
· · ·
Ghayas Mateen
aankh ki putli mein suraj sar mein kuchh saudaa ugaa
paaniyon mein surkh paude dhuup mein saayaa ugaa
aasmaan ki bhiiD mein to is liye sochaa gayaa
is zamin ki chhaatiyon se nuur kaa chashma ugaa
· · ·
Ghayas Mateen
shaam kaa rang jo gahraa huaa aaine mein
ik sitaara saa chamakne lagaa aaine mein
sab khilaunon ki tarah TuuT rahe hain pal-pal
aur ye manzar mujhe Dastaa huaa aaine mein
· · ·
Ghayas Mateen
nasiba jaag uTThaa aur muqaddar ban gayaa apnaa
jahaan divaar hai us ki vahin ghar ban gayaa apnaa
na jaane dhuup ne apni zabaan mein kyaa kahaa us se
shajar ke jism se saaya nikal kar ban gayaa apnaa
· · ·
Ghayas Mateen
miraa dusraa rukh dikhaa de mujhe
mire saamne se haTaa de mujhe
baDi der se qaid mein huun tiri
parinda samajh kar uDaa de mujhe
· · ·
Ghayas Mateen
vo chingaariyon ko havaa de gayaa
samundar thaa lekin ye kyaa de gayaa
main jalte charaaghon ki saanson mein huun
koi jaagne ki duaa de gayaa
· · ·
Ghayas Mateen
tumhaaraa rang rang-e-aasmaan jaisaa badaltaa hai
kisi ko chaahne vaalaa kahin itnaa badaltaa hai
sabaa shabnam shafaq rukhsaar gul mahtaab in sab kaa
tumhaaraa naam letaa huun to kyuun chehra badaltaa hai
· · ·
Ghayas Mateen
paagal si havaa Dhalti hui shaam samundar
aise hi kahin le na tiraa naam samundar
viraanon mein bhaTkein ki tire shahr mein Thahrein
aankhon mein dar aataa hai sar-e-shaam samundar
· · ·
Ghayas Mateen
havaa bahut tez chal rahi hai charaagh-e-jaan phir bhi jal rahaa hai
ye kaun hai jo hamaare pichhe havaa ke hamraah chal rahaa hai
gumaan ki basti mein rahne vaalo zaraa pahaaDi pe chaDh ke dekho
udhar nadi hai vahin se shahr-e-yaqin kaa rasta nikal rahaa hai
· · ·
Ghayas Mateen
baarish hogi to baarish mein donon mil kar bhigeinge
ret pe ek musaafir kaa ghar aur samundar bhigeinge
achchhaa main haaraa tum jiite aage ki ik baat suno
ab ke baras jab baarish hogi soch samajh kar bhigeinge
· · ·







