SHAWORDS

baarish hogi to baarish mein donon mil kar bhigeinge — Ghayas Mateen

HomeGhayas MateenGhazal
"baarish hogi to baarish mein donon mil kar bhigeinge ret pe ek musaafir kaa ghar aur samundar bhigeinge achchhaa main haaraa tum jiite aage ki ik baat suno ab ke baras jab baarish hogi soch samajh kar bhigeinge dhuup kaa ik TukDaa kyuun mere sar par saaya kartaa hai kyaa mujh ko manzar se haTaa kar saare manzar bhigeinge kaaghaz ki ik kashti le kar baarish mein kyuun nikle ho bhule-bisre bachpan ki yaadon ke paikar bhigeinge achchhe logon ki basti mein tum kyuun rahne aae ho yaan honTon par phuul khileinge khuun mein khanjar bhigeinge us din ki jab baarish hogi kaun bachegaa ham-safaro phuul parind charaagh jazire kankar patthar bhigeinge ik faanus hai jis mein apni ruuh 'matin' sulagti hai bhignaa jab Thahraa to usi faanus ke andar bhigeinge"
Urdu

بارش ہوگی تو بارش میں دونوں مل کر بھیگیں گے ریت پہ ایک مسافر کا گھر اور سمندر بھیگیں گے اچھا میں ہارا تم جیتے آگے کی اک بات سنو اب کے برس جب بارش ہوگی سوچ سمجھ کر بھیگیں گے دھوپ کا اک ٹکڑا کیوں میرے سر پر سایہ کرتا ہے کیا مجھ کو منظر سے ہٹا کر سارے منظر بھیگیں گے کاغذ کی اک کشتی لے کر بارش میں کیوں نکلے ہو بھولے بسرے بچپن کی یادوں کے پیکر بھیگیں گے اچھے لوگوں کی بستی میں تم کیوں رہنے آئے ہو یاں ہونٹوں پر پھول کھلیں گے خون میں خنجر بھیگیں گے اس دن کی جب بارش ہوگی کون بچے گا ہم سفرو پھول پرند چراغ جزیرے کنکر پتھر بھیگیں گے اک فانوس ہے جس میں اپنی روح متینؔ سلگتی ہے بھیگنا جب ٹھہرا تو اسی فانوس کے اندر بھیگیں گے

Hindi

बारिश होगी तो बारिश में दोनों मिल कर भीगेंगे रेत पे एक मुसाफ़िर का घर और समुंदर भीगेंगे अच्छा मैं हारा तुम जीते आगे की इक बात सुनो अब के बरस जब बारिश होगी सोच समझ कर भीगेंगे धूप का इक टुकड़ा क्यूँ मेरे सर पर साया करता है क्या मुझ को मंज़र से हटा कर सारे मंज़र भीगेंगे काग़ज़ की इक कश्ती ले कर बारिश में क्यूँ निकले हो भूले-बिसरे बचपन की यादों के पैकर भीगेंगे अच्छे लोगों की बस्ती में तुम क्यूँ रहने आए हो याँ होंटों पर फूल खिलेंगे ख़ून में ख़ंजर भीगेंगे उस दिन की जब बारिश होगी कौन बचेगा हम-सफ़रो फूल परिंद चराग़ जज़ीरे कंकर पत्थर भीगेंगे इक फ़ानूस है जिस में अपनी रूह 'मतीन' सुलगती है भीगना जब ठहरा तो उसी फ़ानूस के अंदर भीगेंगे

bārish hogī to bārish meñ donoñ mil kar bhīgeñge
Ghayas Mateen
Ghayas Mateen
Ghayas Mateen
poet19 quotes

More by Ghayas Mateen

View all →
Quote
"suraj ko kyaa pata hai kidhar dhuup chaahiye aangan baDaa hai apne bhi ghar dhuup chaahiye aaine TuuT TuuT ke bikhre hain chaar-su DhunDeinge aks aks magar dhuup chaahiye bhige hue paron se to uDne na paaeinge kaaTun na un parindon ke par dhuup chaahiye ham se darida-pairahan-o-jaan ke vaaste yaaqut chaahiye na guhar dhuup chaahiye suraj na jaane kaun si vaadi mein chhup gayaa aur chikhti phire hai sahar dhuup chaahiye ik niind hai ki aankh se lag kar nikal gai ab raat kaa tavil safar dhuup chaahiye paani pe chaahe naqsh banaae koi 'matin' kaaghaz pe main banaaun magar dhuup chaahiye"
Ghayas MateenGhayas Mateen
Quote
"jazire hon ki vo sahraa hon khvaab honaa hai samundaron ko kisi din saraab honaa hai savaal puchhne vaalo tumhein bhi aakhir-e-kaar rahin-e-minnat-e-baar-e-javaab honaa hai khanDar mein baiTh ke rone ki khu nahin jaati tumhaari aankh pe shaayad azaab honaa hai vo zulmatein jo ujaalon ke ghar mein rahti hain unhein bhi misl-e-sahr be-naqaab honaa hai vo din jo niili kitaabon mein band hai us ko abhi to mere liye be-hijaab honaa hai abhi to khvaahish-e-be-dast-o-paa salaamat hai abhi kuchh aur ye khaana-kharaab honaa hai ye shaakh shaakh parinde pukaarte hain 'matin' hamein to shaakh se gir kar gulaab honaa hai"
Ghayas MateenGhayas Mateen
Quote
"zamin ke saath falak ke safar mein ham bhi hain qafas-nasib sahi baal-o-par mein ham bhi hain vahin se luuT gai raaston ki tanhaai jahaan pe us ne ye jaanaa safar mein ham bhi hain to vo shajar jo sadaa barg-o-baar detaa hai misaal-e-aab-e-nihaan is shajar mein ham bhi hain jise kahin se samundar ne laa ke pheink diyaa tumhaare saath ik aise hi ghar mein ham bhi hain kitaab the to paDhe jaa sake na duniyaa se lo ab charaagh hue rahguzar mein ham bhi hain khayaal aag hai shoala hai fikr lau alfaaz ye sab hunar hain to phir is hunar mein ham bhi hain 'matin' shahr bhi sahraa-nazhaad hai itnaa ki sang-o-khisht mein divaar-o-dar mein ham bhi hain"
Ghayas MateenGhayas Mateen
Quote
"akelaa ghar hai kyon rahte ho kyaa deti hain divaarein yahaan to hansne vaalon ko rulaa deti hain divaarein inhein bhi apni tanhaai kaa jab ehsaas hotaa hai to gahri niind se mujh ko jagaa deti hain divaarein bujhe maazi kaa khilte haal se rishta ajab dekhaa khanDar khaamosh hain lekin sadaa deti hain divaarein havaa ke zakhm sah kar baarishon ki choT khaa khaa kar chhaton ko rauzanon ko aasraa deti hain divaarein rahun ghar mein to mere sar pe chaadar taan deti hain safar par jab nikaltaa huun duaa deti hain divaarein jo chalnaa hi na chaahe rok lete hain use zarre bagulon ko safar mein raasta deti hain divaarein vo saari guftugu jo band kamron hi mein hoti hai main jab baahar se aataa huun sunaa deti hain divaarein utarti aur chaDhti dhuup ki pahchaan hai in ko abhi din kitnaa baaqi hai bataa deti hain divaarein 'matin' is chilchilaati dhuup mein saaya inhi se hai main jab bhi TuTtaa huun hausla deti hain divaarein"
Ghayas MateenGhayas Mateen
Quote
"dil jalaa phir charaagh jalte hi apne dukh bhi hain shaam jaise hi kitne chehre utar gae dekho dhuup divaar se utarte hi mausamon kaa pata chalaa mujh ko rang divaar kaa badalte hi ham ne dariyaa mein raasta paayaa ik tiraa naam le ke chalte hi zindagi kitni khubsurat hai haan magar saans ke ukhaDte hi 'mir' ki yaad aa gai ham ko subh karte hi shaam karte hi ek zinda misaal thi na rahi haae us aadmi ke marte hi TuTnaa apne dil kaa yaad aaya aaina TuuT kar bikharte hi teraa lahja 'matin' aisaa hai phuul jhaDte hain baat karte hi"
Ghayas MateenGhayas Mateen

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"murattab aur bhi ik goshvaara ho rahaa hai to kyaa hai gar abhi ham ko khasaara ho rahaa hai hamaare paas to ham se ziyaada tu nahin thaa so tu kyaa ab to khud se bhi kinaara ho rahaa hai hamaare khvaab mein ahmiyat-e-shab thi ziyaada so ab vo khvaab aankhon mein sitaara ho rahaa hai tumhaari aarzu hone se pahle bhi to ham the guzaara ho rahaa thaa so guzaara ho rahaa hai hayaa-aalud aankhein hain na aanchal hai na chilman ye kis viraan duniyaa kaa nazaara ho rahaa hai abhi ham faisla karne ki ujlat mein nahin hain magar lagtaa hai jiine se khasaara ho rahaa hai khalaa se is zamin par sang-rezo ki ye baarish kisi jaanib se kyaa koi ishaara ho rahaa hai"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"choT par choT khaa rahaa huun main 'aadatan muskuraa rahaa huun main us ke uupar to kuchh asar hi nahin apnaa dil kyon jalaa rahaa huun main aaj tanhaai mein jo baiThe ho kyaa tumhein yaad aa rahaa huun main kaun aaegaa mujh se milne ko apnaa ghar kyon sajaa rahaa huun main aaj ji bhar ke dekh lo mujh ko ab bahut duur jaa rahaa huun main kyaa tumhein ab bhi kuchh shikaayat hai ab to sab kuchh kamaa rahaa huun main haath mein Digriyaan sajaae hue Thokarein kitni khaa rahaa huun main ab mujhe peT in se bharnaa hai ye jo khanjar banaa rahaa huun main kal koi is ko bhi na chhoDegaa ye jo paudaa lagaa rahaa huun main"
Saleem AmrohviSaleem Amrohvi