Quote
"chaal us ne kyon chali hai dekhnaa ye bhi to hai aag dil mein kyaa lagi hai dekhnaa ye bhi to hai sirf lahja khub-surat hai to is se kyaa gharaz baat kaisi ho rahi hai dekhnaa ye bhi to hai dil kaa vo achchhaa hai lekin ham se us ki dushmani 'aarzi hai daaimi hai dekhnaa ye bhi to hai kaamyaabi par miri masrur honaa aap kaa zaahiri hai baatini hai dekhnaa ye bhi to hai aap kaa nazrein milaanaa muskuraa kar dekhnaa pyaar hai yaa dil-lagi hai dekhnaa ye bhi to hai ye jo aankhon ko nazar aati hai 'haamid' raushni kyaa ye sach-much raushni hai dekhnaa ye bhi to hai"
H
Haamid Bhusawali






