Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Irshad Aziz
chaliye mushkil hai agar jiinaa to mar jaate hain
bojh ham ruuh pe apni hain utar jaate hain
khud ko aaina banaa rakkhaa hai jab se ham ne
us taraf dekhne kyaa ahl-e-nazar jaate hain
· · ·
Irshad Aziz
mushkil mein hai jaan bahut
jaan hai ab hairaan bahut
us patthar-dil insaan par
hote rahe qurbaan bahut
· · ·
Irshad Aziz
aae hain saraae mein to ghar jaaeinge kyaa hai
ham log kisi roz guzar jaaeinge kyaa hai
ham pasta qadon ko to bataa deinge bulandi
uDne se agar apne ye par jaaeinge kyaa hai
· · ·
Irshad Aziz
charaagh ishq ke dil mein jalaae jaate hain
baDe hi shauq se sadme uThaae jaate hain
unhein sukun mile ik yahi tamanna hai
agarche ham ko vo ji-bhar rulaae jaate hain
· · ·
Irshad Aziz
us se milaa to dil miraa sarshaar ho gayaa
aur phir bichhaD ke khud se hi bezaar ho gayaa
kauDi ke bhaav biktaa hai is daur mein zamir
insaan kaa vajud hi baazaar ho gayaa
· · ·
Irshad Aziz
ye meraa dil kahaan hai ab tumhaari raajdhaani hai
mire dil par tumhaare dard-o-gham ki hukmraani hai
suno kuchh to kaho tum kyon bhalaa yuun ruuTh baiThi ho
hamesha main ne meri jaan tumhaari baat maani hai
· · ·
Irshad Aziz
sach kahne se yaar khafaa ho jaate hain
dil ke sab armaan havaa ho jaate hain
had se ziyaada izzat dene par dekho
aise vaise log khudaa ho jaate hain
· · ·
Irshad Aziz
dil mein jagah duun tum ko apne pahle se hain mehmaan bahut
tum dekho koi aur Thikaana ho jaaoge pareshaan bahut
us ko bhulaane ki koshish main jitni kartaa huun yaaro
us ki yaad ke siine mein mire chubhte hain paikaan bahut
· · ·
Irshad Aziz
jo gai ham se ruuTh kar aavaaz
haae kitni thi mo'atabar aavaaz
shor duniyaa kaa sunte phirte hain
dil ki suntaa nahin magar aavaaz
· · ·
Irshad Aziz
dil kare jab aap kaa mujh ko rulaayaa kijiye
aap gham ki ye davaa mere khudaaraa kijiye
lutf aae aap ko saare jahaan se jiit kaa
mere jaise jaan kar khud se hi haaraa kijiye
· · ·
Irshad Aziz
apne liye rahaa kabhi us ke rahaa khilaaf
meraa mizaaj sab ke liye ek saa khilaaf
aise bhi yaar hotaa hai koi bhalaa khilaaf
hoti hai juun charaagh ke yaaro havaa khilaaf
· · ·
Irshad Aziz
dekhe hain dil-nashin manaazir hijaab ke
hote hain rang sainkaDon paagal jo khvaab ke
khushbu jise samajhte ho hai khun-e-zakhm-e-gul
dekhe nahin hain zakhm kisi ne gulaab ke
· · ·
Irshad Aziz
tujh ko chhu kar halaal kar duun kyaa
aaj main ye kamaal kar duun kyaa
jis kaa saani na ho zamaane mein
main tumhein be-misaal kar duun kyaa
· · ·
Irshad Aziz
dil mein bas jaan saa main rahtaa huun
khud mein mehmaan saa main rahtaa huun
kitne aabaad dil kiye main ne
khud mein viraan saa main rahtaa huun
· · ·
Irshad Aziz
tum ko vafaa se kyaa matlab hai jaao apnaa kaam karo
din-bhar bhaTke aavaara se ab jaa kar aaraam karo
kab rokaa hai main ne tum ko meri baatein karne se
naam agar hotaa hai tumhaaraa to mujh ko badnaam karo
· · ·
Irshad Aziz
baahar nahin to khud hi ke andar talaash kar
sahraa hai jis jagah pe samundar talaash kar
mumkin hai ye ki meri rag-e-jaan ko kaaT de
isaar-o-aashiqi kaa tu khanjar talaash kar
· · ·
Irshad Aziz
meri jaisi us ki haalat kab hogi
us ko jaane mujh se mohabbat kab hogi
us ke liye main khud se laDtaa rahtaa huun
us ke dil ko us se adaavat kab hogi
· · ·
Irshad Aziz
ek gham hi to yaar hai apnaa
dil jo un par nisaar hai apnaa
ham to kab ke hi mar gae yaaro
kis ko ab intizaar hai apnaa
· · ·
Irshad Aziz
donon mein thi havas ki mohabbat to thi nahin
yaani vafaa ki un ko zarurat to thi nahin
achchhaa to chaahti thiin zamaane se tum mujhe
lab par kabhi tumhaare shikaayat to thi nahin
· · ·
Irshad Aziz
rote rote vo ho gayaa khaamosh
kyaa huaa puchhaa to kahaa khaamosh
jis ko kahte the ghaazi-e-guftaar
us ko haalaat ne kiyaa khaamosh
· · ·
Irshad Aziz
dil mein jo thaa vo ho gayaa mujh ko sunaa ke chup
sun kar huaa huun us ko main aansu bahaa ke chup
kahtaa thaa apnaa haal main tum ko sunaaungaa
na jaane kyon vo ho gayaa aansu bahaa ke chup
· · ·
Irshad Aziz
baDi mushkil hain raahein sun mohabbat ki zamaane mein
ki pal pal marnaa paDtaa hai ise dil se nibhaane mein
mohabbat se mile zakhmon ko main gauhar samajhtaa huun
izaafa hi izaafa hai mire dil ke khazaane mein
· · ·
Irshad Aziz
jiinaa dushvaar kar liyaa hogaa
mujh ko dildaar kar liyaa hogaa
mujh ko taskin mil gai yaani
us ne iftaar kar liyaa hogaa
· · ·
Irshad Aziz
ye ishq ke sataae kareinge laDaai khaak
ghar phunk ke kiyaa hai tamaashaa uDaai khaak
ham se jo ho sakaa to mohabbat mein ye kiyaa
dil ko jalaa ke raah-e-vafaa mein bujhaai khaak
· · ·







