Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Jigar Jalandhari
ho na kuchh baat magar shor machaae rakhnaa
is tarah auron ko hamdard banaae rakhnaa
tum agar chaahte ho sab tumhein hans hans ke milein
apnaa gham apne hi siine mein chhupaae rakhnaa
· · ·
Jigar Jalandhari
kis kaa lab par mire fasaanaa hai
hama-tan-gosh ik zamaana hai
zindagi ek khvaab hai lekin
is haqiqat ko kis ne jaanaa hai
· · ·
Jigar Jalandhari
ik nihattaa aadmi tadbir se
kyaa laDe taqdir ki shamshir se
muskuraanaa zer-e-lab har vaqt hi
koi sikhe aap ki tasvir se
· · ·
Jigar Jalandhari
be-taabiyon mein ashkon mein naalon mein ghir gae
yaa'ni ham apne chaahne vaalon mein ghir gae
aayaa na khvaab mein bhi kabhi apnaa kuchh khayaal
ham is qadar andheron ujaalon mein ghir gae
· · ·
Jigar Jalandhari
jab koi gham hi na ho ashk bahaaun kaise
khud ko duniyaa ki adaakaari sikhaaun kaise
teri har ek jhalak aur baDhaati hai talab
aise mein pyaas nigaahon ki bujhaaun kaise
· · ·
Jigar Jalandhari
zer-e-lab un kaa muskuraa denaa
dil mein shahnaaiyaan bajaa denaa
jaane vaale ye baat yaad rahe
ham ko aasaan nahin bhulaa denaa
· · ·
Jigar Jalandhari
kisi se rabt nahin hai kisi se pyaar mujhe
na jaane rahtaa hai phir kis kaa intizaar mujhe
har ek saans miri umr ko ghaTaati hai
nafas kaa taar hai goyaa kafan kaa taar mujhe
· · ·
Jigar Jalandhari
vafaa ke baraabar jafaa chaahtaa huun
tiraa hausla dekhnaa chaahtaa huun
har ik dil mein ho intihaa ki mohabbat
main is daur ki ibtidaa chaahtaa huun
· · ·
Jigar Jalandhari
dard-e-dil ki davaa na ho jaae
zindagi be-mazaa na ho jaae
lutf deti hai kyaa umid-e-vafaa
bevafaa baa-vafaa na ho jaae
· · ·
Jigar Jalandhari
jab nigaahein laDin nigaahon se
aandhiyaan uTThin dil ki raahon se
jurm saabit na ho to jurm nahin
qatl karte raho nigaahon se
· · ·
Jigar Jalandhari
jo log ujaale ko ujaalaa nahin kahte
ham un ko buraa kahte hain achchhaa nahin kahte
jo joD na de TuuTe hue taar dilon ke
ham us ko mohabbat kaa taraanaa nahin kahte
· · ·
Jigar Jalandhari
us zulf ki tausif bataai nahin jaati
ik lambi kahaani hai sunaai nahin jaati
dil hai ki maraa jaataa hai didaar ki khaatir
ham hain ki udhar aankh uThaai nahin jaati
· · ·







