SHAWORDS

dard-e-dil ki davaa na ho jaae — Jigar Jalandhari

"dard-e-dil ki davaa na ho jaae zindagi be-mazaa na ho jaae lutf deti hai kyaa umid-e-vafaa bevafaa baa-vafaa na ho jaae kaise betaab un ko dekhungaa aah yaarab rasaa na ho jaae dil mein hasrat basaa to li hai magar ye kaDi silsila na ho jaae apni duniyaa usi se raushan hai gul charaagh-e-vafaa na ho jaae ham sitam ko karam samajhte hain un pe ye raaz vaa na ho jaae ik zamaana hai us kaa divaana kahin vo but khudaa na ho jaae dil hi sab se baDaa sahaaraa hai dil kisi se judaa na ho jaae tum agar chhu lo apne honTon se sher meraa tiraa na ho jaae dil luTaa kar 'jigar' hamaari tarah koi be-aasraa na ho jaae"
Urdu

درد دل کی دوا نہ ہو جائے زندگی بے مزا نہ ہو جائے لطف دیتی ہے کیا امید وفا بے وفا با وفا نہ ہو جائے کیسے بیتاب ان کو دیکھوں گا آہ یا رب رسا نہ ہو جائے دل میں حسرت بسا تو لی ہے مگر یہ کڑی سلسلہ نہ ہو جائے اپنی دنیا اسی سے روشن ہے گل چراغ وفا نہ ہو جائے ہم ستم کو کرم سمجھتے ہیں ان پہ یہ راز وا نہ ہو جائے اک زمانہ ہے اس کا دیوانہ کہیں وہ بت خدا نہ ہو جائے دل ہی سب سے بڑا سہارا ہے دل کسی سے جدا نہ ہو جائے تم اگر چھو لو اپنے ہونٹوں سے شعر میرا ترا نہ ہو جائے دل لٹا کر جگرؔ ہماری طرح کوئی بے آسرا نہ ہو جائے

Hindi

दर्द-ए-दिल की दवा न हो जाए ज़िंदगी बे-मज़ा न हो जाए लुत्फ़ देती है क्या उमीद-ए-वफ़ा बेवफ़ा बा-वफ़ा न हो जाए कैसे बेताब उन को देखूँगा आह यारब रसा न हो जाए दिल में हसरत बसा तो ली है मगर ये कड़ी सिलसिला न हो जाए अपनी दुनिया उसी से रौशन है गुल चराग़-ए-वफ़ा न हो जाए हम सितम को करम समझते हैं उन पे ये राज़ वा न हो जाए इक ज़माना है उस का दीवाना कहीं वो बुत ख़ुदा न हो जाए दिल ही सब से बड़ा सहारा है दिल किसी से जुदा न हो जाए तुम अगर छू लो अपने होंटों से शेर मेरा तिरा न हो जाए दिल लुटा कर 'जिगर' हमारी तरह कोई बे-आसरा न हो जाए

dard-e-dil kī davā na ho jaa.e
Jigar Jalandhari
Jigar Jalandhari
Jigar Jalandhari
poet14 quotes

More by Jigar Jalandhari

View all →
Quote
"ho na kuchh baat magar shor machaae rakhnaa is tarah auron ko hamdard banaae rakhnaa tum agar chaahte ho sab tumhein hans hans ke milein apnaa gham apne hi siine mein chhupaae rakhnaa duur karnaa na kabhi jalvon ko mere dil se is chaman ko inhin phulon se sajaae rakhnaa is se pur-nur huaa meri tamannaa kaa diyaa rukh-e-raushan se yunhi parda uThaae rakhnaa ye hamaaraa hi kaleja hai ki tere gham ko dil ki maanind kaleje se lagaae rakhnaa ye adaa un ki masihaa bhi hai qaatil bhi hai saamne aa ke nigaahon ko jhukaae rakhnaa tum agar chaahte ho koi tamannaa na rahe haath har ek tamannaa se uThaae rakhnaa dar-e-mahbub pe har vaqt paDe rahnaa 'jigar' yaani us dar ko dar-e-kaaba banaae rakhnaa"
Jigar JalandhariJigar Jalandhari
Quote
"kis kaa lab par mire fasaanaa hai hama-tan-gosh ik zamaana hai zindagi ek khvaab hai lekin is haqiqat ko kis ne jaanaa hai kis tarah gham ko chhoD duun yak-lakht is se rishta bahut puraanaa hai aur thoDi si kijiye taklif do qadam par gharib-khaana hai aap ko lauTne ki der hai bas umr-e-rafta ko lauT aanaa hai zindagi tujh se kyaa main pyaar karun chaal teri musaafiraana hai ru-ba-ru dil ke hai vo shokh-nazar barq ki zad mein aashiyaanaa hai hai tamannaa kisi se milne ki maut to ai 'jigar' bahaanaa hai"
Jigar JalandhariJigar Jalandhari
Quote
"be-taabiyon mein ashkon mein naalon mein ghir gae yaa'ni ham apne chaahne vaalon mein ghir gae aayaa na khvaab mein bhi kabhi apnaa kuchh khayaal ham is qadar andheron ujaalon mein ghir gae sab ahl-e-zarf raah-e-'amal par hue ravaan kam-zarf idhar udhar ke khayaalon mein ghir gae un ke qadam na chuum sakin manzilein kabhi raahi jo apne paanv ke chhaalon mein ghir gae un ko khushi main un ki mohabbat mein qaid huun mujh ko khushi vo mere khayaalon mein ghir gae jin ko nasib ho na sakein dil ki mastiyaan vo bad-nasib mai ke piyaalon mein ghir gae ik pal bhi rah sake na akele ham ai 'jigar' nikle jo bhiiD se to khayaalon mein ghir gae"
Jigar JalandhariJigar Jalandhari
Quote
"jab koi gham hi na ho ashk bahaaun kaise khud ko duniyaa ki adaakaari sikhaaun kaise teri har ek jhalak aur baDhaati hai talab aise mein pyaas nigaahon ki bujhaaun kaise khud-bakhud aankhon ke paimaane chhalak paDte hain shiddat-e-gham ko chhupaaun to chhupaaun kaise chaand-taaron se zaraa bhi tujhe taskin nahin zindagi ab main tiri maang sajaaun kaise jis ko aane ki tasavvur mein bhi fursat na mile haal-e-dil us ko sunaaun to sunaaun kaise bach ke duniyaa ki nigaahon se khataa kar to luun apni nazron se magar khud ko giraaun kaise aag ho to use paani se bujhaa bhi luun 'jigar' ye lagi dil ki hai main us ko bujhaaun kaise"
Jigar JalandhariJigar Jalandhari

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"
Ayub KhawarAyub Khawar