Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Jigar Biswani
bichhaa rakkhun main aankhein rahguzar mein
kabhi aa jaaein shaayad mere ghar aap
hamaaraa dil nahin qaabu mein rahtaa
adaa se dekhte hain jab idhar aap
· · ·
Jigar Biswani
divaanon mein zikr-e-dil-e-divaana rahegaa
jab main na rahungaa miraa afsaana rahegaa
gesu ki bhi nighat se vo begaana rahegaa
divaana tiri zulf kaa divaana rahegaa
· · ·
Jigar Biswani
yuun ba-mushkil dil-e-majruh se paikaan niklaa
main ye samjhaa ki tire vasl kaa armaan niklaa
dekh kar us ko dam-e-nazaa huiin aankhein band
jaan ke saath hi didaar kaa armaan niklaa
· · ·
Jigar Biswani
abas hai shauq laDakpan mein zulm Dhaane kaa
javaan ho ke galaa kaaTnaa zamaane kaa
asiir main to qafas mein huun ik zamaane kaa
khayaal hai na chaman kaa na aashiyaane kaa
· · ·
Jigar Biswani
kyaa gham-e-hijr uThaa kar koi mar jaaegaa
jis tarah raat kaTi din bhi guzar jaaegaa
un ke didaar ki hasrat hai dam-e-aakhir bhi
dam nikal kar miri aankhon mein Thahar jaaegaa
· · ·
Jigar Biswani
sharaab-e-naab ko munh se zaraa lagaa vaaiz
mai-e-tuhur kaa main vasf sun chukaa vaaiz
tiri tarah nahin toDaa kabhi kisi kaa dil
jo ham ne toDi bhi tauba to kyaa huaa vaaiz
· · ·
Jigar Biswani
shab-e-visaal hansi aati hai muqaddar par
vo ham se ruuTh ke sone chale hain bistar par
vo sakht-jaan huun ki qaatil hai jaan se aajiz
kabhi gale pe hai khanjar kabhi hai patthar par
· · ·
Jigar Biswani
manzur-e-nazar hai dil-e-gham-khvaar tumhaaraa
jo yaar hamaaraa hai vahi yaar tumhaaraa
dam hasrat-e-didaar ne aankhon se nikaalaa
ab tum ko mubaarak rahe didaar tumhaaraa
· · ·
Jigar Biswani
ji bhar ke kabhi yaar kaa jalva nahin dekhaa
dekhaa bhi to is tarah ki goyaa nahin dekhaa
marne kaa nahin gham magar is baat kaa gham hai
us ne mire marne kaa tamaashaa nahin dekhaa
· · ·







