SHAWORDS

kyaa gham-e-hijr uThaa kar koi mar jaaegaa — Jigar Biswani

HomeJigar BiswaniGhazal
"kyaa gham-e-hijr uThaa kar koi mar jaaegaa jis tarah raat kaTi din bhi guzar jaaegaa un ke didaar ki hasrat hai dam-e-aakhir bhi dam nikal kar miri aankhon mein Thahar jaaegaa tum hamaare dil-e-muztar ko sambhaalo na abhi khuub ji bhar ke taDap le to Thahar jaaegaa surat-e-naqsh-e-qadam baiTh chukaa kuche mein dar-e-jaanaan se kahaan uTh ke 'jigar' jaaegaa"
Urdu

کیا غم ہجر اٹھا کر کوئی مر جائے گا جس طرح رات کٹی دن بھی گزر جائے گا ان کے دیدار کی حسرت ہے دم آخر بھی دم نکل کر مری آنکھوں میں ٹھہر جائے گا تم ہمارے دل مضطر کو سنبھالو نہ ابھی خوب جی بھر کے تڑپ لے تو ٹھہر جائے گا صورت نقش قدم بیٹھ چکا کوچے میں در جاناں سے کہاں اٹھ کے جگرؔ جائے گا

Hindi

क्या ग़म-ए-हिज्र उठा कर कोई मर जाएगा जिस तरह रात कटी दिन भी गुज़र जाएगा उन के दीदार की हसरत है दम-ए-आख़िर भी दम निकल कर मिरी आँखों में ठहर जाएगा तुम हमारे दिल-ए-मुज़्तर को सँभालो न अभी ख़ूब जी भर के तड़प ले तो ठहर जाएगा सूरत-ए-नक़्श-ए-क़दम बैठ चुका कूचे में दर-ए-जानाँ से कहाँ उठ के 'जिगर' जाएगा

kyā ġham-e-hijr uThā kar koī mar jā.egā
J
Jigar Biswani
Jigar Biswani
poet9 quotes

More by Jigar Biswani

View all →
Quote
"divaanon mein zikr-e-dil-e-divaana rahegaa jab main na rahungaa miraa afsaana rahegaa gesu ki bhi nighat se vo begaana rahegaa divaana tiri zulf kaa divaana rahegaa majnun ne kahaa najd mein mujh se dam-e-aakhir aabaad tire dam se ye viraana rahegaa haathon mein vo mehndi bhi malein dil kaa lahu bhi donon kaa magar rang judaagaana rahegaa kaabe ki taraf jaane ko ham jaaeinge zaahid dil mahv-e-khyaal-e-rah-e-but-khaana rahegaa aaraam milegaa na zamaane mein 'jigar' ko dil mein jo na tu ai gham-e-jaanaana rahegaa"
J
Jigar Biswani

More on Raat

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri