SHAWORDS

sharaab-e-naab ko munh se zaraa lagaa vaaiz — Jigar Biswani

HomeJigar BiswaniGhazal
"sharaab-e-naab ko munh se zaraa lagaa vaaiz mai-e-tuhur kaa main vasf sun chukaa vaaiz tiri tarah nahin toDaa kabhi kisi kaa dil jo ham ne toDi bhi tauba to kyaa huaa vaaiz main jaantaa huun haqiqat bahisht-o-dozakh ki khudaa ke vaaste baatein na tu banaa vaaiz gunaah-gaar hain ham zaat hai ghafur us ki khudaa khudaa kar are tu nahin khudaa vaaiz"
Urdu

شراب ناب کو منہ سے ذرا لگا واعظ مے طہور کا میں وصف سن چکا واعظ تری طرح نہیں توڑا کبھی کسی کا دل جو ہم نے توڑی بھی توبہ تو کیا ہوا واعظ میں جانتا ہوں حقیقت بہشت و دوزخ کی خدا کے واسطے باتیں نہ تو بنا واعظ گناہگار ہیں ہم ذات ہے غفور اس کی خدا خدا کر ارے تو نہیں خدا واعظ

Hindi

शराब-ए-नाब को मुँह से ज़रा लगा वाइ'ज़ मय-ए-तुहूर का मैं वस्फ़ सुन चुका वाइ'ज़ तिरी तरह नहीं तोड़ा कभी किसी का दिल जो हम ने तोड़ी भी तौबा तो क्या हुआ वाइ'ज़ मैं जानता हूँ हक़ीक़त बहिश्त-ओ-दोज़ख़ की ख़ुदा के वास्ते बातें न तू बना वाइ'ज़ गुनाह-गार हैं हम ज़ात है ग़फ़ूर उस की ख़ुदा ख़ुदा कर अरे तू नहीं ख़ुदा वाइ'ज़

sharāb-e-nāb ko muñh se zarā lagā vaa.iz
J
Jigar Biswani
Jigar Biswani
poet9 quotes

More by Jigar Biswani

View all →
Quote
"divaanon mein zikr-e-dil-e-divaana rahegaa jab main na rahungaa miraa afsaana rahegaa gesu ki bhi nighat se vo begaana rahegaa divaana tiri zulf kaa divaana rahegaa majnun ne kahaa najd mein mujh se dam-e-aakhir aabaad tire dam se ye viraana rahegaa haathon mein vo mehndi bhi malein dil kaa lahu bhi donon kaa magar rang judaagaana rahegaa kaabe ki taraf jaane ko ham jaaeinge zaahid dil mahv-e-khyaal-e-rah-e-but-khaana rahegaa aaraam milegaa na zamaane mein 'jigar' ko dil mein jo na tu ai gham-e-jaanaana rahegaa"
J
Jigar Biswani

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil