Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Jumbish Khairabadi
khaamushi hi khaamushi mein daastaan bantaa gayaa
meraa har aansu mire gham ki zabaan bantaa gayaa
aap kaa gham jab sharik-e-qalb-o-jaan bantaa gayaa
ashk kaa har qatra bahr-e-be-karaan bantaa gayaa
· · ·
Jumbish Khairabadi
sahraa mein jo divaane se baad-e-sabaa uljhi
har mauj-e-gul-e-tar se vo zulf-e-dotaa uljhi
ilzaam nahin tujh par ai baadiya-paimaai
divaane ki qismat se sahraa ki havaa uljhi
· · ·
Jumbish Khairabadi
sambhal kar aah bharnaa ai asir-e-daam-e-tanhaai
kahin haathon se chhuT jaae na daamaan-e-shakebaai
ajab andaaz rakhti hai adaa-e-dasht-paimaai
ki khud hi khaar baDh kar chumte hain paa-e-saudaai
· · ·
Jumbish Khairabadi
soe hue zehnon mein naadida saveraa hai
suraj ke bhi ugne par har samt andheraa hai
afsurda dilon mein bhi armaanon kaa Deraa hai
sukhi hui shaakhon par chiDiyon kaa baseraa hai
· · ·
Jumbish Khairabadi
ki ehtiyaat dil ne bahut par kahaa gayaa
chhoDi jo un ki raah to dar dar kahaa gayaa
saaqi ne mere naam pe saaghar paTak diyaa
tishna-labi ko meraa muqaddar kahaa gayaa
· · ·
Jumbish Khairabadi
jhuum ke saaghar kaun uThaae kis ko paDi maikhaane ki
saaqi ko bhi hosh nahin hai qismat hai paimaane ki
gulshan gulshan yuun phirti hai chaak-garebaan phuul ki khushbu
jaise sabaa ne phailaa di ho baat kisi divaane ki
· · ·
Jumbish Khairabadi
zindagi maut ke aaghosh se paidaa karnaa
Duub kar bahr mein tufaan se khelaa karnaa
aae ronaa bhi to hansne kaa iraada karnaa
josh-e-gham mein na kabhi zabt se guzraa karnaa
· · ·
Jumbish Khairabadi
sukun paayaa tabiat ne na dil ko hi qaraar aayaa
jo aansu aankh mein aayaa baDaa be-e'tibaar aayaa
kisi kaa baankpan saare zamaane mein pukaar aayaa
chamak aankhon mein aai nok-e-mizhgaan par nikhaar aayaa
· · ·
Jumbish Khairabadi
savaad-e-manzar-e-khvaab-e-pareshaan kaun dekhegaa
asir-e-zulf ho kar shaam-e-hijraan kaun dekhegaa
gulon ki dilkashi fasl-e-bahaaraan kaun dekhegaa
na honge jab hamin rang-e-gulistaan kaun dekhegaa
· · ·
Jumbish Khairabadi
phuul khilte hi agar paanv mein chhaale honge
ai junun dasht-navardi ke bhi laale honge
un pe ho jaaeinge taamir haqiqat ke mahal
ham ne jo khvaab kabhi zehan mein paale honge
· · ·







