Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Karrar Noori
vo jaa chuke hain magar khalfashaar baaqi hai
jo intizaar thaa vo intizaar baaqi hai
bas itni baat mire shahr-e-yaar baaqi hai
ki nashsha TuuT chukaa hai khumaar baaqi hai
· · ·
Karrar Noori
fan ki aur zaat ki paikaar ne sone na diyaa
dil mein jaage hue fankaar ne sone na diyaa
har taraf tapti hui dhuup mire saath gai
zer-e-saaya kisi divaar ne sone na diyaa
· · ·
Karrar Noori
har chand apnaa haal na ham se bayaan huaa
ye harf-e-be-vajud magar daastaan huaa
maanaa ki ham pe aaj koi mehrbaan huaa
dil kaanptaa hai ye bhi agar imtihaan huaa
· · ·
Karrar Noori
rah-e-hayaat mein koi charaagh hi na milaa
kisi dimaagh se apnaa dimaagh hi na milaa
gham-e-zamaana se fursat to mil bhi sakti thi
tumhaari yaad se lekin faraagh hi na milaa
· · ·
Karrar Noori
main lamha lamha nae apne khadd-o-khaal mein thaa
ki jo bhi kuchh thaa main apni shikast-e-haal mein thaa
nazar paDaa to vo aise na dekhaa ho jaise
vo aks aks thaa aur apne hi jamaal mein thaa
· · ·
Karrar Noori
har taraf tazkira-e-jurm-o-sazaa hotaa hai
aaj ham samjhe ki banda bhi khudaa hotaa hai
jaise rahte hon kisi shakhs ki jaagir mein ham
dil mein rah rah ke ye ehsaas saa kyaa hotaa hai
· · ·
Karrar Noori
dil hai chup bol rahaa ho jaise
khud mein gham ghol rahaa ho jaise
ab vo yuun dekh rahaa hai mujh ko
zarf ko tol rahaa ho jaise
· · ·
Karrar Noori
apni hasti nazar aai thi abhi
saans se shama bujhaai thi abhi
kaun ho saktaa hai aane vaalaa
ek aavaaz si aai thi abhi
· · ·
Karrar Noori
karb hai karb ki aavaaz baraabar hai yahi
teri qimat hai yahi teraa muqaddar hai yahi
ji mein hai ab kisi darvaaze pe dastak de duun
aur phir puchhun ki ai shakhs miraa ghar hai yahi
· · ·
Karrar Noori
tiri hi tarah hamein yaad aane vaalaa ho
tire sivaa bhi koi to sataane vaalaa ho
har ek subh yahi dil mein huuk uThti hai
hamein bhi naaz se koi jagaane vaalaa ho
· · ·
Karrar Noori
apni taqdir se baghaavat ki
aaj ham ne bhi ik ibaadat ki
kaun hai jis ke sar ki khaaein qasam
kis ne ham se yahaan mohabbat ki
· · ·
Karrar Noori
ham na hote bhi to itnaa hote
kahin dariyaa kahin sahraa hote
jaane kyaa khud ko samajh rakkhaa hai
ye jo hasrat hai ki rusvaa hote
· · ·
Karrar Noori
hukm aayaa hai ki fitne ko bhi fitna na kahun
jaisaa dekhaa hai sunaa hai use vaisaa na kahun
mere chup rahne se kyaa baat sanvar jaaegi
log khud bhi to samajhte hain kahun yaa na kahun
· · ·
Karrar Noori
taarikiyon mein ham jo giraftaar ho gae
shaayad sahar se pahle hi bedaar ho gae
ye kaun saa maqaam-e-rah-o-rasm hai ki vo
itne hue qarib ki bezaar ho gae
· · ·
Karrar Noori
roke kuchh der ghubaar aankh kaa dho lein ham bhi
apne bhi dil ko zaraa aaj TaTolein ham bhi
naam le kar kabhi ham ko bhi pukaare koi
apnaa darvaaza kisi roz to kholein ham bhi
· · ·
Karrar Noori
hain agar daar-o-rasan subh-e-munavvar ke evaz
phir to khurshed hi ubhregaa mire sar ke evaz
ham ko bhi sar koi darkaar hai ab sar ke evaz
patthar ik ham bhi chalaa dete hain patthar ke evaz
· · ·
Karrar Noori
chaunkaa hai aaj yuun tiraa divaana khvaab mein
jaise ki mil gayaa koi viraana khvaab mein
likhnaa hai pichhle din kaa bhi afsaana khvaab mein
ai hone vaali subh na aa jaanaa khvaab mein
· · ·
Karrar Noori
shahr mein tanhaa thaa lekin karb-e-tanhaai na thaa
ghar se baahar rah ke main itnaa to saudaai na thaa
khud-bakhud hi dost ban kar bante hain dushman ye log
varna az-khud to mujhe zauq-e-shanaasaai na thaa
· · ·
Karrar Noori
khud apne ghar mein hain is tarah aaj aae hue
ki jaise ghar mein kisi ke hon ham bulaae hue
ki jaise ab koi khurshid aa hi jaaegaa
hain apne ghar ke andheron se lau lagaae hue
· · ·
Karrar Noori
dil murid-e-ilzaam-e-vafaa aur bhi niklaa
ik gham gham-e-dauraan ke sivaa aur bhi niklaa
yuun hone ko ham se hai khafaa saaraa zamaana
ik shakhs magar ham se khafaa aur bhi niklaa
· · ·
Karrar Noori
har-gaam tajrabaat ke pahlu badal gae
logon ko aazmaa ke ham aage nikal gae
ham ko to ek lamha khushi kaa na mil sakaa
kyaa log the jo ziist ke saanche mein Dhal gae
· · ·
Karrar Noori
kyuun andheron mein rahein raat basar hone tak
khud hi khurshid na ban jaaein sahar hone tak
kitnaa achchhaa ho ki is baar mariz-e-shab-e-gham
achchhaa ho jaae masihaa ko khabar hone tak
· · ·
Karrar Noori
aur bhi aaeinge kuchh ahl-e-vafaa mere baad
aur bhi nikhregi duniyaa ki fazaa mere baad
e'tiraaf apni khataaon kaa main kartaa hi chalun
jaane kis kis ko mile meri sazaa mere baad
· · ·
Karrar Noori
haal-e-dil main ne jo duniyaa ko sunaanaa chaahaa
mujh ko har shakhs ne dil apnaa dikhaanaa chaahaa
apni tasvir banaane ke liye duniyaa mein
main ne har rang pe ik rang chaDhaanaa chaahaa
· · ·







