Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Krishn Gopal Maghmum
aa aur har ik lutf-o-inaayat ke liye aa
tanhaaiyon mein meri rifaaqat ke liye aa
le kar nigah-e-naaz kaa har nashtar-e-sar-tez
dil par mire ik taaza jaraahat ke liye aa
· · ·
Krishn Gopal Maghmum
koi jalvaa-fishaan hai aur main huun
tasavvur kaa jahaan hai aur main huun
kaThin hai raah manzil gum shab-e-taar
magar azm-e-garaan hai aur main huun
· · ·
Krishn Gopal Maghmum
yuun to hangaame bahut dil mein bapaa rahte hain
ham baDe khush hain ki raazi-ba-razaa rahte hain
sajti rahti hain hamaare hi liye daar-o-salib
koi bhi daur ho ham surkh-qabaa rahte hain
· · ·
Krishn Gopal Maghmum
nahin badle dar-o-divaar-e-zindaan aao divaano
jo pahle the vahi hain saaz-o-saamaan aao divaano
tum aise sar-phiron ki justuju hai tauq-e-aahan ko
bulaati hai tumhein zanjir-e-zindaan aao divaano
· · ·
Krishn Gopal Maghmum
har qadam teri rahguzar mein hai
meri manzil miri nazar mein hai
zindagi sarhad-e-khatar mein hai
manzil-e-aakhiri nazar mein hai
· · ·
Krishn Gopal Maghmum
qadam jo raah-e-mohabbat mein thakne lagtaa hai
har ek zarra-e-manzil chamakne lagtaa hai
vo jis ne pi ho zaraa si bhi eqtidaar ki mai
har ek bazm mein kyaa kyaa bahakne lagtaa hai
· · ·
Krishn Gopal Maghmum
ai dost tiraa qurb to ham paa na sakeinge
kyaa naam bhi honTon pe tiraa laa na sakeinge
gahraai se dil ki ubhar aaeinge nae giit
gaae hue giton ko to ham gaa na sakeinge
· · ·
Krishn Gopal Maghmum
mere sapnon ki mast purvaai
meri khaatir tujhe bulaa laai
ik tire intizaar mein baiThe
ho chali shaam dhuup sanvlaai
· · ·
Krishn Gopal Maghmum
ishq kaa ham se naam baaqi hai
husn kaa ehtiraam baaqi hai
piine vaale to uTh gae kab ke
haan magar daur-e-jaam baaqi hai
· · ·
Krishn Gopal Maghmum
shaam-e-dilkash kaa rangin samaan hai
aise mein kyaa khabar tu kahaan hai
apne dil ko javaan-saal rakkho
dil javaan hai to sab kuchh javaan hai
· · ·
Krishn Gopal Maghmum
hausla diid kaa aur taab-e-nazar dekheinge
husn hi husn ke ham shams-o-qamar dekheinge
dekhnaa paD gai maayus andheron ki sahar
sochte the ki umidon ki sahar dekheinge
· · ·
Krishn Gopal Maghmum
zaahiran shaad huun farhaan huun hamesha ki tarah
baatinan zaar-o-pareshaan huun hamesha ki tarah
dil miraa barg-e-khizaan-dida ki maanind sahi
main parastaar-e-bahaaraan huun hamesha ki tarah
· · ·
Krishn Gopal Maghmum
bhaTak na jaae khudaayaa nazar kitaabon mein
guzarte hain mire shaam-o-sahar kitaabon mein
jahaan bhar mein hain jaazib hazaar-haa chizein
magar nazar ne banaayaa hai ghar kitaabon mein
· · ·
Krishn Gopal Maghmum
choT gahri mujhe lagi to nahin
dil ki haalat kabhi chhupi to nahin
haasil-e-nutq khaamushi to nahin
kahin mearaaj-e-gham yahi to nahin
· · ·
Krishn Gopal Maghmum
khizaan-dida gulistaan kaa nazaaraa kar liyaa main ne
na paa kar phuul kaanTon hi se daaman bhar liyaa main ne
mujhi se uTh na paayaa baar tabligh-e-mohabbat kaa
shar-o-fitna kaa har ilzaam apne sar liyaa main ne
· · ·
Krishn Gopal Maghmum
hamaare ashk palkon par dhare hain
mohabbat mein qayaamat ke maze hain
mohabbat ki rah-e-dushvaar par ham
ishaara paa ke teraa chal rahe hain
· · ·
Krishn Gopal Maghmum
kore kaaghaz pe kai naqsh banaae main ne
aur phir ik ke sivaa saare miTaae main ne
gul-e-khud-rau ki mahak jaise kisi jangal mein
haae vo giit jo tanhaai mein gaae main ne
· · ·
Krishn Gopal Maghmum
ghair apne hain kab paraae hain
vaqt par mere kaam aae hain
raah-e-hasti mein mere gaam-ba-gaam
teri yaadon ke kitne saae hain
· · ·
Krishn Gopal Maghmum
vafaa ki raah mein jo naqd-e-jaan luTaa aae
lab-e-zamaana ne vo chand naam dohraae
jab ik bhi lamha khushi kaa na apne paas aae
khudaa bachaae ham is zindagi se bhar paae
· · ·
Krishn Gopal Maghmum
mire saaqi ik aisaa daur-e-saaghar
piyun ji bhar ke ashk-e-dida-e-tar
jamaal-e-dost yuun ho jalva-farmaa
girein meri nazar se maah-o-akhtar
· · ·
Krishn Gopal Maghmum
chain dam bhar ko sar-e-shaam kahaan hotaa hai
dil sulagtaa ho to aaraam kahaan hotaa hai
nargis-e-naaz se jo mujh ko ataa hotaa thaa
ab mire hisse mein vo jaam kahaan hotaa hai
· · ·
Krishn Gopal Maghmum
ahl-e-vafaa ki jaan the dushvaar raaste
phulon kaa farsh ban gae pur-khaar raaste
teri shamim-e-zulf ke sadqe ki aaj bhi
mahki hui fazaa hai to gul-baar raaste
· · ·
Krishn Gopal Maghmum
dil aag mein furqat ki jaltaa hai to jalne do
shoale ko mohabbat ke kuchh aur machalne do
manzil ki taDap aakhir pahunchaaegi manzil tak
gir gir ke sanbhaltaa huun gir gir ke sanbhalne do
· · ·
Krishn Gopal Maghmum
ham dard-e-mohabbat kaa mudaavaa nahin karte
kuchh bhi ho magar arz-e-tamannaa nahin karte
khud zaat pe apni jo bharosaa nahin karte
duniyaa mein kabhi naam vo paidaa nahin karte
· · ·







