Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Laiq Siddiqi
kaun batlaae ki kis ko kyaa milaa
jis ki qismat mein jo likkhaa thaa milaa
tark mai-noshi to main ne ki magar
ye bataa zaahid ki tujh ko kyaa milaa
· · ·
Laiq Siddiqi
vafaa se aashnaa koi nahin hai
agarche bevafaa koi nahin hai
khudaa hai aur tufaan mein safina
hamaaraa naakhudaa koi nahin hai
· · ·
Laiq Siddiqi
din mile raat mile subh mile shaam mile
ishq saadiq ho to taklif mein aaraam mile
do kinaare kabhi dariyaa ke na mil paaeinge
kaise phir ziist ke aaghaaz se anjaam mile
· · ·
Laiq Siddiqi
munh andhere chamanistaan kaa paikar le kar
kaun guzraa hai dabe paanv gul-e-tar le kar
mujh ko shaahi mein faqiri kaa mazaa aataa hai
kyaa karungaa main sikandar kaa muqaddar le kar
· · ·
Laiq Siddiqi
apni azmat kaa nigahbaan nahin hai koi
kyaa ab is daur mein insaan nahin hai koi
jis taraf dekhiye ishrat ki faraavaani hai
aisaa lagtaa hai pareshaan nahin hai koi
· · ·
Laiq Siddiqi
dil-e-naadaan ye ulfat kaa safar hai
yahaan manzil nahin bas rahguzar hai
gulon se baagh mein kahti hai shabnam
bahaar-e-zindagi naa-mo'tabar hai
· · ·
Laiq Siddiqi
zindagi naaz kare jis pe vo pahchaan bane
dekhiye aaj kaa insaan kab insaan bane
ek afsaana mohabbat kaa likhaa thaa ham ne
aur duniyaa ke liye saikDon unvaan bane
· · ·
Laiq Siddiqi
maut jaada hai maut manzil hai
maut hi zindagi kaa haasil hai
gham ke aalam mein muskuraa denaa
mujh ko aasaan hai tum ko mushkil hai
· · ·
Laiq Siddiqi
ye dekh zindagi ke liye hai payaam kyaa
din kyaa hai raat kyaa hai sahar kyaa hai shaam kyaa
manzil ki justuju hai to chalte chale chalo
ghurbat mein thoDi der Thahar kar qayaam kyaa
· · ·







