Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Maseehullah Khan Ataa
ham ko khudaa ne dil diyaa dil mein diyaa gudaaz-e-ishq
bakhshaa khudaa ne aap ko husn-e-karishma-saaz-e-ishq
roab-e-jamaal-e-yaar se kham hai sar-e-niyaaz-e-ishq
husn ki baargaah mein paDhte hain ham namaaz-e-ishq
· · ·
Maseehullah Khan Ataa
aish-o-tarab se kaam na aaraam se gharaz
divaane ko na gardish-e-ayyaam se gharaz
ik dil thaa us ke paas vo pahle hi de diyaa
ab kyaa hai us ko aashiq-e-naakaam se gharaz
· · ·
Maseehullah Khan Ataa
fitna-parvar hai fitna-zaa hai jhuuT
har buraai ki ibtidaa hai jhuuT
jhuuT maano na tum kahaa meraa
munh pe jhuTe ke kheltaa hai jhuuT
· · ·
Maseehullah Khan Ataa
bataa ai dil ki naalon se huaa kyaa
tire rone se vo but Dar gayaa kyaa
jo tum par mar miTaa marne se pahle
vo kyaa jaane baqaa kyaa hai fanaa kyaa
· · ·
Maseehullah Khan Ataa
mujhe ik ik baras ik ik ghaDi maa'lum hoti hai
shab-e-furqat qayaamat se baDi maa'lum hoti hai
jhaDi ashkon ki moti ki laDi maa'lum hoti hai
nihaan aankhon mein hiire ki kani maa'lum hoti hai
· · ·
Maseehullah Khan Ataa
dekhaa aTaa huaa jo gulon ko ghubaar mein
masruf hain ghaTaaein chaman ke nikhaar mein
itne hain daagh aa nahin sakte shumaar mein
til bhar ki bhi jagah na dil-e-daagh-daar mein
· · ·
Maseehullah Khan Ataa
ham ko kyaa baat kar nahin aati
haan agar aur magar nahin aati
us ke milne ki kyaa karun surat
koi surat nazar nahin aati
· · ·
Maseehullah Khan Ataa
tasbih un ke naam ki paDhte hain aam khaas
raam-o-rahim donon isi ke hain naam khaas
apnaa saa dil samajh ke kisi kaa na toD dil
kahte hain is ko hai ye khudaa kaa maqaam khaas
· · ·
Maseehullah Khan Ataa
jab khudaa mehrbaan hai pyaare
mehrbaan kul jahaan hai pyaare
mujh se kyon bad-gumaan hai pyaare
tu miraa dil hai jaan hai pyaare
· · ·







