Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Mohammad Saeed Razmi
gila-e-jaur nahin shikva-e-bedaad nahin
ham giraftaar-e-balaa khugar-e-fariyaad nahin
zauq-e-parvaaz hai baaqi na tamannaa-e-bahaar
shaad huun shaad ki minnat-kash-e-sayyaad nahin
· · ·
Mohammad Saeed Razmi
ik umr mein ab samjhaa duniyaa kaa ye haasil thaa
jo naqsh thaa dhokaa thaa jo rang thaa baatil thaa
hangaama-e-hasti se fursat jo mili dekhaa
ik daagh-e-nadaamat hi kul ziist kaa haasil thaa
· · ·
Mohammad Saeed Razmi
vo jalva-gah-e-naaz hai yaa bazm-e-tur hai
har ek zarra ru-kash-e-duniyaa-e-nur hai
in khud-numaaiyon pe bhi mahrumiyaan 'ajab
ai chashm-e-naa-muraad ye teraa qusur hai
· · ·
Mohammad Saeed Razmi
muft raaz-e-zindagi rusvaa kiyaa
ai miri vaaraftagi ye kyaa kiyaa
zindagi kyaa thi tilism-e-aab-o-gil
main khudaa jaane ki kyaa samjhaa kiyaa
· · ·
Mohammad Saeed Razmi
kharaab-haal vafaa ko rulaae jaate hain
nazar churaae hue muskuraae jaate hain
vafaa-shi'aar sahi ghair mujh se kyon kahiye
ye roz kis liye qisse sunaae jaate hain
· · ·
Mohammad Saeed Razmi
yaa gham-e-mahbub yaa jaam-e-sharaab
haae vo sarmasti-e-ahd-e-shabaab
mujh se puchh ai aarzu-e-kaamyaab
e'tibaar-e-naala-e-naa-mustajaab
· · ·
Mohammad Saeed Razmi
aks-e-jamaal-e-yaar ki taasir dekhnaa
dil ban gayaa hai husn ki tasvir dekhnaa
aai hai phir chaman se havaa-e-junun-navaaz
shaayad hai phir nasib mein zanjir dekhnaa
· · ·
Mohammad Saeed Razmi
shauq mein haal se behaal hue jaate hain
ham tiri raah mein paamaal hue jaate hain
kyaa sitam hai ki tire hijr mein rafta-rafta
ab shab-o-roz mah-o-saal hue jaate hain
· · ·







