Quote
"gila-e-jaur nahin shikva-e-bedaad nahin ham giraftaar-e-balaa khugar-e-fariyaad nahin zauq-e-parvaaz hai baaqi na tamannaa-e-bahaar shaad huun shaad ki minnat-kash-e-sayyaad nahin dil vahi josh vahi aur khayaalaat vahi kaun kahtaa hai ki zindaan mein ham aazaad nahin paas-e-aadaab-e-mohabbat hai ki khaamosh huun main ye na samjho ki mujhe taaqat-e-faryaad nahin taa-kujaa kashmakash-e-ranj-e-asiri sayyaad kyaa miri qaid-e-sitam ki koi miaad nahin dil-kashi aalam-e-ghurbat ki na puchho mujh se intihaa ye hai ki ab ghar bhi mujhe yaad nahin haasil-e-zist hai qurbaan-e-tajalli honaa zindagi khaak hai jo ishq mein barbaad nahin allah allaah ye majburi-e-bimaar-e-firaaq sabr ki taab nahin taaqat-e-faryaad nahin kyaa huaa aap kaa vo 'razmi'-e-shorida mizaaj aaj kyon mahfil-e-ishrat mein vo naashaad nahin"
