Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Munib Muzaffarpuri
kaise hogaa asar davaaon kaa
main to muhtaaj huun duaaon kaa
naam shaamil hai be-vafaaon mein
ye sila hai meri vafaaon kaa
· · ·
Munib Muzaffarpuri
dard se kis tarah nibaah karun
kyon na ab dil ko vaqf-e-aah karun
ai ghazal tujh ko gungunaaun main
aur khud ko yunhi tabaah karun
· · ·
Munib Muzaffarpuri
kaise hogaa asar davaaon kaa
main to muhtaaj huun duaaon kaa
naam shaamil hai be-vafaaon mein
ye sila hai miri vafaaon kaa
· · ·
Munib Muzaffarpuri
aarzuon ke shahr jalne lage
kaarvaan saath saath chalne lage
teri aankhon se mai chhalakne lagi
aur gir gir ke ham sambhalne lage
· · ·
Munib Muzaffarpuri
jis ko paDh kar ke ilm-e-naafe ho
ghar mein aisi kitaab rakhte hain
vaasta sufiyat se hai ham ko
kuchh to paa-ba-rikaab rakhte hain
· · ·
Munib Muzaffarpuri
hai kaThin raah to gir gir ke sambhaalnaa hogaa
apni manzil ki taraf dauD ke chalnaa hogaa
apne khvaabon ko haqiqat mein badalne ke liye
khvaab-e-ghaflat se kisi taur nikalnaa hogaa
· · ·
Munib Muzaffarpuri
apni auqaat zamaana ko bataate aae
tum jidhar aae udhar aag lagaate aae
ham ko mahfil mein taalluq kaa bharam rakhnaa thaa
dushmanon ko bhi gale apne lagaate aae
· · ·
Munib Muzaffarpuri
ye duniyaa har qadam par aadmi kaa imtihaan kyon hai
judaa har aadmi se aadmi kaa kaarvaan kyon hai
mohabbat saari duniyaa ke liye ruh-e-ravaan kyon hai
siyaasat ke falak par aaj nafrat kaa dhuaan kyon hai
· · ·
Munib Muzaffarpuri
tu mujhe sunti rahi aur main tujhe paDhtaa rahaa
shahr mein apni mohabbat kaa bahut charchaa rahaa
vaise kitni laDkiyon ne aazmaai qismatein
aur meri shaaeri mein ek hi chehra rahaa
· · ·
Munib Muzaffarpuri
apni auqaat zamaane ko bataate aae
tum jidhar aae udhar aag lagaate aae
ham ko mahfil mein taalluq kaa bharam rakhnaa thaa
dushmanon ko bhi gale apne lagaate aae
· · ·
Munib Muzaffarpuri
hai kaThin raah to gir gir ke sambhalnaa hogaa
apne manzil ki taraf dauD ke chalnaa hogaa
apne khvaabon ko haqiqat mein badalne ke liye
khvaab-e-ghaflat se kisi taur nikalnaa hogaa
· · ·







