SHAWORDS

jis ko paDh kar ke ilm-e-naafe ho — Munib Muzaffarpuri

"jis ko paDh kar ke ilm-e-naafe ho ghar mein aisi kitaab rakhte hain vaasta sufiyat se hai ham ko kuchh to paa-ba-rikaab rakhte hain chaand aa jaae meri muTThi mein ab bhi bachpan kaa khvaab rakhte hain kitnaa khoyaa hai kitnaa paayaa hai zindagi ki kitaab rakhte hain"
Urdu

جس کو پڑھ کر کے علم نافع ہو گھر میں ایسی کتاب رکھتے ہیں واسطہ صوفیت سے ہے ہم کو کچھ تو پا بہ رکاب رکھتے ہیں چاند آ جائے میری مٹھی میں اب بھی بچپن کا خواب رکھتے ہیں کتنا کھویا ہے کتنا پایا ہے زندگی کی کتاب رکھتے ہیں

Hindi

जिस को पढ़ कर के इल्म-ए-नाफ़े हो घर में ऐसी किताब रखते हैं वास्ता सूफ़ियत से है हम को कुछ तो पा-ब-रिकाब रखते हैं चाँद आ जाए मेरी मुट्ठी में अब भी बचपन का ख़्वाब रखते हैं कितना खोया है कितना पाया है ज़िंदगी की किताब रखते हैं

jis ko paḌh kar ke ilm-e-nāfe ho
Munib Muzaffarpuri
Munib Muzaffarpuri
Munib Muzaffarpuri
poet11 quotes

More by Munib Muzaffarpuri

View all →
Quote
"hai kaThin raah to gir gir ke sambhaalnaa hogaa apni manzil ki taraf dauD ke chalnaa hogaa apne khvaabon ko haqiqat mein badalne ke liye khvaab-e-ghaflat se kisi taur nikalnaa hogaa tez aandhi mein jalaanaa hai agar apnaa charaagh rukh havaaon kaa ba-har-haal badalnaa hogaa ban ke ulfat ki ghaTaa tum yahaan barso varna aag nafrat ki jo bhaDkegi to jalnaa hogaa chup rahoge to na mil paaegaa insaaf kabhi us ko paane ke liye tum ko machalnaa hogaa zindagi maang rahi hai jo umangon ki dalil tum ko dariyaa ki tarah phir se ubalnaa hogaa tum jo chaaho ki ujaalaa ho tire dam se 'munib' ban ke ek shama yahaan tujh ko pighalnaa hogaa"
Munib MuzaffarpuriMunib Muzaffarpuri
Quote
"apni auqaat zamaana ko bataate aae tum jidhar aae udhar aag lagaate aae ham ko mahfil mein taalluq kaa bharam rakhnaa thaa dushmanon ko bhi gale apne lagaate aae bas yahi un kaa karam ham pe bahut bhaari hai jab vo aae to karam apnaa jataate aae ek aahaT bhi Daraa deti hai tanhaai mein khvaab jab aae tire mujh ko Daraate aae khud kaa ghar phuus kaa hai yaad nahin thaa shaayad ghar mein ham-saayon ke vo aag lagaate aae aaina qad ke baraabar ho zaruri to nahin aisi chaahat mein vo kyon jaan khapaate aae"
Munib MuzaffarpuriMunib Muzaffarpuri

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"
Ayub KhawarAyub Khawar