SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byNadim Balkhi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

GhazalNadim Balkhi

Nadim Balkhi

mujhe jo duur se lagtaa thaa aab kaa dariyaa

gayaa qarib to paayaa saraab kaa dariyaa

kabhi savaab ke saahil se lag nahin sakti

vo naav jis ke liye hai azaab kaa dariyaa

· · ·

GhazalNadim Balkhi

Nadim Balkhi

raah jis ne chali ghaafilon ki tarah

qatl bhi vo huaa buz-dilon ki tarah

teri yaadein tasavvur ko jab mil gaiin

meri khalvat saji mahfilon ki tarah

· · ·

GhazalNadim Balkhi

Nadim Balkhi

aql par us ki gir paDaa patthar

jis ne paars ko kah diyaa patthar

qasr shishe kaa jab huaa taamir

har taraf se baras gayaa patthar

· · ·

GhazalNadim Balkhi

Nadim Balkhi

dekhi hai jo patjhaD ki fazaa soch rahaa huun

anjaam yahi hogaa miraa soch rahaa huun

maangun to vo ulTaa hi asar apnaa dikhaae

kyaa naam isi kaa hai duaa soch rahaa huun

· · ·

GhazalNadim Balkhi

Nadim Balkhi

begaana-e-manzil vo nahin raahguzar mein

jis ke liye aaraam hai aalaam safar mein

rakkhe na basirat kaa tavaazun jo nazar mein

DhunDegaa faqat aib hi vo kaar-e-hunar mein

· · ·

GhazalNadim Balkhi

Nadim Balkhi

ham ne dekhe ajab ajab gunge

thi zabaan to magar the sab gunge

kar shikaayat na be-zabaanon ki

nutq vaale hue hain jab gunge

· · ·

GhazalNadim Balkhi

Nadim Balkhi

qaid hue jo log apni man-maani mein

dekh rahe hain dushvaari aasaani mein

ilm sahifa kyaa de paDhne vaalon ko

vaqt to guzraa sirf varaq-gardaani mein

· · ·

GhazalNadim Balkhi

Nadim Balkhi

dost koi jo mo'atabar na rahaa

eatibaar apne aap par na rahaa

raahbar se jo be-khabar na rahaa

raahzan kaa usi ko Dar na rahaa

· · ·

GhazalNadim Balkhi

Nadim Balkhi

vo yaqin jo qayaas lagtaa hai

vahm hi ki asaas lagtaa hai

vaza-daari ko oDh kar aksar

aadmi be-libaas lagtaa hai

· · ·

GhazalNadim Balkhi

Nadim Balkhi

tan-badan se jaan hi to sirf uDaa le jaaegi

zindagi se maut aa kar aur kyaa le jaaegi

jis tarah meri khushi leti gai vo chhin kar

gardish-e-haalaat ye gham bhi uThaa le jaaegi

· · ·

GhazalNadim Balkhi

Nadim Balkhi

dast-e-khulus jin ki taraf ham baDhaa gae

khanjar-ba-kaf vahi saf-e-qaatil mein aa gae

aankhon se dil ki pyaas jo aansu bahaa gai

har buund mein hazaar samundar samaa gae

· · ·

GhazalNadim Balkhi

Nadim Balkhi

dil saraabon se guzar kar shaad rakh

dasht mein dariyaa kaa manzar yaad rakh

sar asir-e-sar-bulandi hi rahe

kaj-kulaahi se magar aazaad rakh

· · ·