Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Nadeem Ajmal Adeem
aap ne jo giraa diye aansu
ham ne moti banaa diye aansu
aise royaa bahaar mein koi
shaakh par bhi ugaa diye aansu
· · ·
Nadeem Ajmal Adeem
'ajab si baat nahin kah gayaa madaari kyaa
'adan se nikle hue saanp ko piTaari kyaa
vo apnaa kaandhaa baDhaae to yaad aataa hai
udhaar maangi hui niind kyaa khumaari kyaa
· · ·
Nadeem Ajmal Adeem
tiri chaukhaT pe rahne kaa jo dil armaan chhoDe
parinda phuul ke 'aariz pe kyon muskaan chhoDe
abhi marne mein din baaqi hain so ji chaahtaa hai
bhale taavaan le le ye udaasi jaan chhoDe
· · ·
Nadeem Ajmal Adeem
du'aa ko haathon mein le kar ghumaa ke chhoD diyaa
ki jaise mujh ko khudaa ne banaa ke chhoD diyaa
akele rahte ho achchhaa hai sach kahun us ne
jise gale se lagaayaa lagaa ke chhoD diyaa
· · ·
Nadeem Ajmal Adeem
safar hi karnaa hai laazim to mat thakaan giraa
zamin lapeT mire sar pe aasmaan giraa
mire vujud ke divaar-o-dar hilaa aur phir
mire khayaal ki had par koi chaTaan giraa
· · ·
Nadeem Ajmal Adeem
kho diyaa hai ek aisaa aadmi
sab jise kahte the achchhaa aadmi
apne haathon se ganvaa kar dosto
DhunDne nikle hain apnaa aadmi
· · ·
Nadeem Ajmal Adeem
jaisaa dikhtaa huun agar vaisaa nahin
main bhi koi aadmi achchhaa nahin
aag siine se uThi to ye khulaa
raushni ke tan pe bhi kurtaa nahin
· · ·
Nadeem Ajmal Adeem
mat miri poshaak par dhabba lagaa
rang bharnaa hai to phir achchhaa lagaa
tiir le kar bebasi ke haath se
ghaav apne haath se gahraa lagaa
· · ·
Nadeem Ajmal Adeem
ham jo kisi pahaaD par apni du'aa utaarte
karte kalaam baa'd mein pahle khudaa utaarte
ham ko diyaa gayaa hai jo ham pe tiri 'ataa hai vo
ham bhi isi liye nahin baar-e-khataa utaarte
· · ·
Nadeem Ajmal Adeem
chamakti raushni ne maahtaab band kar diyaa
kisi ne chashm-e-tar mein jaise khvaab band kar diyaa
hamaari shaakh-e-dil se us ki yaad TuTne lagi
havaa-e-gham ne dhuup kaa 'azaab band kar diyaa
· · ·







