Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Nashtar Chaprawi
na jis mein aarzu hoti na jis mein muddaaa hotaa
mujhe bhi ek dil yaa-rab koi aisaa diyaa hotaa
shab-e-vaada vo aataa bhi to kyaa is ke sivaa hotaa
jo main sarf-e-vafaa hotaa to vo garm-e-jafaa hotaa
· · ·
Nashtar Chaprawi
na bikhraayaa karo tum baiThe baiThe zulf-e-pechaan ko
khudaa ke vaaste dekho mire haal-e-pareshaan ko
ajab andaaz se pis pis ke honTon se nikalti hai
karun qurbaan teri ik nahin par sainkaDon haan ko
· · ·
Nashtar Chaprawi
tum hijr ke jhagDon ko miTaa kyon nahin dete
bigDi hui taqdir banaa kyon nahin dete
dard-e-dil-e-betaab ghaTaa kyon nahin dete
mahfil se raqibon ko uThaa kyon nahin dete
· · ·
Nashtar Chaprawi
main yaad huun un ki ye unhein yaad nahin hai
mujh saa bhi jahaan mein koi naashaad nahin hai
mahbub kaa har zulm hai ehsaan se behtar
bedaad jise kahte hain bedaad nahin hai
· · ·
Nashtar Chaprawi
vo bhi kyaa din the ki jab chaah na thi pyaar na thaa
hijr kaa ranj na thaa ishq kaa aazaar na thaa
be-khudi teraa buraa ho mujhe jab hosh aaya
dil na thaa siine mein pahlu mein vo ayyaar na thaa
· · ·
Nashtar Chaprawi
kyaa bache dil jaan-levaa us kaa har andaaz hai
ghamza hai ishva hai shokhi hai adaa hai naaz hai
mahfil-e-ishrat mein meraa dil navaa-pardaaz hai
naala-e-hasrat miraa goyaa sadaa-e-saaz hai
· · ·
Nashtar Chaprawi
ik ghair ki mahfil se uThaayaa nahin jaataa
ik main ki kabhi saath biThaayaa nahin jaataa
sunne ko to raazi hain vo haal-e-dil-e-betaab
afsos mujhi se ye sunaayaa nahin jaataa
· · ·
Nashtar Chaprawi
aae hain faatiha ko vo gesu sanvaar ke
chamke nasib aaj hamaare mazaar ke
dekho karishme rahmat-e-parvardigaar ke
kyaa aaDe aai hashr mein mujh sharmsaar ke
· · ·
Nashtar Chaprawi
tiir mizhgaan ko to paikaan-e-qazaa kahte hain
par nigaah-e-ghalat-andaaz ko kyaa kahte hain
saamne mere to dushman ko buraa kahte hain
dushmanon mein mujhe kyaa jaane vo kyaa kahte hain
· · ·
Nashtar Chaprawi
dard vo tu ne diyaa jis kaa mudaavaa na huaa
teraa bimaar masihaa se bhi achchhaa na huaa
aap hi kahiye ki ye ghamza-e-be-jaa na huaa
mujh se parda huaa aur ghair se pardaa na huaa
· · ·
Nashtar Chaprawi
main kyaa kahun ki haal hai kyaa hijr-e-yaar mein
dil ikhtiyaar mein na jigar ikhtiyaar mein
dushman ko dekhte hain kanakhiyon se bazm mein
kuchh shokhiyaan bhi hain nigah-e-sharmsaar mein
· · ·







