Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Nazm Tabatabai
junun ke valvale jab ghuT gae dil mein nihaan ho kar
to uTThe hain dhuaan ho kar gire hain bijliyaan ho kar
kuchh aage baDh chale saamaan-e-raahat laa-makaan ho kar
falak pichhe rahaa jaataa hai gard-e-kaarvaan ho kar
· · ·
Nazm Tabatabai
ehsaan le na himmat-e-mardaana chhoD kar
rasta bhi chal tu sabza-e-begaana chhoD kar
marne ke baad phir nahin koi sharik-e-haal
jaataa hai sham-e-kushta ko parvaana chhoD kar
· · ·
Nazm Tabatabai
ye aah-e-be-asar kyaa ho ye nakhl-e-be-samar kyaa ho
na ho jab dard hi yaarab to dil kyaa ho jigar kyaa ho
baghal-gir aarzu se hain muraadein aarzu mujh se
yahaan is vaqt to ik iid hai tum jalva-gar kyaa ho
· · ·
Nazm Tabatabai
uDaa kar kaag shishe se mai-e-gul-gun nikalti hai
sharaabi jama hain mai-khaana mein Topi uchhalti hai
bahaar-e-mai-kashi aai chaman ki rut badalti hai
ghaTaa mastaana uThti hai havaa mastaana chalti hai
· · ·
Nazm Tabatabai
sang-e-jafaa kaa gham nahin dast-e-talab kaa Dar nahin
apnaa hai us par aashiyaan nakhl jo baarvar nahin
sunte ho ahl-e-qaafila main koi raahbar nahin
dekh rahaa huun tum mein se ek bhi raah par nahin
· · ·
Nazm Tabatabai
ye huaa maaal hubaab kaa jo havaa mein bhar ke ubhar gayaa
ki sadaa hai lutma-e-mauj ki sar-e-pur-ghurur kidhar gayaa
mujhe jazb-e-dil ne ai juz bahak ke rakhaa qadam koi
mujhe par lagaae shauq ne kahin thak ke main jo Thahar gayaa
· · ·
Nazm Tabatabai
kyaa kaarvaan-e-hasti guzraa ravaa-ravi mein
fardaa ko main ne dekhaa gard-o-ghubaar-e-di mein
the mahv laala-o-gul kis kaif-e-be-khudi mein
zakhm-e-jigar ke Taanke TuuTe hansi hansi mein
· · ·
Nazm Tabatabai
tanhaa nahin huun gar dil-e-divaana saath hai
vo harzah-gard huun ki pari-khaana saath hai
hangaama ik pari ki savaari kaa dekhnaa
kyaa dhuum hai ki saikDon divaana saath hai
· · ·
Nazm Tabatabai
is vaaste adam ki manzil ko DhunDte hain
muddat se doston ki mahfil ko DhunDte hain
ye dil ke paar ho kar phir dil ko DhunDte hain
tir-e-nigaah us ke bismil ko DhunDte hain
· · ·
Nazm Tabatabai
aa ke mujh tak kashti-e-mai saaqiyaa ulTi phiri
aaj kyaa naddi bahi ulTi havaa ulTi phiri
aate aate lab par aah-e-naa-rasaa ulTi phiri
vo bhi meraa hi dabaane ko galaa ulTi phiri
· · ·
Nazm Tabatabai
hansi mein vo baat main ne kah di ki rah gae aap dang ho kar
chhupaa huaa thaa jo raaz dil mein khulaa vo chehre kaa rang ho kar
hamesha kuuch o maqaam apnaa rahaa hai khizr-e-rah-e-tariqat
rukaa to main sang-e-mil ban kar chalaa to aavaaz-e-chang ho kar
· · ·
Nazm Tabatabai
kis liye phirte hain ye shams o qamar donon saath
kis ko ye DhunDte hain barhana-sar donon saath
kaisi yaa-rab ye havaa subh-e-shab-e-vasl chali
bujh gayaa dil miraa aur sham-e-sahar donon saath
· · ·
Nazm Tabatabai
nadaamat hai banaa kar is chaman mein aashiyaan mujh ko
milaa hamdam yahaan koi na koi ham-zabaan mujh ko
dikhaae jaa ravaani tausan-e-umr-e-ravaan mujh ko
hilaal-e-barq se rakh ham-rikaab-o-ham-inaan mujh ko
· · ·
Nazm Tabatabai
kisi se bas ki umid-e-kushud-e-kaar nahin
mujhe ajal ke bhi aane kaa e'tibaar nahin
javaab naame kaa qaasid mazaar par laayaa
ki jaantaa thaa use taab-e-intizaar nahin
· · ·
Nazm Tabatabai
pursish jo hogi tujh se jallaad kyaa karegaa
le khuun main ne bakhshaa tu yaad kyaa karegaa
huun daam mein pur-afshaan aur saadgi se hairaan
kyuun tez ki hain chhuriyaan sayyaad kyaa karegaa
· · ·
Nazm Tabatabai
kyaa kahein kis se pyaar kar baiThe
apne dil ko figaar kar baiThe
sabr ki ik qabaa jo baaqi thi
us ko bhi taar taar kar baiThe
· · ·







